29

1K 67 17
                                    

Author's POV

Next day Y/n office me kaam ker rahi hoti hai tabhi Bhaskar uske paas aaker bolta hai," Ma'am...pichle teen dino se kuch students apse milna cahte hai....sayad unke paas appointment nhi hai.... security ne unhe mana bhi kia per.......wo apse Milne ki zid ker rahe hai ma'am."

Y/n Bhaskar ko unhe andar lane bolti hai, wo sab y/n se hath jod ker namaste kerte, " Ma'am hum bhut dur ek gao se aye hai

Deze afbeelding leeft onze inhoudsrichtlijnen niet na. Verwijder de afbeelding of upload een andere om verder te gaan met publiceren.

Y/n Bhaskar ko unhe andar lane bolti hai, wo sab y/n se hath jod ker namaste kerte, " Ma'am hum bhut dur ek gao se aye hai......Puri duniya aage badh gayi hai ma'am lekin humare gao ki halat wese ki wesi hai.....apki hi party ka ek neta hai Damu, unka bhai humara MLA tha...... Kuch samay pehle unki maut ho gayi thi isliye bioelections declare ho gaye....per iss bhi ticket Jo hai wo unhi ke bete ko diya gaya hai ma'am." Wo ladka batate batate rone lagta hai,"humne socha ek bura admi gaya lekin abb ussi parivar ka dusra admi aa raha hai ma'am apni pareshaniya batane ke liye 3 kilometre Jana padta hai aur wo rasta bhi abb kharab ho gaya hai ......aur agar hum pahuch bhi jaye apni pareshaniya bataye fir bhi koi fayda nhi hai ma'am waha koi nhi sunta.....koi unpe gussa kerde na toh ye baat tay hai ki wo insan ghar wapas nhi lautta ma'am, inn sabki family ke sath aesa ho chuka hai ma'am." Wo apne baki dosto ki taraf ishara kerta hai," wo jawab mange gaye thhe char saal ho gaye hai unme se koi nhi wapas aya ma'am...."

Y/n unn sabhi ladko ko dekhti hai, unme se ek aur ladka bolta hai,"gao mein jo sarkari log hai wo hume kisi bhi policy ka fayda nhi uthane dete ma'am, paisa ho ya anaz humari zindagi ek abhishap ban gayi hai..... Hum waha mar mar ke jee rahe hai ma'am bus apko dekh ke ek umeed jagi hai....hum itni dur Chalke apke paas apni pareshani batane aye hai ma'am." Wo sabhi y/n ke samne hath jod ke khade hote hai.

"Party ke baare me election ticket ke baare mein mujhe kuch nhi pata per tumhe itna sab pata hai....toh tum election kyu nhi ladte ?" Y/n usse puchti hai aur wo sabhi ladke chauk jate hai.

"Mein? Mein kese ladd sakta hu ma'am?" Wo ladka bolta hai.

"Tum apne logo ko jante ho unki pareshaniya samjhte ho, toh tumse acha kon hoga?" Y/n bolti hai," tumne kaha ki pareshaniyo ki aadat padd gayi toh thodi si aur pareshani uthao aur apni zindagi sudharo....apne gao wapas jao aur unn sabhi ko ikkatha karo jo achi zindagi cahte hai."

"Sab darte hai ma'am." Ek ladka bolta hai.

"Tumhare aur Darr ke beech mein khadi hu."

"Wo unka ilaka hai ma'am." Dusra ladka bolta hai.

"Mein iss state ke har shehar har gao har ilake ki CM hu." Y/n confidence ke sath bolti hai.

News channel

Jile mein hone wale bio elections ke baare mein sabhi ko ek baat toh pata hai ki, ruling party ke varisth neta aur home minister Damu, ke bete jagdesh chunav ladenge sabhi ye sochte hai ki unka jetna Tay hai...per achanak se Raman naamke ek independent umeedwar maidan me utar aye hai mukhyamantri Y/n , ruling party ki bajaye unhe support ker rahi hai. Iss wajah se rajneetik galiyaro mein toofan sa aa gaya hai khas ker ruling party mein.

Rajveer TV mute pe dalta hai,"Veer khane ke time TV dekhna is not good for health."

"Kya karu dad meri wife khudko musibat mein dalti rehti hai, har din news pe dikhti hi hai." Veer y/n ko dekhte hue bolta hai.

Y/n khana rokti hai," Oh hello! Kya matlab musibat mein dalti hu? Papa aap bataiye mene kuch galat Kia?"

"Bilkul bhi nhi I think you did right beta." Rajveer bolta hai.

"Oh please dad apko nhi pata fir mere sar kitni tension rehti hai, har waqt ye darr--" Veer apni baat Puri kerta usse pehle y/n khadi hoti hai .

"Mera dinner ho gaya." Wo turant apne room ki taraf jati hai.

"Beta! Y/n!" Sumitra usko bulane ki koshish kerti hai,"Veer aese nhi bolte hai na, tune usko naraz ker dia."

"Beta patniya jab naraz ho na toh unko turant mana lena cahiye." Rajveer bolta hai.

"Werna wo pati ko Nani yaad dila deti hai. Dad yahi bolna cahte hai, Haina dad?" Jay bolta hai aur Sumitra Rajveer ko ghurte hue dekhti hai

"Arrey mene kab bola aesa, jhuth kyu bolta hai." Rajveer Darke Sumitra ko dekhta hai.

"Arrey meri biwi apki wali ki tarah nhi hai mere Bina reh hi nhi sakti wo. Itne nakhre nhi hai uske dad." Veer bolta hai.

"Kya bola tune?" Sumitra bolti hai aur Veer turant uthke bhag jata hai.

Room me wo dekhta hai ki y/n abhi abhi washroom se change kerke ayi thi, wo usko backhug kerta hai,"Jaan" y/n usko dheere se dhaka de ker hata deti hai,"Jaan meri baat toh suno." Wo usko ignore kerti rehti hai aur finally bed pe lett jati hai. Veer uske upar hover kerta hai, " abb kaha jaogi janeman."

"Hatiye mere upar se mein thak gayi hu mujhe Sona hai." Y/n usko hatane ki koshish kerti hai.

Veer uske dono hatho ko uske sar ke uppar pin kerta hai," Come on Jaan you know I didn't mean it that way."
Wo kuch nhi bolti aur dusri taraf dekhti hai," Gussa mat ho jaan, mujhe bus tumhari fikar hoti hai. Mujhe darr lagta hai ki kahi tumhe kuch ho na jaye. Mein tumhe firse khona nhi cahta."

Y/n uski taraf dekhti hai,"Mujhe kuch kese ho sakta hai jab aap mere sath hai?" Veer usko cheeks pe kiss kerta hai,"Acha aab hatiye."

"Kyu? Tumse control nhi ho raha hai kya baby?" Veer smirk kerte hue puchta hai aur y/n apni eyes roll kerti hai.

"Mujhe kaam hai jarur aur mein nhi cahti mein batak ke jese office jau." Veer haste hue uske upar se hatta hai aur usko hug kerta hai.

"Soja Veer nhi toh Teri biwi se control nhi hoga." Veer haste hue bolta hai aur y/n usko elbow Marti hai aur Veer aur zor se hasne lagta hai.

________________________

Hey guys!! Sorry about the time enjoy this also comment and tell me who is your favourite Bollywood actor of all time. Also wanna know who is mine and a story behind it?

I heard to Bekhayali while writing this so I added it , it has nothing to do with the chapter.

Rowdy Policewala (Completed)Waar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu