~𝙃𝙖𝙨𝙧𝙖𝙩-𝙚-𝙙𝙚𝙚𝙙: 𝙡𝙤𝙣𝙜𝙞𝙣𝙜 𝙩𝙤 𝙨𝙚𝙚~

32 10 16
                                    

Kyun subah uthte se khafa rehta hoon
Tum nahi samjhoge..
Kyun haste haste achanak khamosh hojata hoon
Tum nahi samjhoge..
Kyun aayine ke rubaru tumhe bhulane ka vaada karta hoon
Tum nahi samjhoge..
Kyun ek pal tumhe pyaar karta hoon aur agle hi pal alvida kehta hoon
Tum nahi samjhoge..

Fajr se isha tak duaa mein tum
Aasoon se hasi tak,ehsaas mein tum
Khanmoshi se izhaar tak jazbaat mein tum
Jeene aur mout ke maksad mein tum...

Nashe mein hoke fanaa tumse milna agar gunah hai
Toh hum gunhegaar hi sahi..
Tumhare gale lag kar tumse hi gila karna agar kamzori hai
Toh hum kamzor hi sahi..
Lafzo se lubhana aur tumhe apne paas lana agar chalaki hai
Toh hum chaalbaaz hi sahi..
Bin vaade ke tumhare paigaam ka intezaar karna agar pagalpan hai
Toh hum pagal hi sahi...

𝐓𝐇𝐎𝐔𝐆𝐇𝐓𝐒  𝐧/𝐍~Where stories live. Discover now