Chapter 14 (Hide & Seek-II)

1 0 0
                                    


Heer (irritately): Preet, Meher, tum dono ko kuch lena hai ya mae jaoun yahan se.

Meher: Di ab hume kuch pasand hi nahi araha to kya karen.

Preet: Ya Heer di yahan to koi cheez dhanki nahi hai.

Heer: To hum ek kam karte hain, hum dosre mall chalte hain. Hum yahan time kyun waste kar rahe hain phir.

Meher and Preet (shouted in shock): NAHI!!!!!!!!!!!!

Heer looked at them suspiciously.

Meher: umm nahi di humara matlab hai ki is shop mein kuch nahi mila to doosri shop mein dekhte hain. Shayad wahan kuch mil jaye. Han chalo!

Preet: Han han chalo!!!

They both dragged Heer to the next shop.

----------------------------------------------------

Preet (whispering): Hello PB! Kahan ho ap?

Prem: Preet mae mall ke bahar hun, car park kar raha hun.

Preet: Ok PB ap jaldi aao. Heer di ko yahan pe roke rakhana bohot mushkil ho raha hai. Jaldi aao.

Prem: Han Preet mae wahan bus 5 minutes mein pohoch raha hun. Preet! Thanks bhai!

Preet: Oho PB, yeh thanks na ap baad mein bolna. Abhi ap jaldi se aao or apni Jhansi ki rani ko manao.

Prem: Han Preet mae araha hun.

They disconnected the call.

------------------------------------------------------

Meher: Di please na ap yeh dress try karo na, ap pe bohot achi lagegi. Please na di, mere liye!

Heer: Meher hum yahan shopping tere or Preet ke liye karne aye haina. To phir mae kyun try karun yeh dress. Mujhe nahi karni.

Meher (thinks): Hey bhagwan! Aj mujhe pata chala hai ki meri behan kitni ziddi hai. Pata nahi Prem bhai kaise handle kar lete hain di ko itni asani se. ab mae kya karun.

Heer: Meher! Meher! Kya soch rahi hai tu. Muje yeh dress nahi chahiye. Tujhe kuch lena hai to le warna chal ghar. Or yeh Preet kahan reh gaya. Itni der se kisse phone pe baat kar raha hai. Tum dono na mujhe pagal kar doge.


Meher: Di relax! Apko yeh dress try nahi karni, to mae kar leti hun. Mae try karke ati hun. Ap yahin rukhiye.

Meher went inside the changing room. And Heer randomly starts looking for kurtis.

-----------------------------------------------

Preet came and started knocking on the door of the changing room. Meher opened the door and piped her head out.

Preet: Bahar aja Meher. PB yahan aa chuke hain. It's time for us to leave them alone.

Meher came out of the changing room.

Meher: Or Heer di kahan hai.

Preet: Wo wahan doosre section mein kurtis dekh rahi hai. Now let's go!

Meher: lekin hum di ko yahan akele kaise chord sakte hain Preet.

Preet: Arre di akeli kahan hain PB haina unke sath. Ab chalen!

They both leave from there.

-------------------------------------------------

In Maan office

Balraj: Yeh to bohot achibaat hai Lalit. Iska matlab Prem ke dil mein Heer ke liye pyar hai.

Lalit: Han Ballu mae bus yehi dekhna chahata tha. Ab waqt agaya hai hum apna doosra plan banaye. Hume kuch aisa karna ho ga ki Prem or Heer dono ek-doosre ke sath zyada waqt bita sake. Un dono ki nazdikiyan bhi bardengi.


Balraj: Lalit mere pas ek idea hai.

Lalit: Kya idea!

Balraj: kyun na hum dono, mera matlab hai teri company or meri company ek combine project Karen. As a 50% of partnership. Jisme meri company ki tarf se Heer or teri company ki taraf se Prem honge. Is project ki waje se dono ek-doosre ke sath zyada time spend kar sakte hain. Kya khayal hai!

Lalit: Khayal to bohot hi acha hai Ballu. Bhae man gaye, mere sath reh reh ke tu or bhi intelligent ho gaya hai.

Balraj glared at Lalit and then both started laughing.

--------------------------------------------

In shopping mall

Heer (frustrated): yeh Meher kahan reh gai, or Preet bhi nazr nahi araha hai. Kahan gaye yeh log.

Heer: Meher! Meher!

Heer starts looking at every changing room. Just then someone from an adjacent room pulled her inside the changing room. She opened her mouth to let out a scream but that person had put his hand over her mouth. And then she realized that who is that person.

Heer (whispered): Prem!!!

-------------------------------------------

[Now that was the 14th chapter. Please do comment.]

Pyar Ka AsarWhere stories live. Discover now