8.

909 120 13
                                    


Haseena n karishma dono hi principal office wale incident ke baad thode awkward ho gye. Vo dono ko hi samjh nahi aa rha tha ki uss din kya hua, dono hi apne dil or dimag ke sath lad rahe the.
Ye sab ke chalte karishma abhi bhi history ki class nahi le rahi thi as use lag rha tha ki uske samne hone se haseena ke liye chize or bhi muskil ho jayegi.

Par haseena ko karishma ka aesa behavior bhi pasand nahi aa rha tha. Ek din usne apni class khtam ki or garima or susheela ko roka.

Hm : tum dono ek baat btao

Sr : ke

Hm : karishma kaha h, vo class bhi nhi le rhi itne dino se

Sr : aapko kuch jyada hi fikar na ho rhi karu ki  🤨

Hm : fikar hume isiliye ho rahi h tumhari karu ki, ki ab thode months baad exam aane wale h or vo class attend nahi kar rhi h, exam me kya karegi

Sr : are madam uski tension aap na lo.  Karu sab kar legi

Gr : ha mam vo dekh legi or vese bhi hum to help kar hi dete h, usko notes bhi de dete h

Hm : par vo class kyu nahi attend kar rhi 

Sr : vo hume na pta

Hm : kaha hogi abhi vo

Gr : shyad garden me

Hm : ok, thank you me dekhti hu

Sr : ji madam ab aap samjhao shayad samjh jaye

Vo teeno class se nikle haseena gyi sidhe garden ki traf usne kaafi dhunda par usko KS nahi mili. At last ek kone me ek tree ke pass bethi thi. Apne phone me kuch dekhte hue smile kar rhi thi.

Hm : apni girlfriend  ko ghurna ho gya ho to kya hum baat kar sakte h.

Ks : hum ghur nahi rahe, nihar rhe h or hum apni gf ko nahi dekh rahe.

Hm : to kon, jra hum bhi to dekhe

Ks : nahi, bad manners   aap teacher hote hue ye sab kar rhi h saram nahi aati apko

Hm : hume kyu ayegi saram
Or konsa koi galat kaam kar rhe h

Ks : kisi or ka phone dekhna ya uske personal chizo me interfere karna is bad manners

Hm : sorry vo hum 😞

Ks : 🤣🤣🤣🤣🤣🤣

Hm : aap has kyu rahe h

Ks : jra apna face dekhiye 🤣🤣

Hm : ho gya, baat kar le

Ks : ha ha sorry, kahiye

Hm : aap history ki classes kyu attend nahi kar rhi

Ks : bas aese hi

Hm : aese hi kya

Ks : vese aapko kyu farak pad rha h haseena

Vo HM ki taraf aage badhi, or HM ne ek step piche lia.

Hm : kk.... Kyuki..... Ee exam aane..... Wali.. H

Ks : usme kya hua

Karishma ne ek step or aage lia, or haseena ne ek step piche

Hm : aa... Aap hh..... History... K... Exam.... Ke. Se.... Dege

Ks : jese sab dege

At last haseena ki back tree se touch ho gyi.

Ks : kya hua haseena

Hm : kk.... Kari... Shma..... Hh.... Hato
Hume.... Cc.... Classs... Me j... Ana h..

Ks : humne kab roka h aapko
Tab bhi nahi roka aaj bhi nahi rokege. Jana h to shok se jao

Haseena iske aage kuch nahi bol pai vo vahi khadi rahi. Karishma ki ankho me dekhte hue. KS ne apne arms phelaye haseena ne turant use hug kar lia or rone lagi. KS uska back rub kar rhi taki usko acha feel h. Kuch minutes baad jab haseena to better feel hua to usne hug break kia. KS ne uska face cup karke apne thumbs uske ansu clean kiye or no me node kia.

Ks : acha vo apko kuch dena tha

Hm : kk... Kya

KS ne apna bag khola or Ek panda usko dia

KS ne apna bag khola or Ek panda usko dia

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।


Ks : ye

Hm : 🙂 iska hum kya kare

Ks : are ye apko protect karega na.

Hm : or vo kese

Ks : vo kya h na isse kungfu sikha dia h humne to bas aapko isse apne pas hi rakhna h to ye apko protect karega

Hm : par hum ise nahi le sakte

Ks : or vo kyu

Hm : aap student ho humari

Ks : friends bhi bane the hum
To ek friend ki taraf se ek chota sa gift humari friendship ke naam

Hm : are par

Ks : hum koi par var nahi sunne vale. Agar aapne hume sach me dost mana ho to ye accept karna padega

Hm : thik h
Aap jeete hum hare, khush

Ks : bhot, ab jaiye class ka time ho rha h

Hm : ji

Haseena vha se jane lagi tabhi karishma ne piche se chilai

Ks : acha suniye, kal se aa jayege aapki class me. Wait kariyega humara

Haseena use smile dete hue chali gyi.

Ks : bas haseena ab hum aapko uss insan ke jurm or nahi hone dege. Jald hi tum azad ho gi vha se.

.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.

____________________________________________________________________________

💗 Aakhir kab tak 💗जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें