Destiny... (Part 6)

12 3 0
                                    

Destiny...

Part 6

                    Aarya apne ghar aa jaata hai... Apna samaan bandne ke liye... Woh bohot durr jaana chahata hai... Iss sheher se durr bohot durr... Jab woh apne room me jaata hai toh usse waha Priya ki diya hua dabba dikhayi deta hai jisme Priya ne usse gajar ka halwa diya tha khane ke liye aur usne usse woh dabba lautana bhul gaya tha... Aarya Priya ke apartment me jaata hai... Waha Priya ki photos dekh kar woh usse yaad karne lag jaata hai... Uss apartment me woh masti, woh sharartein, woh hasna, woh ruthna, woh manana sab yaad karke rone lag jaata hai... Aur khudse kehta hai Mai kyun gaya waha se... Maine tumse kaha tha... Ek baar tum train me chad jaogi tab me waha se chale jaounga par Mai usse pehle hi chala gaya... Kyun chala gaya Mai...? akhir kyun?... Gusse me aakar Aarya kaanch ka glass fek deta hai aur glass ke kaanch Aarya ke haath me ja kar lag jaate hai... Jisse uske haathon me khoon aane lagta hai... Tab table ke paas ek book giri huhi milti hai... Woh uss book ko uthata hai... Woh book pe Priya ka naam likha rehta hai... Woh book Priya ki dairy rehti hai... Aarya khudse kehne lagta hai Priya ne mujhe kabhi nahi bataya ki woh diary likhti thi... Aarya diary ko padhne ke liye kholta hai... Uska first page kholta hai... Diary me Priya ne jitna apne baarein me nahi likha tha usse jyada usne Aarya ke baarein me likha hua tha... Diary me likha hua tha ki....

                   "Aaj Mai apni friend ke Birthday party ke liye late ho rahi thi... Mai bina dekhe stairs par tez bhaag rahi thi jisse Mai 3rd floor par slip ho gayi... Bus yahi se meri Zindagi ne ek turn le liye... Waha se ek ladka ja raha tha usne mujhe stairs par gira hua dekh kar meri help ki mujhe uthane me... Jitna dard mujhe stairs pe gir ne se nahi hua utna uski aankhon me dekh kar hua... Uski aankhein jaise sadiyon se apno ke pyaar ke liye taras rahi thi... Jo hasna chahati thi par hazaron dard chupaye khamosh thi... Woh meri aur Mai uski khamoshiyan jaise samajne lage the... Hum jitna alfaazon se nahi usse jyada aankhon se ek dusre se baat karte the... Shayad Zindagi me bohot kuch khoya hai usne... Par pata nahi kyun uss ladke se milne par aisa laga jaise ek umeed mil gayi, hasne aur muskurane ki wajah mil gayi... Kuch dino baad hum dono ek dusre se dheere dheere baat karne lage... Bohot waqt ke baad usse hasta hua dekha sach me Dil me ek alag si khushi huhi..."

                  "Humdono ek dusre ke bohot achhe dost ban gaye the... But ek weird si feeling aati thi usse milne par... Jab bhi woh achanak se samne aa jaata tha ajeeb lagta tha... Kabhi kabhi Mann me ek sawal aata tha Am I falling for him...? Is this love....? But I don't want to ruin my friendship with him isliye maine kabhi usse kaha hi nahi... Chhot usse lagti thi toh mujhe kyun bura lagta tha... Jab dard chupane ke liye hasta tha woh toh aankhein meri kyun nam hoti thi... Kyun uske saath hona mujhe achha lagta tha... Meri berang si duniya me woh crayons ki tarah kyun tha... Khamoshi me chupe alfaaz kyun tha... Akhir kyun...? Kab inn sab sawalon ke jawaab mujhe milenge... Maybe one day or maybe shayad kabhi nahi...."

To Be Continued...

A.K
@alfaazon___ki___duniya

Destiny...        (Completed Story✓)Where stories live. Discover now