Yun Na Khamosh Rahe

42 7 5
                                    

Mehki Mehki Hai Fiza Raat Hai Tanhai Hai,
Yun Na Khamosh Rahe Aap Koi To Baat Kare,

Har Pal Aapke Jalwon Ki Tamannai Hai,
Chandni Bhi Aapke Qadmon Mein Simat Aayi Hai,

Ab Na Sharmaye Husn Ki Khairaat Kare,
Surkh Honthon Pe Ye Halka Sa Tabassum Tauba,

Khamoshi Mein Bhi Ek Andaaz-E-Takallum Tauba,
Aur Betab Na Ab Shauk-E-Jazbaat Kare,

Ye Mere Khwaab Ki Jannat, Meri Rangeen Ghazal,
Raat Dhalne Lagi Bujhne Lage Taaron Ke Kanwal,

Kab Talaq Yun Hi Chup Chap Mulaqat Kare,
Yun Na Khamosh Rahe Aap Koi To Baat Kare

нααℓ-є-∂ιℓWhere stories live. Discover now