Chapter-5

5 0 0
                                    

Heer happily entered Maan Villa. She saw Teji who is busy in giving instructions to servant.

Teji: Dekho Murli, aj jab tum kheer banaoge na to usme chini dalne se pehle Lalit bhaisab ke liye alag se nikal lena or phir kheer mein chini dalna or Lalit bhaisab ki kheer mein sugar free dalna, unhe diabetes haina.

Servant: Ji mam

Teji: Acha suno tum paneer or gobi le aaye the na bazar se?

Servant: Han mam, mae le aya tha.

Teji: Thik hai ap ek kaam kijiye, jo bhi dishes maine apko banane ke liye kahi hai wo sab bana lijiye. Bus gobi ke paranthon ko chord dena, wo mae khudi hi banaogi. Kynki Prem ko mere hath ke bane gobi ke paranthe hi pasand hai. Or han paneer ki sabzi mae mirchi thordi tez hi rakhna warna preet ko sabzi tasty nahi lagegi. Thik hai , ab ap jaiye or apna kaam kijiye.

(Servant left for the kitchen and Heer came and hugged Teji from her back)

Heer: Kya baat hai ma. Aj bardi taiyariyan chal rahi hai.

Teji: Arre agai tu. Kaisa hua tera exam?

Heer: Exam to bohot hi acha hua ma. Ab ap batao Prem or Preet ki pasand ka khana kyn ban raha hai.

Teji: Kynki aj humare ghar Juneja family arahi hai dinner par.

Heer: Wow! That great.

Teji: Ab tu jaldi ja kar fresh ho ja. Thik hai.

Heer: Ok mom.

(Then she left for her room)

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Prem's Cabin

Kunal: Prem tu samaj nahi raha hai yar, is bar muje sach mae pyar ho gaya hai.

Prem: Arre Thik hai mere bhai sun liya maine ki tuje 105 vi bar sacha pyar ho gaya hai.

Kunal: To sunne se kya hota hai tu meri madad kar.

Prem: Kunal dekh bhai mae teri madad baad mein karunga abhi tu muje mera kaam khatam karne de, phir muje Heer ke ghar bhi jana hai.

Kunal (confusingly): Heer ke ghar par kyn?

Prem: Dinner pe.

Kunal: Oh acha!

''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''

In Juneja Mansion

Gayatri: Ye lijiye apke kapre nikal ke rakh diye hain bed pe.

Lalit: Han thik hai.

Gayatri: Acha suniye yaad se apne sath apni dawiyan bhi rakh lena.

Lalit: Han or tum bhi apni dawiyan rakh lena.

(Gayatri smiled and she starts thinking something)

Gayatri: Apse ek baat kahun?

Lalit: Han bolo, kya baat hai.

Gayatri: Muje lagta hai ki ab hume Prem ki shadi ke bare mein sochna chahiye. Dekhiye na Prem ki pardai bhi poori hogai or ab to usne business bhi join kar liya hai. Ab waqt agaya hai ki hum apne ghar ki bardi bahu le aaye.

Lalit: Khayal to bohot acha hai Gayatri lekin kya tumne is bare mein Prem se koi baat ki. Lardki dhondne se pehle hume ek bar Prem se poch lena chahiye ki kya use koi lardki pasand hai ya nahi.

Gayatri: Ap uski chinta mat kijiye, maine pehle hi Prem se poch liya tha is bare mein. Use koi lardki pasand nahi hai, usne kaha hai ki wo ussi lardki se shadi karega jise hum chunege.

Lalit: Sach mein Ram ka swaroop hai mera Prem. Ab Prem se green signal mil hi gaya hai to tumhari nazar mein koi lardki hai kya.

Gayatri: Han ek lardki hai jo humare ghar ki bahu or Prem ki patni banne ke liye bilkul layak hai.

Lalit (excitedly): Acha kon hai wo, jaldi batao.

Gayarti (smilingly): Ap jante hai usse, wo lardi Prem ke bohot kareeb hai.

Lalit: Gayatri tum paheliyan mat bujhao. Batao na kon hai wo.

Gayarti: "HEER"

Lalit: Heer? Apni Heer?

Gayatri: Han han or kisi Heer ko jante hain kya ap or Prem?

Lalit: Gayatri muje to yakeen hi nahi ho raha hai. Humari Heer Prem ke liye ek dum sahi jeevan sathi sabit hogi. Lekin kya Prem manega is rishte ke liye.

Gayatri: Arre kaisi baatein kar rahe hain ap. Prem kyn nahi manega. Heer mein Prem ki jaan basti hai. Apne nahi dekha kya, agar Heer ko koi bhi takleef hoti hai to Prem kaise poori duniya ko sar pe utha leta hai. Agar ek bhi din Heer ka call na aye ya wo Prem se naraz ho to Prem kaise bechain ho jata hai.

Lalit: Han Gayatri wo to thik hai lekin'.

Gayatri: Lekin kya? Ap mane ya na mane lekin muje poora vishwas hai ki Prem or Heer, ye dono ek doosre se bohot pyar karte hai. Yeh baat wo shayad khud bhi nahi samaj paye hain abhi, lekin bohot jaldi hi samj jayenge. Ap please aj ek bar Balraj bhaisab se is bare mein baat kijiye na.

Lalit: Thik hai Gayatri, agar tumhe yeh thik lagta hai to mae aj hi Ballu se is bare mein baat karta hun. Ab Khush!

Gayatri (excitedly): Han bohot Khush!

[That was the 5th chapter, I hope that you will all like it. Thank you!]

Pyar Ka AsarWhere stories live. Discover now