aisa hua toh kya karegi Karishma singh..

3.6K 170 16
                                    

it just my thoughts, bahot dinno pehle likha tha, bas aaj post kar rahi hun, it's a one shot story..

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Pushpa ji running behind Karishma, while asking something- tum baata rahi ho humein, yeh itna madamsir ke liye kiu kiya jaa raha hai..

Karishma quickly turns to her with the action of SI, & Pushpa ji frown her eyes, & Karishma says- amma mann kiya iss liye bulaya hai..

Pushpa ji smile with doubtful way & says- bahurani jitna hum tumhe jaante hai, utna koi nahi jaanta, toh issye accha hai, sach bol do..

Karishma give her sharp stare & says- arye abhi aapko kya hum sab kuch khulkar bole, jara samjha karo na, dil dukha hai unnka, aur hum bas unnhe unn sab chizon se bahar nikalna chahte hai, aur kuch nahi..

Pushpa ji keep her one hand on waist & say- aur itna pyar achanak se kaise aaya hai aapko madamsir par..

Karishma shook her head in unbelievable way & says- Pushpa ji..

Pushpa ji frown her eyes with tone of stern- huh!

Karishma up her both hands in a way of give up & says- amma, hum bas yahi chahte hai madamsir phir se wahi madamsir bane jo ke, Anu bhaiya se milne se pehle the, aur bahot baar humein dekha hai, madamsir saara kaam hone ke baad jo ek waqt aata hai, jo ke uss waqt mei kuch bhi nahi hota hai tab na unnka dimag shayad unnhe wahi jagah par lekar jaata hai, jaha par woh nahi jaana chahti hai, aur pichle kuch dinno se madamsir ko dekha hai, woh Aun bhaiya ko miss karne lagi hai..

Pushpa ji says with irks tone- lekin aapke Anu bhaiya ne unnka dil toda hai, yeh mat bhuliye, aur madamsir unnhe miss nahi kar rahi hai, aur unnka dimag unnhe ussi waqt lekar iss liye jaa raha hai, kiu ki unnke jehen mei woh ek sawal unnhe pareshan kar raha hai, ki kiu aapke Anu bhaiya ne unnka dil 2 baar toda aur saath mei unnka ek vishwas tha na pyar ke prati, usse kiu toda hai, aapke dimag mei agar yeh baat hai ki madamsir unnhe miss kar rahi hai, toh usse abhi ke abhi kahi bahar dur phekh dijiye, aur galati se bhi yeh mat sochiye ki woh aapke Anu bhaiya ko maaf karngi, agar woh unnke samne bhi aaye toh..

Karishma says with irks tone- kiu nahi maaf karngi, agar Anu bhaiya ki koi galati nahi hogi toh, woh kiu nahi maaf karngi, akhir Anu bhaiya bhi ek insan hai, unnki bhi koi baju hogi, aur usse hum jhuthla nahi sakte..

Pushpa ji taking side of Haseena & says- haan, hum maante hai, unnki bhi koi baju hogi, lekin ek insan 2 baar ek hi galati kare toh usse bewkufi bolte hai, aapko bhi acche se pata hai, madamsir aapke Anu bhaiya se kitna pyar karti thi, chalo pehli baar unnhone, mission jeet ke liye madamsir ko unnke pyar ke natak mei phasa liya, lekin tab bhi madamsir unnse saccha pyar karti thi, aur dusri baar, dusri baar toh madamsir unnse bhag rahi thi, unnse dur rehe rahi thi, phir bhi woh chahte the unnhe unnki zindagi mei..

Karishma cut her mid & says- amma aap yeh mat bhuliye ke aap hi thi jo Anu bhaiya ka saath de rahi thi, madamsir ki zindagi mei Anu bhaiya phir jaaye, tab toh hum maana bhi kar rahe the, lekin aapne humein bhi aap mei se ek hissa bana liya, aur jo madamsir ko naa karna tha, wahi unnhe karne par majboor kar diya, aur yeh sab bawal jo macha hai na, uss mei jitney Anu bhaiya gunhegar hai na, utne aap bhi hai aur woh sab hai, jo Anu bhaiya ko support kar rahe the..

Pushpa ji got the point but she not agree for it, & she says with irks tone- phir bhi humein aapke bhaiya hi galat lag rahe hai, agar yeh sab karna tha, toh baat sagai tak jaane hi nahi dete, aisa kuch karna tha, toh sab pariwar samet baithkar baat ko samjhte ki unnhe sagai nahi karni hai, aise poori bhari sagai ke function ko chodkar bas chale gaye, naa kuch baat kahi naa kuch safai di, bas bhag gaye, bhagoda hai, tumhara bhai, jo insan khud ki safai mei kuch naa bole usse bhagoda hi bolte hai, aur aaj jo madamsir kabhi-kabhi, beech-beech mei aapna apaa khoti hai, kabhi-kabhi jo choti-choti baaton par gussa karti hai, uss baat ki wajah sirf aur sirf aapka bhai hai, madamsir dikhati nahi hai, lekin unnke dil aur dimag mei ek baat toh jarur hai, ki woh 2 baar ek hi insan se bewkuf kaisi bani, jo har ek baat ko jazbaat se dekhti hai, akhirkar usske wahi jazbaaton ke saath ek hi insan 2 baar kaise khel gaya, yeh baat unnhe pareshaan kar rahi hai, yeh jo aap abhi kar rahi hai na, usse kuch hasil nahi hoga, baat wahi ki wahi dhari reh jaayegi, unnke liye jo ek waqt aata hai na, uss waqt ke liye aap kuch bhi nahi kar sakti..

Maddam sir: One Shot Collection..Onde histórias criam vida. Descubra agora