Part 23

289 29 2
                                    


Aaj ki subaah ka na kisi ko intzaar tha nahi kisi ki khawaish.

aur kyun ho bhi is subah ka intzaar..aaj ki Subah ne Nandini ko

koi khushi nahi di kyunki yeh subah hi Nandini ko Manik ki bahoin se dur kar

rahi hai.Nandini jab apni aankh kholti hai to apne aap ko Manik ki baahoin

me pake uski aankhoin se khushi ke aanshu behte hai jo Manik ke chehre pe girte

hai aur jiski waje se Manik ki aankh khul jati hai.

Nandini apne aanshu chupake bister se uthne hi wali hoti hai ki Manik uska

haath pakadta hai.

Manik: Kis se bhag rahi ho.

Nandini (wipes her tears); main kisi se bhi to nahi.

Manik: Nandini.maine tumhe pehle bhi kaha tha ki tum khud se jooth bol sakti ho

mujse nahi..ab yaha betho aur batao kya baat hai.

Nandini: pata nahi.ek ajeeb si becheni ho rahi hai.aisa lag raha hai ki koi hai jo

hume dur karna chahta hai.koi hai jo yeh nahi chahta ki hum ek huye.

Manik: Nandini yeh sab tumhara wehem hai.aisa kuch ho hi nahi sakta.kyunki main

hamesha tumhare saath rahunga.hamare beech itna pyaar hai ki kisi aur ki hamare

beech jagah hi nahi.

Nandini: shayad tum thik hi keh rahe ho..shayad ab main tumse itna pyaar karne

lagi hoon ki tumhe kho dene ka hamesha ek darr sa laga rehta hai.

Manik: Nandini.meri aankhoin me dekho.kya tumhe lagta hai ki main tumhe chodke

chala jaunga.

Nandini: I love you Manik.

Manik (hugs her): i love you too Nandini..

Nandini: Manik.chodo muje .muje nahane jana hai.

Manik: chodne ka mann nahi kar raha.

Nandini: thapad khane ka man kar raha hai.

Manik: tumhare haath ka to woh bhi chalega.

Nandini: tum aise nahi manoge.apna gal aage karo..ek deti hoon.

Manik closes his eyes and make his face other way so Nandini can hit him.Nandini

quickly kiss him on the cheek and ran away to washroom.

Manik (screms): Nandini agar aisi hi thapad tum muje roj deti rahogi to muje

tumhari aadat pad jayegi..

************************************************************ ****************************

Thodi dair ke bad Nandini neeche breakfast kar rahi hoti hai jab uske cell pe

Mukti ka phone aata hai.

Nandini: hi.Mukti kaisi ho.

Mukti: bas thik hoon.lekin yeh kya maine suna tum aur Manik kahi bahar gaye ho.

Nandini (sharma ke): haa.woh.humne socha ki.

Mukti: ab jyada sharmane ki koi baat nahi.waise muje tuje distrub karne ka koi

irada nahi tha.lekin kal hume Mangalore Medical camp ke liye jaana hai isliye maine

tuje yaad dilane ke liye phone kiya hai.

Manan foreverWhere stories live. Discover now