Chapter 17 (Love is in the air...)

0 0 0
                                    


Early in the morning in Maan Villa

(Heer was sleeping peacefully with a smile on her face dreaming about her prince charming, her Prem. Just then the phone rang. Lazily Heer picked up her phone)

Heer (sleeping tone): Hellooo!!!!!

Prem: Hi meri chattar-patter good morning!!! Kya kar rahi ho?

Heer: Mae dance kar rahi hun Prem

Prem: kya!!!

Heer (irritated): kya kya-kya kare ja rahe ho Prem. Mae so rahi hun. You know na ki mae 9 baje se pehle nahi uth ti.

Prem: But meri jaan ab to 10.30 baj rahe hain.

(Hearing this Heer immediately got up from the bed)

Heer: kya!!! 10.30 baj gaye. Oh god itni der tak kaise soti rahi''

Prem (teasingly): Heer ab tum raat bhar mere sapne dekho gi to phir tumhe neend kaise ayegi. Or agar neend nahi ayegi to subha jaldi kaise utho gi.

Heer: hahahaha very funny huh! Acha suno I'll talk to you later ok, muje ready hona hai. Or aj to mom se achi daant pardegi late uthne ke liye. Ok bye bye!!

Prem: Arre suno, suno yaar. Itna phika sa bye, not fair. Kuch interesting hona chahiye.

(Prem pouted and heer got confused)

Heer (confused): Interesting matlab???

Prem: Matlab ki bye ke sath kum se kum "I love you" to bol sakti ho na.

Heer (blushed): Prem mae phone rakh rahi hun byyeee

Prem: No bye, pehle "I love you" bolo

Heer: Abhi mera mood nahi hai bolne ka

Prem: Acha to tumhara mood nahi hai bol ne ka, lekin yeh to bata do ki kya bol ne ka mood nahi hai hmm.

Heer: Wahi jo tum sunna chahate ho

Prem (smirked): Really, to yeh bhi bata do ki mae kya sunna chahata hun.

Heer: Wahi jo tumne muje abhi bolne ke liye kaha.

Prem (smirked): Kya kaha maine tumhe bolne ke liye.

Heer (irritated): Arre abhi tumhi ne to kaha ki mae tumhe I lov'..(then she realized that Prem is trying to trick her)

Heer: Prem, tum apnea p ko smart samajte ho?

Prem (smilingly sweetly): Haaannn!!!!!!!

Heer: But unfortunately tumhari yeh smartness mere samne nahi chale gi.

Prem: Heer seriously, tum muje "I love you" bol rahi ho ya nahi???

Heer: NAHI!!!!!

Prem: Thik hai mat bolo, mae bhi dekhta hunt um kab tak muje I Love you nahi bolti. Agar tumse "I love you" na bolwaya na to mera naam bhi PREM JUNEJA nahi!!!!

Heer: Ok Mr Prem Juneja, we'll see.

Prem: Yes, we'll see.

(Then they disconnected the call. And both are smiling thinking about their stupid fight)

-------------------------------------------------

In Maan Office

Heer and Balraj are sitting in Balraj's cabin. Then Heer asked

Heer: Papa, ap aaaj muje office kyun laye ho???

Balraj (smiled): Beta, ab tumhari pardai khatam ho chuki hai to mae chahata hun ki ab tum business mae mera haath batao. I request you beta.

Heer: Papa, yeh kaisi baatien kar rahein hai ap. Request nahi order kijiye ap muje.

Balraj: That's like my daughter!!!!

(Heer smiled and Balraj called his manager)

Balraj: Mr. Sabarwal meet my daughter Miss Heer Maan. Heer yeh hamari company ke senior manager hain Mr Sabarwal. Mr Sabarwal aj se Heer hamare sath kaam karegi. I want you to introduce her to our office staff so that she can easily co-operate with them. Heer you can go with him.

Mr Sabarwal: Yes Sir (looking at Heer) this way mam!!!

(Heer left with the Manager. Balraj smiled and started dialing Lalit's number)

Balraj: hello Lalit!!!! Kaam ho gaya!!!!

--------------------------------------------------

Prem: Bauji, bataiye na ki hum Maan office kyun ja rahe hain?

(Prem asked Lalit while driving the car)

Lalit: Prem maine kaha na wahan pohonch ke tuje sab pata chal jayega.

(They reached Maan's office. Prem and Lalit entered Balraj's cabin where Heer was already there checking some files. Balraj greeted them)

Lalit: Ballu, kaisa hai mere dost?

Balraj: mae thik hun yaar, tu kaisa hai?

Lalit: Mae bhi bilkul thik

(Prem touched Balraj's feet)

Balraj: Jeete raho beta!!!!

(Then Heer came there and greeted Lalit)

Heer: Namaste Uncle!!!!

Lalit: God bless you beta!!!!

(Heer smilingly glanced at Prem who naughtily smiled and winked at her)

Balraj: Ao baith kar baatien karte hain.

(Prem purposefully came beside Heer. They settled down on their respective seats)

Balraj: ahem, so Prem and Heer, I know tum dono yehi soch rahe ho ki yeh sab kya ho raha hai. Let me clear it to you. Prem Heer ne aj se humara business join kar liya hai. Bachpan se leke aj tak Heer jo jab bhi koi problem hui hai, tumne hamesha uski mada ki hai. Mae chahata hun ki tum business mae bhi uski madad karo. Teach her some basics of business. Tumhe or Lalit ko koi problem to nahi hogi na?

Lalit: Yeh tu kya keh raha Ballu, isme problem kaisi? Haina Prem?

Prem: Han uncle isme koi problem nahi hai. In fact it would be my pleasure to teach her some basics of business.

(Prem smirked and thinks)

Prem (thinks): Hayyee thank you Balraj uncle, mann kar raha hai apko gale se laga lun.

(Heer also thinking the same)

Lalit: Ballu kyun na hum iski shuruwat humare apne naye project se karein, jisme humari 50-50 % ki partnership hai.

Balraj: Haan yeh acha idea hai. What do you think Heer?

Heer: Papa agar apko or uncle ko yeh sahi lagta hai to phir muje kya problem ho sakti hai.

Lalit: Chalo acha hai!!! Arre tum log aise kya dekh rahi. Arre bhae haath to mila lo.

(Prem smiled and extended his hand in front of Heer. And Heer blushed and shook her hand with Prem)

Prem (smirked): Welcome to the organization Miss Heer Maan!!!

Heer (smiled): Thank you so much, Mr. Prem Juneja!!!

----------------------------------------------

[This is the 17th chapter please do leave your comments. Thank you]  

Pyar Ka AsarWhere stories live. Discover now