chapter 9

143 15 0
                                    

Next morning
(Alia , Shraddha are sleeping but ananya is sitting on the couch and thinking about something )
Ananya 's pov : yeh life kitni ajeeb hoti hai na kab kya ho jaye kuch pata nhi hota . Kal tak main kitni khush thi aur aaj ... mujhe aisa lag rha hai jaise sab kuch khatam ho gya ho Mujhe kuch samajh hi nahi aa rha ki main kya karu.
(Tears flowing from her eyes )
(Shardha got up and saw Ananya sitting on the couch, her face was sad, her eyes were swollen.)
Shraddha : ananya (ananya looked at her )
Ananya : Shraddha uth gyi tum
Shraddha : ananya yeh kya halat bna rakhi hai tumne tum raat bhar soyi nhi na
Ananya : vo mujhe
Shraddha : mujhe kuch nhi sunna tumne kal khud promise kiya tha ki tum ek nayi shuruaat karogi aur aaj
Ananya : toh main kya karu yeh sab mere liye aasaan nahi hai . Main kaise ekdum se bhul jao jo kal hua . Main aankh band karti hu toh mujhe kal raat jo hua vo sab yaad aa jata hai .
( Alia got up )
Alia : kya hua , ananya tum raat soyi nhi
Ananya : mujhse nhi ho rha main kya karu ? Main Kahan jaon (while crying )
(Alia hugs her)
Alia : main janti hu ananya yeh tere liye aasaan nhi hai par trust me tu jitna us cheez baare sochegi na utna jyada dukh tujhe hoga dekh tu Rona band kar chal college ke liye ready hote hain.
Shraddha : haan aur aaj main decide karungi ki tu kya pehnegi thik hai
Ananya : main college nhi Jaa rhi hu
Shraddha : par
Ananya : nhi Shraddha please mujhse nhi hoga
Alia : par ek baar
Ananya : tum dono chahti ho na ki main ek nayi shuruaat karun toh bas mujhe uske liye thoda waqt chahiye . (While holding their hands)
Shraddha : theek hai jaise tujhe sahi lage
(Then Alia and Shraddha got ready and leaving for college)
Alia: apna dhyan rakhna aur kisi cheez ki bhi jarurat ho toh Hume call kar dena , hmm.
Ananya : tum dono meri fikar mat karna aur agar Varun aur sid mere baare mein puchenge toh unhe kehna ki meri tabiyat theek nhi hai
Shraddha : aur kartik ne pucha toh
Alia : arey hum use bhi yahi kahenge aur nhi toh kya
Shraddha: oh haan , sorry
Ananya : it's ok Shraddha
(They went to college )
In college
(Janhvi , Sara and Tara are sitting in cafeteria)
Janhvi : mujhe toh yakeen hi nhi ho rha ki tu aur kartik
Sara : kyun ?
Janhvi : nhi , mujhe lagta tha ki kartik ananya se pyar krata hai par
Tara : same , mujhe bhi yahi lagta tha
Janhvi : but I am very happy for both of you
(Aditya comes there )
Aditya : hey girls
Girls : hi adi
Aditya : Sara tum akeli
Sara : akeli matlab yeh hai na mere sath
adi : no no , I am asking about your boyfriend
(Sara blushes)
Adi : mujhe laga tha ki ab toh tum dono ek dusre ko bilkul akela nhi chodo ge
Tara : adi mat chedo yaar usse
(Then Sara's phone rings )
Janhvi : kiska phone hai
Sara : vo , actually yeh
Adi : arey kartik ka hoga
Janhvi : kartik ka hai ?
( Sara nods )
Tara : toh utha na
(Then Sara pick up his call)
Sara : hlo
Kartik : hi
Sara : kuch kaam tha
Kartik : kyun Bina kaam ke call nhi kar sakta
Sara : nhi vo mera matlab
Kartik : acha acha relax main mazak kar rha tha tum har baar nervous kyun ho jati ho
Sara : nervous nhi toh
Kartik : maine tumhe iss liye call Kiya tha ki kya tum mere sath date par chalogi
Sara : par kahan
Kartik : jyada dur nhi bas college ke paas mein jo cafe hain vahan
Sara : ok
Kartik : toh tum aa jao phir
Sara : abhi
Kartik : haan kyun ? nhi aa sakti
Sara : nhi aisi baat nahi hai vo
Kartik : toh bas fir aa jao
Sara : theek hai main aati hu
(She cuts the call )
Janhvi : ohhhoo , Kahan bulaya hai tumhare kartik ne tumhe
Sara : shut up janhvi
Tara : arey kya galat kaha usne , Sahi toh bol rhi hai . Chal ab bata
Sara : vo mian tumhe aa kar bataungi ok bye .
(She left )
Tara : arey sun
Adi : jane do Tara usse
In classroom
Varun : yeh kartik bhi na
Sid : ab kya kiya usne
Varun : arey kuch nhi aaj uski pehli date hai toh maine usse kaha ki kuch flowers lekar Jana par vo aise hi khaali hath chala gya
Sid : arey koi nhi bachha hai dheere dheere seekh jayega
(Alia and Shraddha comes there )
Alia and Shraddha : hi guys
Varun and sid : hey girls
Alia : kya chal raha hai
Sid : kuch nhi bas aise hi
Varun : ananya nhi ayi
Shraddha : nhi uski tabiyat kuch thik nhi hai
Varun : kahi kuch jyada serious toh nhi kyunki kal tum party se bhi aise Bina bataye chale gye
Alia : nhi itna serious nhi hai vaise kartik dikhai nhi de rha
Shraddha : haan , kartik kahan hai
Sid : voh date par gya hai sara ke sath
Varun : yahin paas Wale cafe mein
Alia : ohh acha
Shraddha : chalo guys class ka time ho gya hai
At hostel
(Ananya is sitting near the window and thinking about the moments which she spend with kartik )
Ananya's pov : maine Alia aur shraddha ko promise toh kar diya hai ki main ek nayi shuruaat karungi par yeh sab kaise hoga . Main kartik aur Sara ko ek sath nhi dekh paungi 🥺. Mujhse nhi hoga ohh God please help me . Main kaise ek din mein yeh bhool jaun ki main kartik se pyar karti hu , main apni feelings ko kahan chupaun jahan se vo kabhi bahar na aaye . Main kya karu mujhe kuch samajh nahi aa raha
(She starts crying )
In cafe
Kartik : mujhe sach mein nhi pata tha ki tum bhi mujhse pyar karti ho par tumne mujhe bataya nhi ki tumhe kab realise hua ki tum mujhse pyar karti ho
Sara : mujhe bhi tumse pehli nazar wala pyar ho gya tha par mujhe yeh lagta tha ki tum shayad ananya se pyar karte ho iss liye maine hamesha apni feelings ko dabakar rakha kyun ki main tum dono ke beech nahi aana chahti thi
Kartik : main aur ananya nhi , hum dono bahut ache dost hain aur kuch nhi .maine kabhi usse uss nazar se dekha bhi nahi
Sara : aur usne
Kartik : usne bhi kabhi nhi dekha hoga
Sara : par tum itni yakeen se kaise keh sakte ho
Kartik : 😶

(I hope you guys will love it 🤞)

soty 2Where stories live. Discover now