Chapter 16

221 13 1
                                    

After speaking, Chetnaya looked particularly at Arnav but failed to understand his expressions. Without saying anything, Arnav moved out of the room and Abhimanyu followed him giving space to Ravish and Chetnaya as he wanted to know what was going in Arnav's mind. Secondly, he thought to give time to Chetnaya and Ravish to talk. Arnav adjusted himself on the sofa and asked Abhimanyu to sit beside him.

Arnav – "Mene pichle kuch saal sirf ye sochte hue nikale ki tum sab ko mujh par bharosa kyu nahi tha. Mein nafrat karna chahta tha tum sab se par nahi kar paya."

Abhimanyu – "Das saal purane ghav yu bhare nahi jate par mujhe laga tha ki tujhe ye jaan kar acha lagega ki kahi na kahi Chetnaya ke liye tu humesha sahi tha. Bas vo thoda sa bhatak gaya."

Arnav- "Jab bhi uski mushkurahat ke sath newspaper mein tasveer dekhta tha to mujhe lagta tha ki vo sab bhul kar aage badh chuka hai ya phir sach kya hai ye uske liye mayne nahi rakhta. Mene kabhi socha hi nahi ki is muskurahat ke peeche bahut kuch chupa ho sakta hai. Tujhe pata hai mein humesha khud se puchta tha ki isne mujhpar bharosa kyu nahi kiya. Aaj pata chala ki uska dil mera sach janta tha."

Abhimanyu- "Jis Chetnaya ki tu baat bol raha hai, vo to tere sath hi kahi chala gaya. Us Chetnaya ko hum padh sakte the, aaj ye khud ke emotions ko acknowledge hi nahi karna chahta. Aaj ye Sab ke sath rehta to hai par khud ki parchai se dur bhag raha hai."

Arnav remembered Nidhi speaking about mental health. He heard whole conversation before but it was time of realization. After realizing it, he feared about the possibilities that might have happened. Abhimanyu sensed his inner thoughts and spoke, "Nidhi ki baatein soch raha hai?"

Arnav – "Mein kabhi vapis aana hi nahi chahta tha. Dar lagta tha ki agar tum mujhe aaj bhi galat samjh rahe honge to kya karunga ya phir tumhe meri jarurat na hui to. Abhi yehi soch kar dar lag raha hai ki agar vapis nahi aata to kya hota."

Abhimanyu – "Aise kaise teri jarurat nahi hogi. Dar kyu raha. Dekhna dheere dheere sab theek ho jayega."

Arnav – "pehle jaisa?"

Abhimanyu- "Haan, bas tumhare dost ko akal aa jaye. Jaise hi moka milega vo unko defend karna shuru kar dega."

Arnav – "vaise tu itna samajhdar kabse ho gaya?"

Abhimanyu – "What do you mean? Mein humesha se samajhdar tha."

Arnav – "Acha majak kar lete ho."

Abhimanyu –" Ab andar chale?"

Arnav – "kuch der yehi rukhte hai na."

Abhimanyu- "theek hai. Jitna time lena hai le le par vapis chod kar mat bhagna. Hum sab ko ek moka to milna chahiye na galti sudharne ka."

Arnav – "Par mujhe jana to pdega"

Abhimanyu – "to kya tum sach mein vapis chale jaoge?"

Arnav – "vapis to jana hi hoga na. Kab tak yaha rehunga."

Abhimanyu – "baki sab ko pata hai?"

Arnav – "ye to bahut implied baat hai ki mujhe jana padega. After all meri professional life to vahi Jaipur mein hi hai na."

Abhimanyu whacked Arnav hard and said, "tu sabse bada idiot, stupid hai."

Arnav – "idiot aur stupid ka similar meaning hai."

Abhimanyu – "Chup, tujhe ache se pata hai, mein kya bol raha tha. Tujhe pata bhi hai mein kitna dar gaya tha."

Arnav- "Kitna bolta hai yaar tu"

Abhimanyu – "tu theek hai?"

Arnav – "Koshish kar raha hu. Theek hona pdega varna ye pata nahi kya kya soch lega. Ab ander chalte hai varna Chetnaya ji na jane kya kya sochenge."

Friends but not friendsWhere stories live. Discover now