Untitled Part 1

4.8K 155 10
                                    


"Barrister Aniruddh Roy Chaudhary,

aaj aap ne mujhe aik aise maqam per laa ker khada ker dia hai, jahan mere ird gird sirf andhera hai.

Aik saal tak mujhe apni palkon per bitha ker rakha aapne, aur phir aik hi jhatkay mien paraya ker dia.

Buht bura kia aap ne.

Mera dil todd dia...

Mujhe sari dunia ke samne ruswa ker dia.

Mien aap ke qabil nahi thy...aap ne yeh baat sari dunia ke samnay saabit ker di.

Aapka mujhse dil bhar gaya tha na?

Mien bojh hun na aap ke liye?

Aap mujhe boarding school bhi isi liye bhejna chahte thay na kyunki aapko aapki nayi patni ke sath achay se time guzarna hai?

Aap ne mujhe buht kashmakash mien daal dia hai, Barrister babu.

Miene socha tha ke mien yahan, aapke aankhon ke samnay hi rahun gy..

Lekin mujhe iss baat ka ehsas abh jaa ker horha ke abh meri aankhien aap ko dekhna hi nahi chahtyn.

Jis terha mien aap ke dil se utar gai na, usi terha aap bhi mere dil se utar gaye hain.

Aur aaj tou aapki suhaag raat hai apni nayi patni ke sath.

Aaj aap uske sath phir se waise hi vachan lien ge jaise mere sath liye thay.

Aapko pata hai, yeh soch ker mujhe ghussa nahi aarha.

Mujhe ghin aarhy hai!

Aisa lag rha hai ke mien yahan mazeed kuch deir rahy tou mujhe saans hi nahi aasakay gy.

Aapke Kaka aik ghazal sunte hain buht... Miene unke sath beth ker buht dafa suni, lekin mujhe kabhi samajh nahi aayi.

Mager aaj jo aap ne mere sath kia hai, heirat ki baat hai ke mujhe woh ghazal abh buht achay se samajh aarhy hai.

Chalien, aap ko bhi sunati hun.

Hun Ajeeb kashmakash mien,

hui zindagy parai...

mere pas teri yaadein,

tere pas bewafai.

Mere dil ko tuu ne chheena,

meri preet jag ne looti...

Mera dil bhi hai paraya...

Meri preet bhi parayee...

Tujhe khwab mien hi dekhun,

Yeh bharam bhi aaj toota...

tere khwab kaise dekhun,

Mujhe neend hi na ayee.

Hun ajeeb kashmakash mien,

Hui zindagy parai...

mere pas teri yaadien,

tere pas bewafai.

Kaisi lagy?

Aap ne jo kia haina, uske baad na mujhe abh kabhi neend ayegy, na chein ayega, na koi khushi milay gy.

Aur mujhe abh kuch chahiye bhi nahi.

Aap bhi nahi.

Mien bas yahan se jana chahty hun ....kahan, yeh mujhe nahi pata ... Meri tou maa bhi meri nahi rahy.

Aik aakhri baat kehna chahty hun,

jo aap ne mere sath kia, woh Manorama ji ke sath nahi kijiye ga.

Tere ho ke rahien ge! An Aniruddh-Bondita Short StoryWhere stories live. Discover now