29. Is it a Bye to Swetlana?

271 17 1
                                    

It was morning. Omkara had not slept since last night. Janhavi came to his room and said, "Om, tum kal raat se some nahi ho. Please take some rest. Afternoon tak chale jana."

"No mom. Mai jald se jald Swetlana ko Is ghar se, Aapki Zindagi se aur ham sab ki nazro ke saamne se door kr dena chahta hu!
Mai aapko taqleef me nahi dekh sakta mom. Mai aapki khushi ke lie kuch bhi kr sakta hu." 🥺
"Salo beet gaye aapko Swetlana ko face karte. Ab aur nahi dekha jata mujhse mom." He added
"Oh my child!" 🥺 She hugged him.
"Theek hai. Magar aesa to nahi hai ki tum apna khayal bhi na rakho!"
"Mai apna khayaal rakh raha hu mom, magar jab tak Swetlana ghar se nahi jaygi tab tak mai chain se so nahi paunga. Please understand." 😶🤧

"Theek hai. Jaisi tumhari marzi." She smiled 🙃

"Shivaay ne Dadi se baat kr li hai. Usne Engineer ka pata lagwane ke lie experts ki help li hai. Unka jawaab aata hi hoga."

It was 11. Shivaay got all the information along with address of Engineer. They went to meet him.

"Knock knock......"

"Kaun hai?" Andar se avaaz aai.
A girl opened the door.

"Kya yeh Chandrashekhar Tiwari ji ka ghar hai?" Omkara asked.

"Ha ji.....aap unse milne aaye hai? Aur aap To Oberoi brothers hai na?" She asked

"Haa ji." 🙂

"Aap andar aaiyea."

She made them sit in.
A lady (nearly 50-55 year old) came from inside and greeted them.

"Mai Chandrashekhar ji ki bahu Meena hu."

She set near them and told,
"Unki umr bahut zyda ho gai hai. Ve sirf bistar pr hi rehte hai. Na kuch bolte hai, na kuch sunte hai. Unki umar lagbhag 90 saal hai."

"Ham sirf ek baat jaanne aaye hai. Hame vo pata chal jayegi, to ham yaha se chale jaynge."

"Haa bataiyea."

They told her everything.

"Dekhiyea baat aesi hai ki Oberoi mansion bane bahut saal ho gaye hai. Mai bas itna janti hu ki Mere Sasurji ne bahut se mashoor businessmans ke bangle banaye hai. Magar mujhe nahi pata ki un gharo me kis tarah ke suraksha ke intjaam kie gaye the."

"Aap ke ghar me koi to yeh baat jaanta hoga. Tabhi to hamari security ka raaz kisi aur tak pahucha!" Shivaay said

"Mere ghar me Mai hu, mere pati hai, mere do bete hai aur 4 pote-potiya hai. Aur sabse bujurg Mere sasurji hai.
Is bare me ho sakta hai mere pati ko kuch malum ho! Mai unhe bula kr laati hu."

Her husband came out to meet Shiv-om. He was 60 and his name was Santosh

"Mai is bare mai janta hu. Mere papaji ne underground room secretly ka ek map bana rakha tha. Jo unhone mujhe dia tha.
Mai bhi peshe ka Engineer hu.
Mujhe bhi 1 baar ek bade businessman ki Secrets ke ghar security arrangements ke lie kuch accha design karne ko kaha gaya. Maine apne papaji ke map se Inspiration le kr use design kia tha. Now I don't know ki ye cheez kisi aur ko kese pata chali.
Pr ek baat hai, ki construction ke beech me hi unhone ye idea candle kr dia tha"

"Ye baat vo log to jante honge na jiske yaha aapne construction, karaya tha!"

"Haa jante hai."

"Kon hai vo? Aur use kya zaroorat padh gai ye high class security ki?

"Vo kapoor thi. Mujhe naam nahi yaad aa raha uska........Magar Uska naam S se tha!"

Shiv-om looked at each other with wide eyes 😳👀

"Kahi vo Swetlana Kapoor to nahi?"

"Are haa......Swetlana!
Mai nahi jaanta ki vo kis ki secretory thi. Kyuki mera kaam bas construction karwana hai. Magar kya aap unhe jaante hai?" He asked both

(Jaante hi nahi, pahchante bhi hai aur ghor parashani ka saamna kr rahe hai 🤣🤣🤣🤣🤣🤣)

"Vo sab to theek hai magar aap ne ye design kyu copy karne ki koshish ki? Ye hamare dadaji ne banvaya tha! Khud! Ye unka idea tha, aur ise copy karne ka kisi ko right nahi hai!" Shivaay said with anger 😠

"Mai maafi chahta hu aapse. Magar maine ye banaya to nahi na!"

"Aap ise abhi, isi waqt yeh map mujhe dijiyea. Mai aage se koi risk nahi lena chahta."

Shivaay and Omkara took the map from Him.

"Aap mujhe galat na samjhe. Mai aapse maafi mangta hu." santosh apologised

"Aap maafi na mange. Aap hamse bade hai.
Shivaay ne jo bhi kaha, gusse me kaha. Kyuki ye hamari security ka sawaal tha.
And I would like to thank you. Aapne hame ye map saup dia." Omkara replied.😇

In the Oberoi mansion:-
Swetlana had a doubt on Om, Chulbul and Janhavi. She sneaked into the Room in everyone's absence. She found a laptop and a big projector there. She turned it on and got to know the truth.
"To ye hai Oberois ki chaal! Magar inhe kya pata, ki inhone Swetlana se panga liya hai." She smirked.

Dil Bole Rikara | ✔ FFWhere stories live. Discover now