Part 9

422 45 4
                                    


Aaj subaah to ho gayi lekin pata nahin Nandani ki zindagi me khushiyaan aanewali hai ya phir

wahi gumm jise woh apni pichli zindagi me chodke Manik ke saath is anjane safar me chal padi

hai.bina kisi sapne ko sajake.Suraj ki pehli kiran khidaki se hokar Nandani ke chehre pe

girti hai jise woh apni aankhe kholti hai.Nandani jab aankh kholti hai to apne aap ko ek

anjaan bedroom me akele dekh ke ghabara jati hai.phir jab woh apne samne Manik ko dekhti

hai to woh ek chen ki saans leti hai.Nandani washroom me nahane chali jati hai.thodi dair

bad Nandani bahar aati hai lekin Manik abhi bhi soya hua tha.Nandani aaine ke samne bethkar

apna make up karne lagti hai.aakhir me woh apne maang me sindoor bharne hi wali thi jab uski

aankh bhar aayi lekin Nandani ne apni aankh se aanshu girne nahin diye.phir woh taiyaar hokar

neeche kitchen me jati hai.

(in the kitchen)

raghukaka subaah ka nasta bana rahe hai.jab Nandani kitchen me aati hai.

Nandani: kya main aap ki kuch madad kar sakti hoon.

Raghukaka: Are nahin bahurani.kal hi aapki shaadi huyi hai aur aap aaj hi.agar malkin ko

pata chal gaya to.na baa na.

Nandani (shocked): malkin.lekin Manik ne to nahin bataya.

Raghukaka: haa chote sahab ki Buaji.woh hamare saath hi to rehti hai.

Nandani (surprized) : lekin woh hai kaha.

Raghukaka: jee.Neyonikajee ki shaadi ko 22 saal ho gaye lekin kabhi bhi unke apne bache nahin

huye. aur chaar saal pehle to unke pati bhi heart attack ki waje se chal base.Jab hamare

bade sahab aur badi malkin chal base to chote sahab bahot dukhi ho gaye the.koi nahin tha

use sambhalne ke liye tab se woh yahi pe rehti hai.chote sahab ko apne bete ki tarah rakhti

hai.abhi woh Shirdi gayi hai Sai Baba ke darshan ke liye.abhi bas aate hi hoge.waise maine

unko aapke bare me khabar de di hai.ghabraiye mat bahurani.buaji dil ki bahot achchi hai

.filhal aap yeh chai chote sahab ke liye le jaye.

Nandani (hasitate): main.

Raghukaka: haa aaj tak yeh kaam buaji karti thi aur is ghar ko buaji aur NaVya betiya

sambhalti thi lekin aaj se yeh sara ghar aapka hai.beti ho sake to hamare chote sahab

ko duniya bhar ki khushiyaan dena.bahot pyaar karte hai aap se.

Nandani (smile and took the cup):main apni puri koshish karungi.

(in Manik's bedroom)

Manik sofe pe chen ki neend so raha tha jab Nandani Manik ki chai lekar aati hai.Manik

ke chehre pe ek masoom si muskaan hoti hai jaise duniya ke gumm se anjaan.Manik bache

ki tarah so raha tha aur yeh dekhkar Nandani ke chehre pe bhi muskan aati hai.Nandani

aake Manik ke passwale sofe pe beth jati hai.

Nandani (dheere se): Manik.

No wake up sign.

Manan foreverWhere stories live. Discover now