1. Dyut Sabha

991 67 77
                                    

Aaj timir hua hai sansaar,
Sushobhit ho rahi hai dyust vasnaye,
Sunno oh sunno, rudhe kant ki vo pukaar suno , bhari sabha ke beech khadi, nari hai vistaar,

Shaant bethe gurujan, pitrajan aur saare kshyatriyan, koyi na bol paave,

Prashno ke laga do tum bhandaar, par nahi hai satya badlta ki ab tum nahi pehen paogi taaj,
Duryodhan ki aayi garajti awaaz,
hai Draupadi, pucho jo puchna hai, aant main mere pass hi tumko aana hai. Aao, kehta hun main, meri jangah hai tumhara naya sthan.

Na main kahun kulvadhu swayam ko aur na hi uttaradhikari ki maa, main toh ek preysi hun, aisi bhagya heen premika,  jisse na mila saman aur na hi mila koyi anurag. Mere mann ki shudhta ka mat kar teeraskar.
Utth khadi huyi vo annapurna jo nari jaati ki har kanya ka thi aadhar.
Kaho Arjun? Kya kehna hai ab tumko? kya hai tumhara vicchar, lo, daan diya swayam ko maine kururashtra kai sabhi shoorviron ko, mere Prem aur tyag ka de rahe tum saksham uphar,
lok laaj sabh bhuli main, ghamand aur atma saman ko thes pohuchakar var liya tumhi ko maine, jisne diya dukh apar.

Indraprastha ka vo Dhananjay, jisnai jeete yuddh kayi baar, beth bhoomi par, maano andar hi andar tapta ho, netra band, sanyaas dhare kaise sahe Draupadi ke vaar.

Bheemsen hai naam tumhara, pawan jaise asthir ho tum toh, nahi karoge kya apni abhagan patni ka rakshan?

Marubhoomi bani aaj ye dharti, ro pada Vrikodara ka krodh, Duryodhan tujh paapi ki main jangah ka karu vinaash.
Hahakar maachunga, sabko du main ye lalkar.

Asahya yaha nahi koyi hai, dharm ka do isse bhi naam, puch apne Aaryaputra sai, jo haar betha tujhe juye ke bas main, Shakuni ki pechide swaaron nai kara sabhi ko nirash.

Kis mukh sai puchho, kis mukh sai dekhun, pehle baat diya mujhe paanch pati main phir chhod diya beech majhdar, kadhi hai re, yeh agnisuta, shaktiheen iss jagah pe, kho kar sab adhikar.

Dharmraj ke mukh pai sharm ki ek halki laali thi, pati ki hoti jo tum sampati, dav diya tumhe bhi karke vyapar.

Sampati nahi mein ek ki, mere hriyde main toh ek hi nayak, dharm sai baani tum sabki main, par sampati nahi mein anek ki, putri hun main us mahan Panchal nrip ki jisnai kara tha mera kanyadaan, naahi main huye koyi daasi aur naahi kisi ki bandhini, rajkanya hun ek raaja ki beti.

Murkh hai tu jo kehti hai rajkumari khud ko, janam nahi hai koyi aadhar, main sut putra hun bana prajapati aur tu ek vaishya,mahtavakanksha sabhi ki.
Kunti ka vo bichada putra jo barsaye apne muh sai teer,

Karn! Panchali ki pavitr Agni main jo tune haath he daala, uttejit ho utha Krishn ka Paarth , tujhe karun main lahuluhaan.

Meri Krishnaa, meri Yagyasaini ko sparsh jo karega uska kaal banega ye mahakaal ka bhakt, Arjun ki vaani sun achambhit huye re aaj sabhasad, komal shabdo wala bhi de chunotiya hazaar.

Bheem nai jo phir shuru kiya maano jaise pralaye ko de raha ho avahan,
chhati teri cheerunga, tere rakt sai santushst pet bharunga main,
Duhshasan ab jo dar gaya, Duryodhan ke pichhe chup gaya.

Nakul Sahdev bhi chamke nayi drindta sai, nahi sehenge koyi anayaya.

Shakuni nai phir jo paasa phenka, mar giraye char balwaan.
Jyest ke virodh tum kshadiyantra ho rach rahe, purvaj lagayenge haay tumhe, chup karo aur punha mon vrat karlo dharan.

Dekh un durbalo ko, Draupadi ka maatha tanka, kaise patiyo ki sewa ki hai maine, jo karna pave meri raksha.

Diye aadesh un kauravon nai jab, Duhshasan ki peet thapthapayi,
ja, chhin le isse iska abhiman, karde isse ek nirvastra ke saman.

Dhritarashtra ke dwiteye putra mere aanchal par kalank jo tune daala, mrityu ke paschaat bhi bhayebhit tu rahene hai wala,

Govind kahun ya kahun tumhe Girdhar gopal,
kya kaam hai tumhara? Bas striyon ke saath Vrindavan main raas?
Yadi behen main hoti tum jaise veer ki, kya hone dete mera ye apman? Swabhiman hi nahi par vishwas mera chur hoya hai, kon hun main Krishn? Jo itna vidvans ye hoya hai...

Krishn ki baasuri ki vo madhur taan, maano beech sabha mein lachari nityayuvati ko lage yudd ki ghuhaar,
tum sarvashresta ho, meri sakhi, aur Arjun ki tapsaya ho, pandavon ka gaurav tumse hai, tumhare santano ka astitva tumse hai, sansaar ki sabhi striyo ki Prerna, Agni ki kanya ho tum..
Nahi milega tumhe koyi akalpniye parinam, behen sai adhik tum priye ho mujhe, hai Draupadi, meri anshaj ho tum.
Lo diya maine tumhe apne vastra ka ye bhaag, jo kabhi na hoga aparyapt.

Kahe vo Krishn sakhi, Govind Govind, aur keeche chale jaye uskai tan sai cheer.

Bhaage ya na bhaage, kaha jaaye ab Gandhari nandan,
vastra ka tila baana hai, jyest, nahi ho payega hamara pran ye poora, Draupadi nahi ye Devi Maa he swaroopa.

Aankh bhare jaye mon darshako ki, haath jode sabh Kanha ke antargat us stri ki.

Mahanayak Arjun drishshya ka shayad bedh hai jaane, Madhav Madhav rat kar, preyesi sai antarmaan mai kshama hai mange.

Bheemsen ki gada phiki padi ishwar ke chamatkar ke samaksh, sakshaat Devi ke vo toh rehta sameep.

Yudhisthar ka haal hoye behal, kaise kardiya usnai ye aapradh.

Putri nahi, putravadhu nahi, kul ki lakshmi nahi, parivar ke deepako ki janani nahi,
main kaali hun, mahakaali hun, yamraaj ka Sandesh hu, shudh hu par ashudi ko nasht karne wali hun, tum purusho ki chita ki aag hun main, Krishn ki sakhi, Krishnaa hu main,
Krishn ki sakhi, Krishnaa hu main...

The Divine Woman Where stories live. Discover now