Kareena

1.5K 114 13
                                    

Anubhav had to go to Delhi for 3 days for an important meeting. He did not want to go.But he had no option because this meeting was so important that it could not be delay but before he left, he gave all the instructions to Karishma.

Karishma had to stay at Haseena's house for 3 days to take good care of her.Anyways, Pushpa ji was went to her relatives marriage and her husband was also out of town for business.Haseena was also very happy that Karishma to come to her house

After the duty, Haseena and Karishma return home and gets fresh

KS.Maddam sir ap bataiye ap ka khayengi hum abhi bana denge

HM.Humara na noodles khaane ka buhut maan kar raha hai woh bhi chatpatay se buhut time hogaya humne nhi khaye hain laikin ager apko kuch or khaana hai tu ap woh bana lijiye humein koi problem nhi hai

KS.Nhi maddam sir hum noodles hi khayenge hum ne buhut time se nhi khaye hain pehle jab papers hotay thai tu raat main parhayi karte karte bhook lagti tu hum noodles bana kar khatay thai ya phir jab ghar main humari pasand ka khaana nhi banta tha

HM.Hum bhi Karishma Singh aisa hi kartay thai chalen kisi mamlay main tu hum ek jaisay hain

KS.Chaliye hum apko Karishma special noodles bana kar khilatay hain

Both go to the kitchen. Karishma is making noodles. Haseena also helps her a little. Both are also talking some random topics

HM.Karishma Singh Khushbu tu buhut achi a rahi hai humse ab or wait nhi ho raha hai

KS.Jee bas noodles ready hain ap bahar ja kar bethain hum lai kar atay hain

Haseena goes and sits at the dining table, then Karishma brings noodles and the two start eating.

HM.Sach main noodles buhut achay bane hain ab jab bhi humara khaane ka dil karay ga tu ap hi banyen gi

KS.Jee bilkul ab apka jab bhi dil karay ap humein bas order kijiye ga or noodles apke samnay hazir honge

Both have dinner and then go to room to sleep Karishma did partition with cushions on bed.

HM.Karishma Singh yeh ap kya kar rahi hai(ask confusingly)

KS.Woh kya hai na maddam sir hum sotay huai buhut hath or pair chalate hain patidev bhi bed se aksar gir jaatay hain humari wajah se tu humari wajah se apko kya chotu baby ko chot na lag jaye isi liye humne aisa kya hai

Haseena laughs then speaks

HM.Ap din bhar tu hath paon chalati hain apne kam se kam raat main tu sukoon se so jaiye kijiye

KS.Hum kya karen humein sapnay main bhi criminals nazar atay hain jinhen hum apna bhokal dikha rahay hotay hain

HM.Apka Kuch nhi ho sakta

The two lie down on the bed to sleep. After a while, Karishma falls asleep.But Haseena is not getting any sleep, she is repeatedly changing her position

HM(in mind).Uff neend bhi nhi a rahi hai jab bhi neend nhi ati hai humein tu sir story sunatay hain abhi tu woh hain bhi nhi or subah se jab se gaye hain ek bar bhi call nhi ki wese tu din bhar call kr ke pareshan kartay rehtay hai or aj jab hum or angel itna miss kar rahay hain unhain or itne dur hain woh tu ek call bhi nhi kiya

Haseena tries to sleep again but she can't sleep then she started craving to eat ice-cream.So she goes down carefully so that Karishma's sleep is not disturbed and she goes to the kitchen.

Haseena opens the fridge and taken out her ice-cream then sits on the kitchen slab and enjoys her icecream.

"Ahem ahem"

Haseena looking from where the voice come and she saw that Karishma on kitchen door with folded hands on her chest and looking at her

HM.Ap kab uthin

Karishma comes to Haseena and then says

KS.Ap yeh bataiye ke itni raat ko or woh bhi itni thand main ap ice-cream kha rahi hain ap bemaar par gayi tu

HM.Kuch nhi hoga humein buhut craving ho rahi thi ice-cream khaane ki isi liye kha rahay hain aiye ap bhi khaaiye

KS.Ager bhaiya ko pata chal gaya ke ap itni thand main ice-cream kha rahi hain or hum apko khaane de rahay hain tu apka tu pata nhi per humein buhut daant paray gi

