part 3

588 32 34
                                    

Priya reached her home and was welcomed by a sudden hug from her best friend Brinda.

Brinda- (happily) priyaaaa... I missed you so much.

Priya- tu kab aayi? Or aaj meri yaad kaise aa gyi?

Brinda- (fake anger) huh! Na hello na hey na welcome, sidha taane marne lag ja tu.

Priya- achha achha thik hain. Ruko!

She kept her bag aside and stood infront of brinda then said

Priya- (dramatically) Namaste brinda jii. Aapka swagat hain humare ghar mein. To batayiye kaise hain aap? Aane mein koi pareshani to nahi hui? Or batayiye ki khane peene mein kya lena pasand karengi aap, chai, coffee, thanda, ya fir zehar?

Brinda widen her eyes listening to her.

Brinda- hooo! Aunty dekho apni beti ko zehar dena chahti hain mujhe.

Priya- chai, coffee bhi bola, vo nahi suna.

Brinda- huh! (Pouted)

Priya- achha thik hain sorry (holding her ears).

Brinda- thik hain maaf kia.

Anju- ab tum logo ka ho gya ho to yaha par aake baithe jao, samose thande ho rahe hain.

Both Briya (brinda+priya) settled together on sofa.

Priya- vaise tumne bataya nahi aaj itne time baad meri yaad kaise aayi.

Brinda didn't say anything, just passed her an envelope.

Opening the envelope, priya get shocked and screamed

Priya- OH MY MATA! Tu shaadi kar rahi hain. Vo bhi issi month.

Brinda blushingly nodded her head.

Brinda- or iss baar tu aayegi priya. Engagement pe bhi nahi aayi thi.

Priya- tujhe pata hain na ki uss din 2 sugeries thi. But Iss baar pehle hi chhutti le lungi.

Brinda- hmm yeh hui na baat.

Priya- or batao ghar pe sab kaise hain? Uncle-Aunty? And your aditya??

Brinda- sab thik hain aur shaadi ke liye bohot excited bhi. Rahi baat adi ki vo to pagal hi gya hain jabse shaadi ki dates pakki hui hain.

Priya laughed.

Anju- chalo ab bohot baate ho gyi. Aao khana kha lo.

Brinda- nahi aunty ji bohot kaam hain shaadi. Aur bhi aage jana abhi mujhe so khana kisi or time.

Priya- arre ruk ja na.

Brinda- priya nahi please.

Priya- chal thik hain. Dhyaan se jana.

Brinda- okay. Bye everyone.

Brinda left.

On other side

Ram reached home and his eyes were closed by someone's hands from behind.

Ram- kon hain? Shardul? Jaan? Arre koi bolega bhi ya nahi.

Shardul- main nahi hu. Koi aur hain. Pehchanana tera kaam hain.

Ram- arre aise kaise koi hint ton do.

Shalini- okay. So hint yeh hain ki he is really close to your heart.

Ram- (SHOUTED) whatt! TARUN...sach mein tarun wapas aa gya. Yarr maine tujhe bohot miss kia. (He bring his(someone's) hands close to his lips and kissed them)

Someone- ewwww...(bringing back his hands). 2 din Tarun chala ka gya uski itni yaad aa rahi hain or ek hum hain jo 3 mahine baad mile lekin koi yaad nahi.

Ram saw the person and hugged him tightly.

Ram- adi tu yaha. Kab? Kaise? Bataya kyu nahi ke tu aa raha hain?

Aditya- shaheed hone jaa rha hu to socha tujhse mil hi aayu.

Ram- kaise baate kar raha hain saaf saaf bol.

Aditya- pehle kuchh khila to tabhi batunga.

Ram- chal hall mein baithhte hain.

They moved to hall where all were sitting.

Ram- ab bata kya hua hain. Kyu shaheed hone jaa raha hain.

Aditya- tujhse main baat mein baat karunga pehle (to Shalini) aunty yeh lijiye.
(Forwarding an envelope to her)

Shalini opens the envelope and squealed in happiness.

Shalini- woww... Congratulations bacha. Bohot bohot badhai ho.

Ramdul(ram+shardul)- hua kya.

Shalini- arre tera dost shaadi kar raha hain vo bhi issi mahine.

Ramdul- congratulations man.
Both hugged aditya.

Others also congratulated him.

Shalini- iss baat pe muh mithha to banta hain (forwarding sweets to him).

After having small conversation they all moved to dinning area and had their dinner, later aditya left.

Ram- (to all) aaj se mom ki medicines ka dhayaan main rakhunga.

Shreya- but ram bhai unki medicine ki responsibility ton meri hain na.

Ram- haa but ab se meri responsibility hain.

Shardul- lekin ram aise achanak yeh kyu, koi baat hain kya?

Ram- nahi aisa kuch nahi hain it's just that ki mujhe tasalli rahegi.

Shardul- okay.

All left to their own rooms except ramdul.

Ram- shardul mere room mein aa kuch baat karni hain.

They went to Ram's room.

Shardul- kya hua?

Ram- dr priya ne bataya ki jaan ko ek aur medicine di jaa rahi hain jiski vajah se unki health mein koi improvement nahi hain.

Shardul- maa to sirf dr.priya ki prescription hi le rahi hain. To fir yeh

Ram- I don't know shardul. Issiliye maine yeh decision liya.

Shardul- to kya tujhe lagta hain ki ghar mein se koi aisa kar raha hain.

Ram- nahi aisa bilkul nahi hain. Ghar mein se koi yeh kyu karega.

Shardul- hmm. You are right.

Ram- chal ab sote hain kaafi late ho gya hain. Good night.

Shardul- okay. Good night.

Precap- reports

Please ignore the spelling and specially grammatical mistakes in English.
Please vote 🙏🏼.
And thanks for reading & voting😊.

Blooming Love❤Where stories live. Discover now