New Beginning

263 21 2
                                    

Ananya was sitting in bus when her phone rang.
Ananya - Haa Nisha.

Nisha - Kaha hai tu?

Ananya - Krishnagiri ja rahi hoo. Wahi rahungi 2 months tak.

Nisha - Per kaha?

Ananya - net pe 3-4 jagah PG adds dekhe hai. koi part time job bhi kar lungi. Bus mujhe 2 months tak usase bach ke rehna hai. Ek baar main doctor ban gayi to phir uski pahuch se bahut door ho jaungi.

Nisha - or agar wo phir bhi tujh tak pahuch gaya to?  To kya karegi? Phir bhagegi. Aise kab tak bhagti rahegi?  Teri is problem ka ek hi solution hai Tu shadi kar le.

Ananya - Kya? Shadi!

Nisha - Haa shadi. Tu kisi aise insan se shadi kar le jo tujhe sambhal sakhe. Teri hifazat kar sake.

Arjun's face flashes infront of her eyes.

Ananya - Shadi koi khel hai jo maine socha or ho jayegi. Kaha milenge mujhe aisa ladka jo mujhe usase bacha ke rakh sakta hai. Apni problem se mujhe akele hi deal karna hoga.

Nisha - Per ...

Ananya - Mera stop aa gaya main phone rakhti hoo.

Nisha - Per meri baat pe ek baar gaur zaroor karna. Or apna khyal rakhna.

Ananya - Haa. Chal bye.

On bus stop Ananya saw a little boy who trying to cross the road. Ananya save him from hiting by a bus.

Ananya - Kya hua beta?  Aise akele road kyu cross kar rahe ho?  Tumhare mummy Papa kaha hai?

"Mere saath nahi hai." Said the boy.

Ananya - Tumhare sath nahi hai matlab.

Oh ho "Cherry" ko hi sab ko sab kuch samjhana hota hai.

Ananya - Cherry kaun?

Cherry - Main or kaun?

Ananya - Are wah tumhara naam to bada hi meetha hai. Waise tumne bataya nahi ki kyu nahi hai tumhare mummy Papa tumhare sath?

Cherry - Kyuki main ghar chod ke ja raha hoo.

Ananya - Tum ghar chod ke ja rahe ho magar kyu?

Cherry - Ye bhi koi life hai. Apni marzi se kuch kar hi nahi sakte. Jab dekho tab sab mujhe kehte rehte hai " Cherry ye karo" "Cherry ye mat karo" Cherry TV mat dekho, doodh pi lo, dhoop me mat khelo" tang aa gaya hoo main. Or mumma wo to mujhe humesha hi datati rehti hai.

Ananya - Are baap re itni problem.

Cherry - Haa. Isliye to main ghar chod ke ja raha hoo.

Ananya - Lekin tum ghar chod ke jaoge kaha?

Cherry - Ye to maine socha hi nahi. Mera to koi or ghar bhi nahi hai.

Ananya - Ek baat bolu duniya me aisi koi jagah nahi jaha  bacche apne mummy Papa ke bina safe ho. Mummy Papa ki daat me bhi pyaar hota hai. Ye baat tum abhi nahi samjhoge. Jinke mummy Papa unke sath nahi hote na unka duniya me koi thikana nahi hota.

Cherry - Didi aap ro kyu rahi hai? Kya aapke mummy Papa aapke sath nahi hai.

Ananya - Nahi. Isliye main janti hoo ki mummy Papa ke paas hone ki importance.  Mere mummy Papa nahi hai isliye main bilkul akeli hoo. Mera koi nahi hai jo mujhe daate, mujhe pyaar kare, meri hifazat kare.

Cherry - To aap kaha ja rahe ho?

Ananya - Pata nahi.

Cherry - Didi aapki baatein sun ke mujhe mummy ki yaad aa rahi hai. Aapki baat main samajh gaya didi. Mummy mujhe datati hai lekin pyaar bhi bahut karti hai. Mujhe mere ghar wapus jana hai.

Ananya - Chalo main tumhe tumhare ghar chod deti hoo.
•••••••
Kajal  (Cherry's mom) - Maine tumhe daata to tum ghar chod ke chale jaoge. Ek baar bhi nahi socha ki mumma tumhare bina kaise rahegi.

Cherry - Sorry mumma. Mujhse galti ho gayi. Per didi ne mujhe samjha diya hai ki aapki daat me bhi pyaar hota hai.

Jaya (Cherry's grandma) - Tumhara bahut bahut shukriya beta tumne humare cherry ko Sahi salamat humare paas pahucha diya.

Ananya - Are nahi aunty isme thanks ki koi baat nahi.

Ajay (Cherry's father) - Thanks to bolna banta hai Ananya ji. Humare is shaitan ko samjhana bahut mushkil hai. Kisi ki sunta hi nahi. Aise me aap ise samjhane me kamyab ho gayi bahut badi baat hai.

Ananya - Cherry to bahut pyaara baccha hai. Accha thik hai main chalti hoo.

Cherry - Per aap kaha jayengi didi? Aapne to kaha tha ki aapka koi nahi hai.

Jaya - Tum ye saman le ke kaha ja rahi ho beta?

Ananya - Ji main yaha nayi hoo. Rehne ke liye 3-4 jagah PG offers hai to ghar dekhne jana hai.

Kajal - To tum rehne ke liye ghar dhoondh rahi ho? Tum humare sath reh sakti ho.

Ananya - Main yaha .. nahi.

Jaya - Kyu nahi? Humare campus me ek room hai. Mera beta usko use karta hai. Tum usme reh lo humari PG ban kar.

Cherry - wow didi. Aap humare sath rahengi.

Ananya - Lekin.

Kajal - Lekin kya? Ehsan nahi kar rahe. Kiraya lenge tumse hum. Raha khana pina to humare saath hi ho jayega.

Ananya - Thik hai.

Cherry hugs her.
••••••••••••••••••••••

After one week Ananya comes from bathroom after taking shower. She was in towel. "Aashiq Banaya Aapne" Song play in music system. Ananya start dancing. The dance was so seductive. Ananya was so busy in dancing so that she can't notice that someone open her room door and enter. He got 440 volt jhatka after seeing the scene infront of his eyes. He can't move his eyes from the beauty of her. Ananya twice his ankles and about to fall when someone catch her in his arms.

Please vote and do comments so. I am waiting for your valuable comments

Jaana Fall In LOVE Where stories live. Discover now