HM.Na hum unhain batayenge na hi ap batayengi tu unhain kesay pata chalega or wese bhi subah se tu unki ek call bhi nhi ayi hai

KS.Ap Anu bhaiya ko miss kar rahi hain(ask smilingly)

HM.Ap woh chodiye or humein company dijiye ice-cream khaane main

Karishma also sits on the slab next to Haseena and both of them are eating the ice-cream

KS.Ek baat kahen

HM.Apko kuch bhi kehna ke liye humari permission ki zarorat nhi hai ap jo chahein humse kah sakti hai

KS.Jab se ap pregnant hui hain ap badal gayi hain matlab apka nature kabhi kabhi humein yakeen nhi hota ke ap humari jazbaton wali mature maddam sir hain

HM.Ap keh tu sahi rahi hain yeh baat humne bhi notice ki hai or yeh sab humare mood swings ki wajah se hota hai kabhi humein ronay ka maan karta hai kabhi buhut gussa a jata hai kabhi aisay hi khush ho jatay hai or kabhi buhut ziddi ho jatay hai abhi tu sirf 2 months hi huay hai or yeh hal hai agay pata nhi kya hoga

KS.Apko dar lag raha hai

HM.Lag tu raha hai pata nhi hum achi maa ban payenge ya nhi duty or isay ek sath sambhal payenge ya nhi kahin koi kami na reh jaye duty or iski parvarish main hum apne baby ko ek acha insaan banana chahte hain jo sab ke jazbaat samjhay sab ki madad karay jis per hum sab ko garv ho

KS.Ap buhut achi maa banengi chotu baby buhut lucky hai kyunke uski maa ap hain or ap chinta kahay kar rahi hain hum sab hai na hum sab mil kar usay sambhalenge ap hum anu bhaiya or jab tak tu sabko pata chal hi jaye ga tu baki sab bhi yeh sirf apka baby nhi hai hum sab ka hai

HM.Jee yeh ap sab ka bhi utna hi hai jitna humara is per ap sab ka bhi utna hi haq hai

KS.Ab chotu baby ke parents ap or bhaiya hain tu yeh acha insaan tu hoga hi or hum sab ko is per garv bhi buhut hoga laikin yeh jazbaton wali baat humein kuch hazam nhi hui dekhiye humari Zindagi main ek jazbaton wala insaan Kafi hai or nhi Chahiye yeh tu ek dam humari tarhan hoga bhokali hum pehle hi bata rahay hain

HM.Tu ap isay apnay jaisa banayengi

KS.Jee bilkul jab yeh bada ho jayega tu hum isay apni bike per pura lakhnow ghumayenge jesay sab hum se or humare bhokal se dartay hain wese hi is sai bhi darenge

HM.Ager yeh apke jaisa banega tu har waqt maarpet karta rahay ga or har roz iski complains a rahi hongi hum aisa kuch nhi hone denge ap janti hain humein yeh sab pasand nhi hai or hum apko har waqt mana kartay hai aisa karne ke liye or ap isay bhi Apne jesa banane ka soch rahi hain hum aisa kuch nhi hone denge

KS.Tu kya apki tarhan banega ager apki tarhan banega tu iski baatein logon ke sir per se chali jayengi jesay humare sir ke uper se jaati hain apki baatein or ager bhaiya ki tarhan banega tu logon ko hindi ki dictionary sath lai kar ghoomni paray gi isi liye yeh humari tarhan banega ek dam bhokali

HM.Nhi apki tarhan nhi banega

KS.Humari tarhan hi banega or dekhiyega hum is ke sab se favourite honge

HM.Yeh kisi tarhan nhi banega iski apni khud ki pehchan hogi jis main hum sab ki thodi thodi jhalak hogi

KS.Hmm yeh tu apne sahi kaha ap kuch bhi karke apni baat manwa hi laiti hain laikin iske favourite tu hum hi honge

HM.Jee ap hi hongi iski favourite ab chalen sone kafi late ho gaya subah duty per bhi jana hai

KS.Jee chaliye

Both go to the room and fall asleep

___________________________________________

I hope you guys like it 🙂

Sorry for grammatical mistake

Thank you 💓

Our Angel Where stories live. Discover now