Devir OS_(lapataa💞) Last part

735 83 24
                                    


safar bohut khamosh jar rha hota hai... karan ko abb yeh khamoshi ajeeb lag rhi hoti hai to woh ik koshish karta hai hai....

kv : So Deba life kesi jarhi hai tumhari.... hmm sb thk?

Deba karan ki taraf dekhti hai...uska dil chahata hai k woh karan k seene se lag jae to bohut roe usse se gilla kary.... usse pochy k woh kahan tha jab usse ik dost ki zarort thi, jab usse srif uski zarort thi... kahan tha woh... kiunky woh chah kr bhi usse dur nhi ho pae...kitna yaad nhi Kia usne...uska dil to bohut chahata hai pr....us wqt woh apne jazbaton ki nhi balky us khamoshi mai chuppi hue narazgi ko chunti hai.... apna haq smjh kr...

deba : Meri life kesi jarhi hai... huh...yeh app poch rhy hain karanvir?

karan gets shocked

Kv : KARANVIR ? really yeh mai karan ya KV se karanvir kab bn gya tumhare lie deba?

Deba : Yeh sawal app khud se Karen to behtr hoga.... shyd Mera jawab apko pasand na aae..

Kv: kesa sawal, kesa jawab deba... tumhe ho Kia gaya hai...aur mai kiun tumhari batein napasand karne laga...

Deba : hoskta hai k itne wqt mai apki pasand badal gae ho.... maybe..

(usko karan ki insta story yaad aati hai)

kv : hume ik dusre se mile 1 month hua hai debattama... na k saal jo meri pasand badal jaegi...

Deba : Debattama....mai bhi deba ya mishti se debattama hochuki hon apke lie karanvir.... aur app kehty hein k 1 month hua hai na k ik saal.... humare bich bohut kuch badal gya hai.... ik month mai 29 din guzare hain maine....aur hr ik din ko akelepan mai guzara....

deba kehti kehti ruk jati hai.... kiunky woh kamzor nhi parna chah rhi hoti... woh apne anso chupane k lie apna chehra dusri taraf karleti hai...

Deba : Behtr hoga k hum is bare mai aur baat na Karen....

karan heran hokr uski taraf dekhta hai... aur bina kisi natije k dobara woh safar khamoshi mai badal jata hai..

karan ( in mind) : Kia hua hai isse... yeh ase kiun keh rhi hai... Kia hai naraz hai mujhse...mujhe baat karni hogi...mai ase bich mai is baat ko nhi chor skta....

karan isi soch mai hota hai k thori dair bad car deba k apartments ki entry pe rukti hai...

deba : bohut shukriya apka... apne meri itni madad ki... pr abb apko jana chaiye.... mai apko aur mazeed takleef nhi dena chahti... chlti hon...

yeh keh kr woh car se nikalti hai... aur apni building k taraf jane lagti hai.... k tabhi usko peechy se awaz aati hai...

kv : mere sawalon k jawab dekr jao deba...

deba palati hai...aur karan uske smane jakr khara ho jata hai...

dono halki barish mai bheegne lagty hain...

karan grab her shoulders...

kv : Deba Kia hua hai?

deba ik qadam pechy hatti hai...

deba : mujhe Kia hona hai....

kv : to phr tum ase kiun baat kr rhi ho... tumhari hr ik baat mujhe chubh kiun rhi hai...

deba : wah meri baatein abb chubhne bhi lagi hain... huh ye din bhi ana tha...

her gets moist...

karan hold her hand n trying to convince her...

kv : nhi nhi... Mera woh matlab nhi tha mai to...

deba : Mera hath choriye....mai apse naraz hone ka, apse shikwa karne ka bhi haq kho chuki hon shyd... kiunky abb apko meri baatein chubhti hain....

shakhi_Os & Ts  Where stories live. Discover now