Chapter 5.4 //:// The Coffee

1K 112 12
                                    

Anubhav and Cheeta were sitting on the chairs. First of all, Nalini, Karishma, Santosh tied Rakhi around Anubhav's wrist. And then Hassena and Karishma tied Rakhi around Cheeta's wrist.

Karishma: Bhaiya yeh raha hamara gift.

Anubhav: Behna, jaha tak hume gyaat hai, Rakshabandhan ke din ek bhai aapni behen ko gift deta hai. Aap hume gift kyu de rahi hai?

Karishma kneels down to his height and held his hands.

Karishma: Bhaiya aap toh jaante hi ho ki kitne saalon baad hum dono ne saath mein Rakshabandhan mana rahe hai. Hum jaha kaam karte hai kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai toh hum chahte hai ki Bholenath hamesha aapke saath rahe isiliye yeh gift aapko diye hai. Jara kholkar toh dekhiye isme ka hai!

Anubhav looked at her and then opened the gift. He was surprised plus shocked. It was Anubhav and Karishma's collage with so many childhood memories. And in middle of the photo their was a idol of Lord Shiva; protecting them...

Anubhav ( caressing the photo ): Bholenath hamesha meri behno ki Raksha kare. Aur jaha tak hamara sawal hai, aapke hote hue hamara koi kuch nahi bigad sakta. ( Caressed her cheek )

All were adoring them.

Cheeta: Maddamsir hume chalna chahiye, Thaana bhi jaana hai... Aur saari aurte aapko Rakhi bandhne ane vali haina?

Hassena: Are ha hum bhool hi gaye the. Sir, hum bhool hi gaye the, hume chalna chahiye!

Nalini: Rukiye Hassena Mallik! Cheeta Chaturvedi ne kaha ki aapko Rakhi bandhne ke liye Aurte and vali hai. Jahir si baat hai aap unki suraksha karti hai. Hume bhi aapko kuch dena hai, hum jara abhi aye!

She left.

Hassena: Sir, yeh Nalini Ma'am kaha gayi?

Till then she returned and tied a Rakhi around Hassena's wrist. Hassena was a bit hesitant.

Hassena: Yeh kya kar rahi hai aap? Aap hume Rakhi kyu baandh rahi hai?

Nalini: Aap Lucknow sheher ke Aurton ki Raksha karti hai, toh Lucknow ki SP nahi ek Aurat aapko Thank you bolne ke liye Rakhi bandh rahi hai.

Hassena smiled.

Hassena: Toh hum bhi aapke haathon par Rakhi bandhne vali hun.

Saying this she too tied a Rakhi to Nalini.

Karishma: Chaliye Maddamsir, late ho raha hai!

Hassena: Ha Ha Chaliye!

Nalini looked at them when they were leaving. Anubhav grabbed her arm and turned her around.

Nalini: Kya hua Bhaiya?

Anubhav: Aarti jaa rahi hai na? Department mein Transfer ka bahana hai, par hum jaante hai ki iske piche koi aur vajah hai, haina?

Nalini: Bhaiya yeh kya keh rahe hai aap? Aarti ka transfer hi hua hai. Mana yeh sab achanak hua hai par.....

Anubhav placed a finger on her mouth.

Anubhav: Aap bhi jaa rahi haina?

Nalini's eyes widened in shock. She looked at her brother. She knew that Anubhav can catch a lie but she didn't expected to be so soon. She decided to tell him half truth. She can't, couldn't tell him the truth.

Nalini: Ha bhaiya. Hum jaante hai ki hamare iss faisle se aapko aur Maa ko bohot dukh hoga lekin jitne jaldi aap iss baat ko maan lenge unti hi kam taklif hogi...

Anubhav: Hume iss ka karan jaana hai Nalini!

He was stern this time. She looked into his eyes which were demanding answers. The sister inside her was melting but her being an agent, she was now completely ready to face his questions.

Understanding and Trust ( Maddam Sir FF ) ✓Where stories live. Discover now