Chapter 5.8 //:// Hassena will help them

1.6K 124 17
                                    

Hassena was sitting beside Anubhav when he was narrating what had happened two years ago. They both were having tears in their eyes. Anubhav was literally crying.

Anubhav: Hassena ji, hum kya kahe kuch samajh nahi aa raha hai! Kadachit do varsh purv jo bhi hua voh sab hamare karan hi hua tha.

Hassena: Aap aaisa kyu soch rahe hai, Anubhav?? Isme aapki koi galti nahi thi. Aap aapne aap ko jimmedar mat maniye iss sab ke liye. Aur aap hi bataye ki aapki behen ke saath itna sab kuch ho gaya fir bhi voh strong hai. Aap hi himmat har jayenge toh kaise chalega??

Anubhav: Hum kya kare aab? Jab bhi Karishma ko Nalini se aaise baat karte dekhte hai tab hume voh sab yaad ata hai. Kash hum vaha se gaye hi na hote. Kam se kam unn dono mein se kisi ek ko toh rok pate aisa kuch bhi karne se jo unke rishte ko tod raha hai, Hassena ji.

Hassena felt bad looking at him. She cupped his face and kissed his forehead for some time to calm his heart down. He hugged her and was weeping silently. She too held him tight and closed her eyes.

Hassena: Karishma aur Nalini ma'am ke bich jo bhi hua bilkul thik nahi tha. Par hum koshish karenge ki unke bich sab thik ho jaye.

Anubhav broke the hug and nodded negatively.

Anubhav: Nahi Hassena ji, isse unke bich kadachit jhagda bad jaye aur kahi aaisa na ho ki Karishma bhi aapse naraj ho jaye.

Hassena: Aapko hamare upar Bharosa toh haina??

Anubhav: Khud se bhi jyada!

Hassena: Toh baas. Hum kuch na kuch toh kar hi lenge jisse sab thik ho jaye.

Anubhav: Par aap aaisa kaise karengi? Nalini toh Aarti aur Akash ke saath yaha se transfer lekar ja rahi hai, shayad Delhi.

Hassena ( confused ): Ek minute, aapne Nalini ma'am se pucha tha ki unka transfer kaha ho raha hai?? Aur Aarti ka bhi same jagah transfer ho raha hai?

Anubhav nodded

Hassena ( confused ): Lekin, unka transfer Delhi mein kaise ho sakta hai?? Aur voh bhi itni jaldi mein kisi bhi notice ke saath?

Anubhav was too confused. He broke the hug and looked at her with confused expression.

Anubhav: Aapka matlab kya hai, hum kuch samjhe nahi??

Hassena: Aapko pakka yakin hai ki unka transfer ho raha hai??

Anubhav: Yeh baat Nalini ne hume batayi thi. Pata nahi unhone humse sach kaha ya jhut. Voh ek agent hai aur usne mission par jane ke liye kai baar humse aur Maa se kaha hai ki voh kahi bahar ja rahi hai. Kabhi chutti ke bahane toh kabhi kisi aur cheez ke bahane.

Hassena: Toh kya iss baar bhi?? Aur Aarti ke iss kadr jane se hamara shak aur bhi badh gaya hai.

Anubhav: Hum Nalini se baat kare kya??

Hassena: Nahi abhi nahi! Agar koi secret mission hai toh voh aapko vaise bhi kuch nahi bataenge. Agar koi mission hoga toh mission khatam hone ke baat shayad voh aapko sab kuch sach bata de.

Anubhav ( wiping his tears ): Aap sahi keh rahi hai.

Hassena looked at him and kissed his cheeks.

Hassena ( blushing ): Good Night!

Anubhav smiled.

Anubhav: Good Night. Kal milte hai. Aap ayengi na Nalini aur Aarti, Akash ko seal off karne?

Hassena: Kyu nahi ayenge hum. Hamari hone vali nanad jo hai.

Anubhav ( surprised ): Aur kitne jhatke dene ka irada hai Hassena ji?

Hassena ( confused ): Ji?

