Chapter 11

658 61 26
                                    

A car came inside the haveli . Badri and Batuk were already waiting at the gate . Acharya Yagyaprakash came out of the car .

Badri - Pranam acharya ji humne he apko bulaya tha .

Acharya - Hmmm... Kahiye kya samasya hai apke ghar mein ?

Batuk - Meri beti .. hum sabko lagta hai ki uske andar Manjulika ki aatma ghus gyi hai .

Acharya - Accha .. hum dekhte hai hum kya kar sakte hai .

Acharya ji came inside the haveli .

In the hall ,

Acharya ji was sitting along with his disciples , Badri and Batuk . Karan came downstairs with Monami . Acharya ji looked at Monami and immediately recognised her .

Acharya ji - Badri ji jab aapke ghar mein yeh ladki hai toh humari kya zaroorat ?

Badri - Ji main kuch samjha nhi .

Acharya ji - Monami ek bahut acchi doctor hai . Mujhe yakeen hai agar yeh yaha pe hai toh mujhe kuch karne ki zaroorat nhi hai .

Batuk - Doctor ? Monami ne toh humein kabhi kuch bataya nhi .

Acharya ji - Monami ek psychiatrist hai , sach kahu toh kaphi acchi . Apne patients ka bahut dhyaan rakhti hai . Aapke ghar mein koi bimaar hai kya ?

Badri - Ji...woh......

Monami came there and touched Acharya Ji's feet . Karan on the other hand stood there confused .

Acharya ji - How are you Monami ?

Monami - Good . By the way you here ? I mean ...

Acharya ji - Badri ji ne bulaya tha bol rhe hai yaha kisi ke andar aatma aa gyi hai .

Monami - Oh I see . Kya main aapse akele mein baat kar sakti hu ?

Acharya ji - Hmmm chalo .

In the garden ,

Acharya ji and Monami talked for a few minutes . Monami told him about Koel's condition and that there was no spirit or anything .

Acharya ji - Hmmm main tumhari baat samjh rha hu Monami par ...

Monami - Par kya ?

Acharya ji - Dekho beta har kisi ki alag alag soch hoti hai kuch log inn aatmao mein yakeen rakhte hai toh kuch nhi . Aur iss haveli mein rehne wale log pehli tarah ke hai unko tumhari yeh medical science ki baat shayad nhi samjh aayegi . Unhone mujhe yaha bulaya hai aur main unki poori madad karne ke liye taiyar hu .

Monami - Main bhi unki madad karna chahti hu lekin bina kisi ko nuksan pahuchaye . Aap samjh rhe hai na meri baat ko ?

Acharya ji - Thik hai tumhe jo karna hai karo hum apni taraf se tumhari madad karenge . Kuch socha hai akhir kya karna hai ?

Monami - Socha toh hai .

In the hall ,

Acharya ji had left a few minutes ago . Batuk looked at Karan and Monami with anger visible in his eyes .

Batuk - Tumne humein kabhi bataya nhi ki Monami ek psychiatrist hai .

Karan - Aapko kaise ? I mean itne dino se yeh ajeeb incidents ho rhe hai toh dhyan nhi rha .

Badri - Ab tumne jhooth bhi bolna shuru kar diya ! Sach sach bolo !

Batuk - Arey ... Yeh dono kya bolenge main batata hu Karan iss doctor ko zaroor yaha isliye laya taki woh yeh saabit kar sake ki meri beti Suman pagal ho gyi hai aur phir nikal de usse haveli se hai na ?!!

Monami - Aisa nhi hai uncle aap galat samjh rhe hai -

Badri - Ab humein tumse sikhna padega ki kya sahi hai aur kya galat ?!!

Monami - Nhi main toh bas itna -

Badri - Chup !! Ekdum chup !! Hum apne bhatije Karan se baat kar rhe hai tumse nhi !! Tum humare pariwar ke mamlo mein na bolo toh accha hoga !!

Karan - Aap Monami se aise baat nhi kar sakte . Uski toh iss mein koi galti bhi nhi hai maine mana kiya tha ki apne profession ke baare mein Ghar pe na bataye .

Batuk - Par kyu ?!!

Karan - Kyuki mujhe pta tha ki aisa he tamasha hoga .

Batuk - Tum dono ek baat kaan khol ke sun lo meri beti se dur raho !!

Batuk left and Badri followed him . Everyone else had already gathered in the hall .

Janki - Tum dono se yeh umeed nhi thi .

She also left .

Sid - Yeh sab kya hai Monu ?

Monami - Bro tu toh samjh .

Sid - Main samajh rha hu . Karan bro aur tere intentions galat nhi the par tareeka galat tha . Agar aap dono ne shuruat se sach bola hota aaj itna sab sunna nhi padta .

Monami - Tujhe lagta hai agar unhe mere profession ke baare mein pta hota toh mujhe iss ghar mein ghusne tak dete ?

Sanjana - Maine tumse poocha tha pehle bhi tab tumne bahana bana diya aur ab ...

Karan - Tum log samjh nhi rhe ho .

Koel - Main samjh rhi hu aap dono toh accha chah rhe honge isliye kiya yeh sab haina ?

Karan - Hmmm ...

Sid - Thik hai par Chacha ji bro aur uncle ji bro ko manana padega.

Monami - Pta hai Sid par kaise ?

Sid - Candle light dinner pe leke jao dono ko pyaar bhari baate karo shayad maan jaye ?

Karan - Sid woh mere chacha hai girlfriend ya biwi nhi .

Sid - Ha toh ?

Bala - Sid bhai ji aap na apne dimaag ke ghodo ko aaram do .

Chitra - Ha agar humne #Sid ke #ideas use kiye na toh #Badri uncle hum sabko #homeless zaroor kar denge .

Faizi - Arey...yaar ! Koi isse kaho ki bina hashtag use kare bole !

Bala - Rehne do Bhai ji apun ne try maar ke dekha hai par iske bheje mein kuch ghushtaich nhi hai .

Karan - Teri yeh tapori phir se shuru ho gyi !

Bala - Sorry Bhai ji sorry .

Chitra - #Idiot .

Faizi - Ya Allah yeh hashtag !!

Chitra smiled sheepishly while everyone else laughed a little . Karan and Faizi's eyes wandered towards Koel who was smiling freely and a sad smile formed on their lips .
______________________________________

Hi readers ,

Here is the next update on the demands of krinad04  and Ishqaanxzdmn .

Kindly vote and comment if you liked the chapter .

Till then ,
Lots of love 💕
Take care of yourself
Your author
VD__711
______________________________________

Bhool BhulaiyaaWhere stories live. Discover now