Destiny... (Part 9)

22 6 0
                                    

Destiny...

Part 9

                      Aarya jab dheere dheere garden ki aur jaata hai haawaon ke har jhoke usse gale lag kar jaate the... Usse aisa lagta tha jaise hawa nahi Priya usse gale mil rahi hai... Usse bohot weird si feeling aane lagi jisse woh samaj nahi pa raha tha... Woh khudse keh raha tha ki ye kya ho raha hai mere saath... Aarya usse bench par baithi ladki ko dekhta hai aur kehta hai " Kya aap hi woh Businessman ki beti ho...?" Ye awaaz sunn kar woh ladki piche mud kar dekhti hai... Aarya aapni aankhon par vishwaas nahi kar pa raha tha ki woh ladki aur koi nahi Priya thi... Aur sach me woh ladki Priya hi thi... Priya Aarya ko dekh kar bohot khush hogayi maano jaise saal bhar ka Intezaar ek pal me khatam hogaya... Woh Aarya se gale lag jaati hai... Priya ki aankhon se aasoun rukte hi nahi hai...

                    Aarya kehta hai "Kya tum sach me Priya hi ho...?" Toh Priya kehti hai "Mai na tumhe jaan se maar dungi..." Kaha chale gaye the tum... Kitna dhundha tumhe par tum kahi nahi mile... Tum jab kuch khane ke liye lene gaye the... Tab Mai akele baithe baithe bore ho rahi thi toh maine bag se apna phone nikalne ke liye gayi toh dekha ki tumhara phone bhi mere paas hi reh gaya tha... Mujhe laga tum jaldi aa jaoge... Tumhara wait karte karte Mai fresh hone ke liye chali gayi thi... Jab wapas waha aayi toh log yaha se waha bhaag rahe the Mai kuch samaj nahi pa rahi thi ki kya hua hai kuch log ro bhi rahe the police aur ambulance bhi waha aayi thi... Maine waha logon se pucha ki kya hua hai yaha police aur ambulance kyun aayi hai aur sab bikhra hua kyun hai yaha toh mujhe pata chala ki yaha bomb blast hua hai... Mujhe vishwaas nahi ho raha tha jabki sab mere aankhon ke samne hi tha... Mai tumhe yaha waha dhundhne lagi thi... Bohot dhundha tha tumhe logon se tumhare baarein me pucha bhi tha par kisi ko kuch nahi pata tha... Mujhe ye tak nahi pata tha ki tum yahan aaye bhi hi ya nahi.... Dil me ek umeed lekar Mai bus yahi soch rahi thi ki agar tum nahi aaye hue hoge toh Tum thik hoge... Par ye umeed wahi khatam ho gayi tut si gayi jab maine tumhari watch station par giri huhi dekhi... Maine tumhe kho diya tha... Mere paas jeene ke liye tumhari watch aur tumhari yaadein thi... Mujhe kuch samaj hi nahi aa raha tha ki Mai kya karu...

                   Aarya khush bhi tha aur dukhi bhi... Khush isliye tha kyunki usse uski Priya wapas mil gayi thi... Aur dukhi isliye tha ki kaash woh thodi der aur ruk jata toh Tum usse pehele hi mil jaati... Usse itne saal Priya se durr nahi rehna padhta.... Kyun nahi ruka woh... Wahi galti usse firse huhi ek jo woh Priya ko station pe chhod kar usse gaya aur dusri woh thodi der aur nahi ruka... Aarya khudko kosne laga guilty feel karne laga... Tab Priya Aarya se kehti hai "Hamare haath me kuch nahi hota jo destiny me likha hota hai woh ho hi jaata hai... Bus kahi na kahi kisi ka Kaash, Agar, Par, Shayad reh hi jaata hai..." Humdono toh wapas mil bhi gaye par jab woh train blast huhi hogi na jaane kitno ne apno ko khoya hoga... Kitne apno ka intezaar kar rahe honge, kitne apno se Milne ke liye ja rahe honge... Kitne log ek dusre se hamesha ke liye durr hogaye... Aarya kuch waqt ke liye khamosh ho jaata hai...

To Be Continued...

- A.K
@alfaazon___ki___duniya

Destiny...        (Completed Story✓)Where stories live. Discover now