Shart

1.2K 180 140
                                    

Boys came back and entered from window of their room and slept peacefully.... They all were in deep sleep when Ramdhari came to wake them all third time, "Bhaiya uth jaaiye, bade maalik sabko bula rahe hai naashte par... badi maalkin do baar aa chuki hai aapko uthaane ke liye pehle bhi...." after lots of pushing to each other, they all wake up and after getting freshen up joined elders at breakfast table....

They all start eating when Nanu asked suddenly, "arey Rohan, yeh tere sar par chot ka nishaan kaisa hai... raat ko toh nahin tha shayad... kahin raat mein tum log koi masti toh nahin kar rahe the ya neend mein bed se gir gaya ho..."

Rohan chocked while having tea and coughed badly when Sameer holding his laughter rubbed his back, "arey arey.. dhyan se bhai... pata laga sar ke saath gale mein bhi kuchh lag gaya... apna dhyaan kyun nahin rakhta tu... tujhe toh sabse jyaada taakat ki jarurat hai... bechara CEO... kitni mehanat karta hai..." pretending fake concern he teased him...

Rohan muttered, "yeh jo masoom masoom kah kar jallad ladikyon ko sar par chada rakha hai na sab unka karnama hai.... aise dhoya hai jaise dhobighat par kapde dhote hai... jara si izzat nahin rakhi... arey maarne mein bhi koi tareeka hota hai... saara sharir abhi tak dukh raha hai... " Sameer rubbing his back from one hand, keep his other hand on his mouth to control his laugh...

Rohan glares him back when Vishakha said worriedly, "haan aur subah mein jab uthaane gayi thi tab table par pain killer bhi padi thi... tum mein se kisi ko kahin dard hai kya... dekho kal se shaadi ki rasmein hai, toh agar jarurat hai toh aaj hi doctor ko dikha do, varna pata laga shaadi ke chakkar mein aur dard badh gaya toh mushkil ho jaayegi... aur shaadi mein enjoy bhi nahin kar paaoge..."

Sameer said slowly audible to trio only, "nahin... ab dard aur nahin badega... jitna pitna tha pit chuke teenon kal raat ko hi... ab kasar hi kahaan bachi hai aur maarn khaane ki... ek hi baar mein poora haath saaf kar liya teenon ne... sachchi kya khubsoorat nazara tha..."

Pandit pressed his back which was still paining, "ek ek ang dukh raha hai... shakal se kitni najuk si dikhti hai par haath dekho, jaise hathoda ho... sab iss nikamme ki wajah se hua hai..."

Munna too said glaring him, "bhai, jaise tu ne mujhe meri Swati se milne nahin diya tha na ab dekh hum teenon milkar kaise tera band bajate hai... badi hansi aa rahi hai na hamari pitayi par tujhe..."

Rohan said giving deadly glare, "uda le beta jitna majaak udaana hai... ab dekh aaj se teri aashiqui par curfew nahin lagaya toh... ab dekhte hai tu kaise milega Bhabhi se shaadi tak... kal se rasmein shuru aur tu ghar mein bandh... meri najare hamesha tujh par hi rahengi..."

Sameer smiled mischievously, pointing his finger towards them, "aur tumhein lagta hai ki tum teeno namune mujhe rok paaoge... kahin mein sapna toh nahin dekh raha... yeh toote foote khiladi ab champion ko rokenge..." he laughed loudly when Rohan said, "bohot hansi aa rahi hai na tujhe... ab dekh mein kaise teri hansi nikalta hun... shart laga le tujhe toh mein rok kar hi rahunga..."

Sameer challenged them all, " toh chalo lagi shart... mera waada hai ki kal se shaadi ki saari rasmein meri aur Naina ki ek saath hi hongi... kal haldi, parso mehandi, phir Sangeet aur aakhiri mein hamari shaadi... hum roj milenge voh bhi sabke saamne... khulle aam... bina kisi darr ke..."

Pandit said slowly to Rohan, "bhai, yeh toh bade confidence ke saath kah raha hai... pakka koi jugaad soch rakha hai isne... mujhe nahin lagta hum jeetenge... is se panga mat le yaar..."

Rohan said too with confidence, "tu darr mat... hum teenon ek saath hai na... isse toh rok hi lenge... iski aashiqui ab mein nikalunga... dekhte hai hamari madad ke bina kaise milega Bhabhi se... jab tak maafi nahin maangege mein nahin pighalne wala iss baar..." they three glared him whereas with a naughty smile he was enjoying his breakfast coolly....

Kuchh Ankahi Baatein - Part 2 (Completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें