★OS:-1 ★

3.1K 124 17
                                    

It will start from the bashi biye of annirudh and manorama !!! Where annirudh gives bondita a choice to be badi patni or go to the hostel !

Annirudhs age :- 24
Bonditas age :- 14

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Annirudh :- kehta toh Mai bahut Kuch Hu bondita !! Lekin kya tum meri baatein sunti ho ?

Bondita :- bachpan se leke aajtak Maine aapki saari baatein suni bhi h , aur maani bhi h !! Lekin aap hi ek h jisme aajtak na Kisi ki suni h , na maani h !! Aapne Kabhi bhi ye socha h ki , jab bhi aap kisi bade pe chillate h , vo tak dar jaata h , aur jab aap mujhpe chillate h , tab Mera kya haal hota Hoga !?

Jab ham log haveli se nikle the , Aapne aapko saabit Karne ke liye , tab Aapne mujhse waada Kiya tha ki aap Kabhi bhi doosra vivah nhi karenge !! Lekin Kiya na !! Aap jhoote h , Barrister babu !!

Sumati :- BONDITA !! Apne pati se bhala koi aise baat karta h ?

Bondita :- apni beti ko hi bhala beech raaste me koi aise chodke jaata h ?

Sumati :- Mai Teri maa Hu bondita !! Tameez se BAAT Kar !!!

Kaka sasurji :- rehne dijiye sumati ji !!! Apni beti par haq jamaane ka adhikaar aapne kho dia h !! Aap uski vo maa nhi h jo uska saath deti thi !! Aap toh badal gayi h !!

Sumati :- samdhi ji , mujhe meri beti ke saath kya karna h kya nhi vo aap mat bataiye mujhe !! Maine use janam diya h , bachpan se uske saath rahi hu !! Mai use aapse zyada jaanti hu !!

Bondita :- galat !! Mera vivah 7 Saal ki umar me hua tha na !!?? Toh mai aapke paas sirf 7 Saal rahi hu , jinme se mujhe pehle ke 3 saal toh yaad bhi nhi h ki Mai kaise rahi , ab mai 14 ki hu , uss hisaab se Mai apne sasural me bhi 7 Saal hi rahi hu !! Jitna aap mujhe jaanti h , utna hi mujhe mere sasural wale bhi jaante h ya shayd usse bhi zyada !!

Sumati :- bondita !! Ye koi tareeqa h apni maa se baat karne ka ?

Bondita holds her head and sat on the floor with a jerk !!

Bondita:- please !! Please mujhe aur mat uljhaiye !! Mai pehle se hi bohot duvidhao me hu !! Mujhe samajh nhi aa raha h kuch !! Mujhe......mujhe....mujhe bohot hi lachaar mehsoos ho raha h !! Aisa lag raha h ki Mai kuch kar hi nhi sakti !! Saare rishte saare naate mere haath se registaan ki rait ki tarah fisaal rahe h !! Aisa ......Aisa lag raha h ki sab mujhse bas peecha chudana chahte h !! Mai kisi ke liye maayne hi nahi rakhti !!!

All had tears seeing her in such state !! Manoramas parents were rolling their eyes taking this as drama !!

Bondita :- Manorama didi !! Bataiye na , Maine Aisa kya kia ? Ki mujhe itni badi sazaa mil rahi h !!

Manorama had tears !!

Bondita:- kaka sasurji , Maine toh roz dugga maa ki pooja ki h vo bhi poore man se , toh dugga maa kyu hamesha mujhe sazaa deti h ?

Kaka :- beta , dugga ko tum bohot pasand ho !! Dugga maa un logo ke jeevan me kathinaiyaa deti h , Jo unke sabse pyaare hote h !! Aur tum dekhna !! Ye sab dukh hamesha nhi rahega !! Ek na ek din tum bhi khushaal jeevan jeeyogi !!

Bondita :- kaka sasurji , mujhe jhooti dilasaye mat dijiye !! Nhi Banna dugga maa ka itna bhi pyaara ki poora jeevan bass meri aakhon mein aasu ho !!   Isse accha ki Mai papi hi bhali !! Aap kehte the na ki acche logo ke saath accha hi hota h , lekin nhi kaka sasurji, hamesha bure log jeet jaate h , aur insaaf milte milte itna waqt guzar jaata h ki insaaf ke maayne hi khatam hojate h

Manoramas mother :- samdhi ji , rasam kab karni h ?

Kaka glared her !!

Bondita :- maaf kijiyega !! Mai jaati hu wapas !! Maine gusse me aake manorama didi aur barrister babu ki rasam kharab kardi !! Maaf kijiyega !! Shaadi mubarak ho barrister babu !!

anidita os book Where stories live. Discover now