Anubhav: Pehle, honton par kiss, fir gal par aur phir Nalini ko nanad kehna. ( Teasing and smiling ) Lagta hai bohot jaldi hai aapko hamari patni banne ki?

Hassena blushed hard.

Hassena ( avoiding eye contact ): Hum chalte hai bye!

She went away and Anubhav sat their smiling sheepishly. But unknown to the someone heard their conversation. The person was also in tears and was smiling too.

( Guess who was the person? )

**********************

Everyone from MPT, Maa, Anubhav were present to bid a goodbye to Nalini, Aarti and Akash. Karishma was standing their staring Aarti and Akash who were talking to each other; waiting for Nalini.

Karishma looked around and approached Aarti. Aarti was surprised to see Karishma's not so angry mood.

Aarti: Kya baat hai Madam? Aap aaise kyu khadi hai?

Karishma: Voh hume tumse kuch baat karna tha toh socha tum dono ke jaane se pehle baat ko nipta diya jaye.

Akash: Kaisi baat SI Karishma Singh?

Karishma: Voh humne tum dono se bohot bura bartav kiya na isi liye. Hum tum dono se maafi maangna chahte hai. Hume maaf kar do. Hume bohot sharminda hai, par kya kare jab baat hamare maddamsir ki aati haina toh hum bohot personally le lete hai.

Aarti: Nahi nahi aapko maafi maangne ke jarurat nahi hai Karishma madam. Hum samajh sakte hai ki aap Hassena madam ki kitni ijjat karti hai. Unhe ek kharoch bhi aye aapko accha nahi lagta. Hum bhi Hassena madam ki bohot ijjat karte hai. Hum aapki jagah hote toh hum bhi aapse jalte, hum bhi vahi karte shayad jo aapne kiya.

Karishma: Phir bhi...

Akash: Humne maaf kiya aapko. Aap please humse baar baar maafi mang kar hume sharminda maat kijiye.

Aarti: Ha madam. Tajurbe mein aap humse badi hai. Accha nahi Lagta aapka aaise mafi maangna. Aap jaise hai vaisi hi rahiye. ( Smiled )

Karishma smiled back and forwarded her hand. Aarti smiled widely and they had a handshake.

Till then, Nalini arrived with bags. She bent down to take blessings from Maa and Pushpa ji.

Nalini: Chalo Maa hum chalte hai.

Maa: Aapna khayal rakhna beta. Jyada kaam maat karna. Aur ha ate rehna.

Nalini: Ji Maa hum chalte hai.  Pushpa ji, aap dhyaan rakhna aapna.

Pushpa ji: Ji, hum dhyaan rakhenge. Aap bhi dhyaan rakhna aapna.

Nalini had a handshake with Santosh, Cheeta. Anubhav hugged her tightly.

Anubhav: Aapna khayaal rakhna behna. Hum aapko bohot miss karenge.

Nalini: Hum bhi.

Aarti: Anubhav  Bhaiya hum Raksha Bandhan ke din aa nahi paye. Lekin aaj aapko Rakhi bandh kar hi jayenge.

She tied Rakhi around Anubhav's wrist and took his blessings.

Anubhav: Aap bhi aapna dhyaan rakhna.

In the meantime, Hassena approached Nalini.

Hassena: Thank you!

Nalini ( confused ): Thank you kis liye??

Hassena: Kal ke liye. Aap agar hume nahi manati toh shayad hum dono ke jazbaat latakti talvar bankar rehte aur kabhi kisi ke samne nahi ate.

Nalini: Isme thank you ki jarurat nahi hai. Yeh toh hamare bhaiya ki aur hamara farz tha. Hum samajhte hai ki pyaar ko na pane ka gum kya hota hai. Aab aap dono khushi se reh sakenge.

Hassena: Fir se thanks!

Santosh: Kis baat ke liye Madam?

Hassena: Kuch nahi Santosh, hum baad mein sab bataenge.

After having an emotional goodbye. All three bid goodbye to all. All were emotional but Karishma was standing their emotionless. Not even hatred was visible on her face.

*********************************


Understanding and Trust ( Maddam Sir FF ) ✓Where stories live. Discover now