3. Drupad Kanya Swayamvara

380 28 38
                                    

Karti hai sakhiyan uske solah shringar,
Kamal jaisi aankhon main toh bas prem ki hai ek chingaari,

Kahe Draupadi,
oh sakhiyon sunn, lene aaeyenge muhje ek vanvaasi,
dekh aachambhit kho bhetoge tum sudh bhudh tihari.

Priyamvadha hoye jo mantramugudh, kathaye anek batlati aab.
Aaye hai door desh sai Kshatriya, sundar, balwaan aur sampann sabhi,
Avashya dekhna Rajkumaro ki vo tejaswini aabha tum , Kashi rajya ho ya ho Rukmini ke bhrataji,
Lagta hai yogya har koyi,

Hastinapur ki shaan hai alag, Hastinapur ka mann hai alag, Yuvraj Duryodhan nahi, maano koyi anupam ratna padhara hai sang lekar anuj aur ang ka vo veer.
Vanvaasi ko na varna tum, Raj kanya ke jeevan main bhar dega dukh hi dukh.

Hasya kavita maano sunli rajkumari nai, khilkhilaye vo apni daasi ki vaani pe,

Agni ka toh sathan hai vanvaasi ke chhule main, Agni ka toh tap hai uss veragi ke teero main,
Indra ki varsha hai vo,
Pritha ka hai gaurav,
Bhratao ka vo ladla hai,
Krishn ka toh Krishna,  vo banjaara,

Janam liya jiss karan mujh jaisi abhagan ne, aur tum kaho ki vifal karu main apna hi jeevan lakshya?

Vartalap ki aad main, de rahi jab vo Agnisuta keval uss ek kumar ki ucch paribhasha, kaise varle vo kanya kisi aur ke aangan main?

Shuru huyi jo pratiyogita ab, Dhristduyum muskaye tab,
Behen ka vivah ho usse jo sharam sai jhuka de sabhi yoddhao ke sar

Matsaya ki aankh ka na koyi jaane rahasya,
Drupad ki rani chinta main aayi, kaise hoga vivah putri ka?
Bhed na koyi jaane, machhli ki aankh main nahi par chhed toh Kshatriyo ke samaan par huye hai, kya dukhad bhagya hai meri ladli ka

Drupad Krishn ki vo jo jodi chup chap sab dekh rahi, mann hi mann ek naam ratt ratt ke prasan ho rahi,

Duryodhan ke baahubal ka hua ek feeka satkar,
Aang Raj ki vidhya na aayi kaam koyi,
Aaye Kshatriya, aaye Rajan saare,
Yagyasaini ke sondarya par mohit ho dhanush naa sambhal pa rahe.

Koyi raja nahi koyi praja nahi, Putri ka varan vohi kare jo matsaya ko paavan kare, Brahman dev bhi aajaye, Devo nai bheja jis bala ko, avivahit na rahe vo.
Krishn ki ek tuk netra Drupad ke vachan par de dhyaan,
Brahman roopi yoddhao ko shat shat pranam.

Shikhandini ab jo Draupadi ka haath hai padke, Brahman ke ghar keval bikhsha hai milti.

Puruskar swaropi sushil balika apni jeeji ko samjhave,
Siya ke swayamvar main na aaye koyi rhaghuvanshi parantu aaye the vishwamitra ke do bhole shishya, Raja nahi Brahman yaadi hai niyati meri toh prabhu ki ye leela hai swikarya muhje.

Seedhe saadhe puroshun main shaamil tha ek mahan, vanvaasi tha ya tha bhikshuk samajh nahi koyi paaya,

Sone jaisa chitwan uska, chandan jaisa mann ho jiska, surili ankhiyon ki ek kiyari main basaa li usnai Panchal ki garimit naari.

Arjun jiska naam hai, mukh pe uskai halki si laali thi, atbhoot nahi aalokik Darshan paaye usnai ek yuvti kai,
devansh ko purn karne janami thi ek devanshi,

Teeno lok harshaye prem ki kaliyo ke khilne se,

Keshav ke hoonto par basuri nahi par ek lambi mandhaas thi,
Maano phir mil gaye Shiv aur Shakti!

Paarth ke antarman main iccha ek nayi aayi,
Drupad nai jab bulaya Brahman jaat ko toh bhaage aaye Pandu ke trithya kumar,

Uphaas parihaas kare Kshatriya ek sahasi yuvak ka,
Varg bhul kar dhanurdhari bana tu?
Hanse anek raja, vishva ke sarvashest dharnurdhar par.

Arjun nai phir kiya naman Krishn aur Balram ko, Balshali Balram mon hokar bethe the, apne bhrata ki chanchal muskaan ka tark jaan kar santust swayam ko kar rahe the.

Panchali ka jo ashant mann hoya jaye,
premi ko pehli baar nihar kar uskai toh nayan bhar aaye.

Yehi mera vanvaasi hai, yehi hai mera Paarth, Vijaya toh vijay hoga hi bas tham jaaye ye kshan aaj.

Utha liya dhanush jab ek nimn Brahman nai, bochakke reh gaye saare Maharaj,
Dhanush uthaya, teer lagaya,
Arjun nai diya sabhi ko picchad,
Striyan bichaye apne armaan saare, kash mil jaye unhe ye amanushi kumar.

Matsaya nai maano apni gaati bada di, chunoti de voh sabse yogya var ko, Arjun ki dristi main bas vo ek ladki sai bani aankh, macchli na dikhe, na dikhe kuch bhi.

Teer jo phir nikla dhanush ke patli dor sai, bhed diya ullaas main usnai nishane ka abhiman.

Var vadhu ko ab bulaya jaaye, varmala sai purn ho unka ye Gandharva vivah ke saman bandhan,

Lakshya nahi mera hridya hai vedh kiya tumne,
tumari sangini ban main tum par balihari jaaon Indraansh!
Agnisuta phuli na samaye, apne premi sai bandhne jo vo aaye.

Saanchi ki jo aansh tum ho, kaise nahi jeet pata main? Sukhi tumko hai rakhna muhje, tumhari har ek baat ka main rakhunga maan!
Vicharon main vo dono kare ek dusre ka abse dhyaan,

Kant main dono ke jo aakarshak phulon ke haar laage ki swarag sai hi bankar aaye hai, sabhi Dev nritya karke iss milan ko darshaye hai.

Girdharnagar le nav jode ki der saari balaye,
buri drishti sai bach jaaye, mere ye dono pyaare.

Kshatriyon ko lage swayam par ye vivah ek lalchhan, Duryodhan, Dushassan ke kapti vicharon ko vo sab sakare.

Yuddh chhida hai swayamvar sathali main, Dhristduyum niyantrit karne ki kare he koshish,

Meri komal behen ko le jaeye, Yuvan!
Arjun ke haath main phir nayi vaadhu ka de kar haath, Panchal Yuvraj apna rodra roop dikhaye.

Naye Dampati ko Bheem ke saath jata dekh,
hone wali ek ghatna sai purnta parichit,
Madhav apne jii ko halka na kar paye,

Oh Arjun aur Oh Draupadi, badle ga aab jeevan tumhara....

🎉 आपने The Divine Woman को पढ़ लिया है 🎉
The Divine Woman जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें