chapter 8

239 17 5
                                    

(Ananya was standing there silently watching everything and tears were flowing from her eyes)
Kartik : Sara tum ne jawab nhi Diya
(Sara was also shocked because she thought that kartik loves ananya and then Tara comes near to her)
Tara : Sara kya soch rhi hai haan bolde main janti hu ki tu kartik se pyaar karti hai (whispering in Sara 's ear)
Sara : haan par ...
Tara : par matlab
Sara : matlab main aise kaise sab ke samne
Tara : dekh agar tu kartik se pyaar karti hai toh bol de kyun Sharma rhi hai
Sara's pov : kya ye sab sach hai kartik mujhse pyaar karta hai par ananya (she looked at ananya who had tears in her eyes )ananya ki ankhon mein aansoo iska matlab ananya kartik se pyaar karti hai
Kartik : kya tum mujhse pyaar nhi karti , Sara ...
Tara : haan bol de isse acha mauka aur kahin nhi milega samjhi tu
Sara : I love you too kartik
(Kartik get shocked )
Kartik : sach (with big smile )
Sara : hmm,(kartik puts the ring on her then they both hug each other)
(When everyone started shouting with joy, ananya came to her senses and she slowly started going back from there and silently she came out of party . Ananya was walking alone on the road and crying remembering everything what happened over there )
Ananya's pov : ye sab mere sath hi kyun hota hai ? maine kya bigada hai kisi ka bhagwaan ji (while crying ) pehle aap ne mujhse meri mumma ko cheen liya aur ab mera pehla pyaar vo bhi adhura reh gya .
(Meanwhile at party )
Sid : main bahut khush hu tum dono ke liye congrats
Kartik : thanku
Varun : Woohoo finally humara Bhai single nhi rha
(Shraddha and Alia was also shocked )
Alia : ye sab kaise ho gya
Shraddha : kartik toh ananya se pyaar karta tha na
Alia : ananya ! kahan hai ?
Shraddha : chal usse dhoondte hai bechari pata nhi kis halat main hogi
Alia : hmm
(Then they started looking for Ananya but she was not found meanwhile ananya reached at hostel room and crying while lying on bed )
Shraddha : mili
Alia : nhi yaar ! ruk main uska phone try karti hu
(Then alia calls her)
Alia : phone toh band aa rha hai
Shraddha : mujhe lagta hai vo hostel gyi hogi
Alia : toh chal hum bhi vahi chalte hai usse humari jarurat hogi
Shraddha : hmm chal
(Then they went to hostel and entered in their room and saw ananya is crying )
(Meanwhile at party )
Sid to Varun : yaar Shraddha ko dekha kya tune
Varun : nhi yaar infact Alia bhi kaafi time se nhi dikh rhi
Kartik : haan aur ananya bhi toh nhi dikh rhi
Tara : mujhe lagta hai vo log chale gye hain shayad
Kartik : aise achanak Bina bye bole
Varun : nhi mujhe lagta hai ki humein unse puch lena chahiye ki vo hostel chale gye hai aur theek se pahunche hai ki nhi
Sid : main phone karta hu
(Sid called Shraddha )
(Concurrently , Shraddha's phone rang )
Shraddha : sid ka call hai kya karu
Alia : utha le par bahar Jaa kar baat kar le
Shraddha : kya bolungi agar usne pucha ki hum log party se aise kyun aa gye
Alia : Koi bahana bana dena
(Shraddha goes out from room and picks his call )
Shraddha : hlo
Sid : hlo Shraddha kahan ho tum log
Shraddha : sid actually hum vo hostel aa gye hain
Sid : hostel par aise achanak tum logon ko humein inform toh karna chahiye tha na
Shraddha : actually , vo ananya ki tabiyat theek nahi thi isliye hum jaldi aa gye
Sid : kyun kya hua ananya ko vo theek toh hai na aur tumhe humein batana chahiye tha na
(Meantime )
Alia : ananya (she puts her hand on her shoulder and ananya turned towards her)
Ananya : Alia tum (while wiping her tears )
Alia : tum theek ho
(Ananya didn't reply her )
Alia : ananya dekho main janti hu ki aaj jo kuch bhi hua vo .....
(Ananya hugs her and crying )
(Simultaneously )
Shraddha : nhi ab ananya theek hai humnein tumhe issliye nhi bataya kyun ki hum tum logon ko faltu mein stress nhi dena chahte the
Sid : par vo
Shraddha : Hum log theek se pahunch gaye hain ok bye kal college mein milenge hmm
(She cuts the call )
Sid : par arey hlo
Kartik : kya hua
(Sid told them everything )
Kartik : ananya ki tabiyat theek nhi hai kya hua usse
Sid : relax kartik ab vo theek hai
Varun : mujhe lagta hai ab Humein bhi chalna chahiye yaar
Kartik : hmm , chalo
(Then they all went )
(Meanwhile , Shraddha enters in room )
Alia : ananya , please don't cry
(Ananya breaks the hug and wipes her tears )
Alia : mujhe toh itna gussa aa rha hai na kartik par ki mann toh kar rha ki jaakar ek kheech kar lagau
Shraddha : aur nhi toh kya
Ananya : isme uski kya galti hai
Alia : kya galti hai ? Ye tu puch rhi hai
Shraddha : arey galti kyun nhi hai uski humein khud dekha hai uski ankhon mein tere liye pyar
Ananya : dekha hai ? kya kabhi usne kaha ki vo mujhse pyaar karta hai
Shraddha : par vo ..
Ananya : sab meri galti hai usne toh kabhi mujhe nhi kaha ki vo mujhse pyaar karta hai haan vo meri care karta hai , mera humesha sath deta hai , jab main dukhi hoti hu toh mujhe hasata hai par ek dost ki tarah jaise tum log karte ho aur main itni bewkoof thi ki uski friendship ko pyar samjh baithi . Meri zindagi mein pyar vyar naam ki chiz hi nhi hai mujhe toh na kabhi maa ka pyar mila aur na hi papa ka bhai behen toh..... (She starts crying )
(After listening her Alia & Shraddha have tears in their eyes )
Shraddha : ananya (while hugging her)shhh.. shant ho jaa please tu ro mat
Ananya : kaise shant ho jaun Shraddha tu toh janti hai na main usse kitna pyar ...(crying )
(Alia could not see her crying so she came out of the room)
Alia's pov : hey bhagwan ji, ye kya ho gya , ye sab ananya ke sath hi kyun hua , uss bechari ko toh bachpan se sirf dukh hi Mila hai , kaash main uske liye kuch kar pati (crying )
Meanwhile
Shraddha : main janti hu ki ye tere liye aasan nhi hai par dekh Rona band kar varna teri tabiyat kharab ho jayegi (while wiping her tears )
Alia (while entering in room ): jo hua hum usse badal toh nhi sakte par ek nayi shuruaat toh kar sakte hai na
(After thinking a while )
Ananya : ye pyar vyar mere liye bana hi nhi hai . tum log theek keh rhe ho main sab bhula kar ek nayi shuruaat karungi par tum logon ko mujhse ek promise karna hoga
Alia : promise ?
Ananya : main kartik se pyaar karti hun ye baat aaj ke baad koi nhi karega aur tum ye baat sid , kartik aur Varun ko nhi bataoge
Shraddha : promise nhi batayenge
Alia : hmm ,
Ananya : guys , raat bahut ho chuki hai tum log so jao meri vajah se tum log bhi...
Alia : chup ek dam chup agar teri jagah hum hote toh tu kya humein nhi sambhalti (then , they hug each other)

(I hope you guys will love it 🤞)

soty 2Where stories live. Discover now