PART -2

339 16 0
                                    

Hey there am back this part was actually deleted so I had to write it again so let's start
°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°

At night haseena(hm) called anubhav (as)
As- ji haseena ji kahiye
Hm- abhi bhi haseena ji naraz hai kya aap hamse
As- nahi nahi aapse kaise naraz ho sakte yadi ham aapse naraz ho gaye to hamari matashri hamse naraz ho jayengi ki ek to ladki pasand aayi vivah hetu lekin usse bhi naraz hagaya
Hm-accha thik hai vo darasal ammi sagai ka keh rahi thi to hamne socha agar aap ready ho to
As-avashya ham tayar hai ham ek kaam karte hai ham dono ki matashrio ko ek dusre se bhet karvate hai fir vahi Tay karengi date
Hm- haa ye sahi rahega ham kal hi ammi ko Ghar lekar aayenge aapko chalega na
As- ji haseena ji bilkul
Hm- thik hai ham rakhte hai
As- thik hai shubh ratri
Hm- good ni....... Amm matlab shubh ratri
As smiles at her words and  they both hung up the call

Later next day

They both were having chaat while walking their sagai date was fixed

Hm- ham aise kafi dino baad saath kuch khaa rahe hai sir

As- hmm sahi kaha aapne haseena lekin ham aapse ehna chahte hai ki ab hamari sagai tay hogayi hai to ab aap hame sir karke kyu pukar rahi hai

Hm- umm thik hai lekin ham kya bulaye aapko?

As- ham aapko haseena bulate hai to aap bhi anubhav hi bulaiye

Hm- are nahi nahi abhi ke liye thik hai lekin jab hamari shadi ho jayegi to ham aapki ammi ke samne aapko naam se kaise bulayenge

As- kaise matlab haseena ji jaise bulate hai vaise

Hm- nahi aapki ammi ko accha nahi lagega

As- Aisa kuch nahi hoga hamari ammi ko kuch bura nahi lagega

Hm- okk aur shaadi ke baad... Matlab... Hamare kehna matlab... Hai ki....vo ham...
As- kya keh rahi haseena saaf saaf kahiye Naa
Hm- ham ye kehna chahte the ki shaadi ke baad ham surname change nahi karna chahte hai
As- to koyi baat nahi yadi aap nahi karna chahti hai to koi baat nahi hai bas shaadi ke baad aapko Ghar par shakahari hona padega
Hm- ham already vegetarian hi hai
As- aap shakahari hai?
Hm- haa darasal jab ham chhote the Naa to abbu ke baad ham bagiche me kaam Kiya karte the vaaha paas hi khet me bhed bakri charne aate the ham unme me se ek bakri ka baccha bohot pasand tha ham uske saath aksar khela karte ek din hamne dekha ki uss charvaaha uss bacche ko kisi de raha tha jabardasti uski maa se door jab hamne pichha Kiya to pata laga ki iss bacche ki ek Kasai ne kharida tha hamne jab uss bacche ki aankho me maut kaa dar dekha hamne turant hi hamare paas jitne bhi paise the sab le Jaa kar uss Kasai ko de diye yaha Tak ki ammi ki ek anguthi Tak use de di
As- kya aapne apni ammi ki anguthi ek Kasai ko dedi
Hm-haa ham se nahi dekha gaya ye sab sochiye uss bakri ke bacchhe ki maa ke baare mein agar hamari ammi se koi hame chhin le to vo to jite ji mar jayenge Allah ne har jiv ko apne haatho se banaya hai hame koi hak nahi hai une marne kaa khaas karke khud ke swad se liye to bilkul bhi nahi isiliye hamne uss bacche ko bachaya aur usse aapne paas rakh liya tha aur hamne than liya ki Aaj ke baad kabhi non veg ko haath nahi lagayenge

As- sach mein aap mahan hai haseena aapke jazbaat hamesha hame ashcharya vibhor (awestruck) kar dete hai

Hm- shukriya janaab ab chaliye jaldi aapki ammi ka do  baar phone aa chuka hai aur hame bhi nikalna hai

As- to chale

Hm-jii

And they left having the sun setting behind and letting the moonlight calm the earth

°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°°
Aaiyooo sorry ji Mai jaanta bohot late hai Mai lekin kya karega ji Mera wattpad hang ho Gaya ji pichhla part delete ho usse pehle bhi mere life thodi offtrack chali gayi thi kuch sahi nai chal raha tha but now am a bit stable but not recovered fully from the trauma lekin mai koshish karegi lamba part dalne ki agla part sagai hoga so tayar rehna aur agle part mein kritika bhi aayegi kamini sheher se baahar thi aur aap bhi batana ki kaisa laga part aur kya kritika ko laya Jaye agle part mein kyuki vo hi keh rahi thi ki log usko pasand nai karte to logo dikha do agar tumko uske aur mere convo. Chahiye honge to ab bas bahut Karli chapar chaper
Milte hai BYEEEEEEE.............

ANUSEENA- Just Once In An EraWaar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu