2
Subaah ke paanch baje hai.aur nandani ghar ja rahi hai.
nandani: Nurse.main ghar ja rahi hoon.koi emergancy ho to mere ghar pe phone karna.aur Dr. mukti 8 baje report kar degi.
Nurse: Ok doctor.bye.
nandani apne ghar jake sofe pe beth jati hai apni aankhon ko bandh karke.Kuch purani yaadein ko yaad karte.
(Flashback);
4 years before.
nandani apne third year mein thi jab waha usi university me Manik apne MBA ko karne aaya tha.Us din bahot hi tez baris ho rahi thi.nandani bahot hi muskeli ke baad college auto me to pahoch gayi.lekin auto se apne class tak jane me woh kabhi apna chata sambhalti to kabhi apna dupatta to kabhi apni books.aise me nandani ka dupatta College ke gate me fas gaya.nandani bahot hi koshish kar rahi thi use nikalne ki lekin nikal hi nahin raha tha.jab achanak koi aake nandani ka haath pakadta hai.nandani mud ke dekhti hai.to us insan ke aankhon me ek ajeeb sa khichav tha.uske chehre ki woh muskan.aur jis tarah uska nandani ke hath ko rokna.nandani ek hi nazar me sirf use dekhti hi reh jati hai.Waha pe Manik bhi nandani ko dekhta hi jata tha.nandani ne lal rang ka chudidaar pehnna tha.hath me choodiyaan.pairo me payal.woh koi apsara se kam nahin lag rahi thi.Manik ne dheeree se aake nandani ka duptta nikal ke nandani ke haath me chodke chala gaya.nandani kuch kahe isse pehle woh insaan nandani ki aankhon se gayab ho gaya.to yeh thi unki pehli mulakat baris me bigti huye.
Tringg.tringg.
nandani apne purani yaadoin me se bahar aati hai.
nandani: haa nurse kya hua.
Nurse: Doctor.woh kal raat accident wala insaan ko hosh aa gaya hai aur woh koi dawai bhi nahin kha raha aur ghar jane ki jid kar raha hai.
nandani: dont worry.main abhi aati hoon.
Thodi dair baad nandani fresh hoke hospital pahunch jati hai.Mukti use wahi reception ke pass mil jati hai.
Mukti: good morning nandani.
nandani: good morning Mukti.
Nurse. Dr. Murty jaldi chaliye woh koi baat manne ko taiyaar hi nahin.
nandani (gusse se): patient ko dawa dena.unka khayal rakhna tumhara kaam hai.agar main yeh sab kaam karungi to mera kaam kaun karega.
Mukti: Relax nandani.kya baat hai.
Nurse: Woh kal raat wala patient ghar jane ki zid kar raha hai.
Mukti: aap logo se maine kitni baar kaha hai ki aisi choti choti baatoin ke liye nandani ko pareshan na kare.aur abhi woh do ghante pehle hi to ghar gayi thi.
Nurse; I am sorry doctor.
Mukti: it is ok.tum jao.
nandani aur Mukti dono Manik ke kamre me dakhil hote hai.Manik bed pe betha hua hota hai.Manik nandani ko dekhta hai
Manik (smiles): nandani Murty.21july 2014.subah ke 8 baje.tez baris me.
nandani: Mera naam Dr. Murty hai sirf Dr. Murty.
Manik: Lekin mere liye wahi nandani Murty.
nandani: Abhi bhi tumhe apne pe khud se jyada yakeen karte ho Mr. Malhotra.
Manik: tum bhi to nahin badli.
nandani: nurse bata rahi thi ki tumne dawai lene se aur tum ghar jane ki zid kar rahe ho.
Manik: jee ha.main jo sochta hoon woh main karta hoon.
nandani: aapko teen din bad discharge karenge aur yeh final hai.aur agar aap dawai lena nahin chahte to aap injection bhi le sakte hai.
Manik: maine kaha main aaj hi jaunga matlab main aaj hi.
nandani (gusse se): sharab pike gadi chalana tumhari marzi.accident hua woh bhi tumhari marzi.lekin tumhara operation kiya maine meri marzi.tum yahaan kitne din rahoge woh meri marzi.yeh hospital tumhare kehne pe nahin mere kehne pe chalta hai.samje.
Manik: abhi bhi itna hi gussa.kuch badla nahin.
nandani: sahi kaha.kuch nahin badla.sirf tum badal gaye ho.
Manik: na main pehle badal tha aur na aaj main badla hoon.tab bhi main tumse.
nandani (cuts him in middle): nurse inhe injection de do.aur inki kal raat ki reports mere desk pe honi chahiye.
Nurse: yes doctor.
nandani waha se chali jati hai.
Mukti; Hi Mera Naam Dr. Mukti hai aur aap
Manik: Manik Malhotra.
Mukti: nandani ko kab se jante hai.kaise jante hai.
Manik: Yahi keh sakta hoon ke nandani ko usse se jyada me janta hoon.
Mukti: main kuch samji nahin.
Manik: nandani bhi nahin samji to tum kya samjogi.khair chodo agar nandani ne tumhe mujse baat karte dekh liya to tumse bhi naraz ho jayegi.
Mukti (smiles): Aap se dubara mulakat karni hogi.
Manik: kabhi bhi.
Mukti: friends.
Manik: friends.
Mukti: ab main chalti hoon.muje bahot saara kaam hai lekin lunch pe main tumhe dubara milne aati hoon.
Thodi dair baad Manik apne bed pe betha newspaper pad raha hai jab koi unke kamre me aata hai.
person: itna sab kuch ho gaya aur tumne hume batane ko zaroori nahin samja.
lady: agar tumhe kuch ho jata to.kyun karte ho aisa.kabhi to dusro ke bare me socha karo.
Manik: are aap dono ko kya hua.main bilkul thik hoon.Aur abhi main Cabir ko phone karne hi wala tha.
Cabir: janta hoon.police case hua hoga.is liye na.
Manik: Tumhe kaise pata.
Cabir: dekha Navya.ise hamari to koi fikar hi nahin.hum hi hai jo iski itni chinta karte hai.
Navya: Manik tum kyun apna khyal nahin rakhte.
Manik: aap dono to sab kuch jante ho phir bhi.
Navya: Lekin tumhari koi galti nahin.
Cabir: yeh sab chodo yeh batao ki kab ghar ja rahe ho.
Manik: aaj hi.
when nandani enters
nandani: jee nahin.maine aap ki reports dekhi aur isse pata chalta hai ki aap ko kam se kam paanch din yahaan rukna hoga.
Cabir (turns around and shocked): nandani tum yahaan.
nandani: Haa.Cabir.main Mr. Malhotra ki doctor hoon.Filhal aap apne dost ko samjaye.chalti hoon.sham ko aake tumhara check up kar dungi.tab tak aap aaram karenge.nandani left the room.
Cabir: Manik yeh nandani yahaan.
Manik: Haa wohi nandani.kitna itefaq hai to ki char saal bad is tarah achanak.lekin abhi bhi sabkuch waisa hi hai.
Navya: to Yahi woh wajah hai jiski waje se tum.
Manik: Wajeh nahin pyaar hai.aaj muje dubara yeh moka mila hai. is baar apne pyaar ko nahin jane dunga.is baar to yeh pyaar bahot se rukh badlega.ab to dekhte jao aage aage hota kya hai.
Everyone laughs.
YOU ARE READING
Manan forever
FanfictionWe see a very big hospital and on the building the board says " Lifecare Hospital".We see an ambulense stopped at the entrance and someone carries a man on the strecher.we cant see his face because it is covered full in blood. Person: nurse.ple inhe...