𝑃𝐿𝑂𝑇 𝐴𝑁𝐷 𝐶𝐻𝐴𝑅𝐴𝐶𝑇𝐸𝑅 𝑆𝐾𝐸𝑇𝐶𝐻

225 22 0
                                    

𝒸𝒽𝒶𝓇𝒶𝒸𝓉ℯ𝓇 𝓈𝓀ℯ𝓉𝒸𝒽 :-

Anirudh ;- Age 20 lead

bondita :- Age 11 lead

Bonditas family

Arvind das :- Age 41 bonditas father ( positive )

Sumati das :- Age 36 bonditas mother (positive)

Achyut das :- Age 16 bonditas brother (positive)

Anirudhs family

Shubhra roy chaudary ;- Age 36 anirudhs mother (positive)

Binoy roy chaudary :- Age:- 43 anirudhs father (negative after that turned positive)

Trilochan roy chaudary :- Age:- 43 anirudhs kaka (positive)

somnath :- young brother of anirudh Age 15

batuk :- anirudhs young brother Age 9

Gayatri :- Anirudhs young sister Age 5

other characters

Saudamini :- Anirudhs  childhood love cum attraction Age 18

bhaumik, sampoorna, saurabh, koyili, bihari, munshi, surmani, biraaj

𝒫𝓁ℴ𝓉  ℴ𝒻 𝓉𝒽ℯ 𝓈𝓉ℴ𝓇𝓎:-

Story  hoti hai anirudh ke london wapas aane aur bondita ka apne hone pati ku chiti dene se.....

Is story me anirudh ki ma aur bondita ke baba jinda hai. Par aisa kya hua ki bondita ke ma baba ku parivaar se alag rahekar uske mama mami ke ghar rahena pada.

Bondita ke chote kaka ne uske ma baba ku dokhe se ghar apne naam kar unhe bahar nikal diya tha. Tabse uske ma baba aur bade bhai ku mama mami ke ghar rahna pad raha tha. Uski mami hamesha uske ma aur baba ku taane marti kyuki uske baba ke paas itne paise bhi nahi the. Par hamari bondita mami ku muh tur javab deti. Ek baar bondita ke baba ku kaam mil gaya lekin woh seher me tha. Uske baba ab seher me rehkar kaam karne lage. Whi ab bondita ki badi behen sampoorna ki shaadi ki baat chali tulsipur se. Aur rishta pakka bhi huya. Ha hamare saurabh jamaibabu ke saath par isme ek sharat rakhi gyi ki dahej me parivaar walo ku chaar dakari chahiye. Mami mama ku samajh nahi aaya ki kya kare tab mami ne bondita ki shadi ki baat kahi ki uski shadi ek budhe se karvane ke baad uske parivar walo se paise le lenge. Par iske baare me unhone bondita ki ma ku hi bataya ki bondita ke liye acha rishta hai aur uski ma ku woh rishta acha laga aur unhone ha kardi par bondita ke bhai ku kuch thik nahi laga tha. Par iske baare me mama mami ne bondita baba ku kuch nashi bataya kyuki woh seher me the.....
Vahi anirudh joh barrister tha bharat vapis isi udeshya se aaya ki voh samaj me sudhar layega..... Saudamini joh uske bachpan ka pyaar thi uske saath milke

Ab aata hai shadi ka din. Sabhi khushi khushi shadi ki tayari me lage hue the anirudh bhi shadi me aaya hua tha kyuki uske dost saurabh ki shadi thi. Bondita bhi dulhan ki tarha taiyaar hu rahi thi. Bondita ki ma aur baki gaon wali aurat usse taiyaar kar rahe the. Mama mami yahi soch rahe the ki bondita ki ma aur uske bhai ku kaise yeh pata na chale ki uski shadi ek buddhe se hu rahi hai. Tabhi dono milkar ek plan banate hai. Woh dono ko kuch saman lane ke bahane se ek room me lock kar dete hai. Bahar shor ki vajah se kisi ku dono ki awaj nahi sunti hai. Bondita ki mami bondita ku behosh karne ke liye use behosh karne wali kher khila deti hai. Bondita behosh ho jati hai aur shadi shuru ho jati hai. Vahi par surprise dene ke liye bondita ke baba bhi ghar vapis aa rahe hote hai. Saurab aur sampoorna ki shadi ho jati hai. Bondita ki shadi ka samay aata hai. Anirudh jab yeh dekhta hai ki ek bachi ki shadi buddhe se ho rahi hai tu voh shadi me hangama macha deta hai. Tabhi jab bondita ke phere ho rahe hote hai tab us bude adami ku heart attack aata hai aur voh vahi mar jata hai. Us adami ke parivaar wale uski maut ka iljam bondita par lagate hai aur sati karane ke liye bolte hai. Tabhi bondita ki maa aur bhai kamare se jaise taise karke bahar aate hai aur ussi samay bondita ke baba bhi vaha aa jate hai.

Yeh sab dekhkar bondita ke maa baba bahut dar jate hai aur apni beti ku bachane lagte hai. Par gao wale un sabko waha bandh kar bondita ku sati ke liye le jate hai. Tabhi anirudh wahi dobara pahunchta hai aur bondita ke maa baba aur bhai ku kholta hai. Unse puchne par pata chalta hai ki gao wale use sati ke liye lekar gaye hai. Charo us jagah par pahunchte hai aur un sabko rukne ki koshish karte hai. Anirudh ek aag ki mishal khinch leta hai aur bondita ke baba maa aur bhai yeh dekhkar heran ho jate hai ki yeh anjaan ladka inki beti ku kyu bacha raha hai. Tabhi gao wale firse unki taraf badte hai. Anirudh bondita ko bachane ke liye uski mang bhar deta hai. Sabhi heran hu jate hai. Aur na chahte huye bhi anirudh ku bondita se shadi karni padti hai.

Ab anirudh ki family kaise react karegi???

Janne ke liye padte rahiye

𝐟𝐢𝐫𝐬𝐭 𝐩𝐚𝐫𝐭 𝐰𝐢𝐥𝐥 𝐛𝐞 𝐬𝐨𝐨𝐧......

𝐩𝐫𝐞𝐜𝐚𝐩 𝐨𝐟 𝐭𝐡𝐞 𝐟𝐢𝐫𝐬𝐭 𝐩𝐚𝐫𝐭 :- 𝐀𝐍𝐈𝐑𝐔𝐃𝐇  𝐅𝐀𝐂𝐄𝐒 𝐇𝐈𝐒 𝐅𝐀𝐌𝐈𝐋𝐘'𝐒 𝐇𝐀𝐓𝐄𝐑𝐄𝐃

𝐬𝐭𝐚𝐲 𝐭𝐮𝐧𝐞𝐝

𝐴𝑁𝐼𝐷𝐼𝑇𝐴 :- 𝑇𝑈𝐽𝐻𝑆𝐸 𝑃𝑅𝐸𝐸𝑇 𝐿𝐴𝐺𝐴𝑌𝐼💞حيث تعيش القصص. اكتشف الآن