Sagai

278 24 1
                                    

Anubhav tells Keshav about Karishma and her achievements in police department.

Anubhav: Police Vibhag ke sabse best officers mein se ek hai SI Karishma Singh. Hyderabad Police Vibhag ki shaan aur ab Lucknow Police Vibhag ki bhi. Karishma Singh ka bhaukaal Hyderabad, Delhi,Kanpur aur ab Lucknow mein prasidh hai, uska naam sunte hi bade se bade apradhiyon ke praan nikalte hai bhay ke kaaran.

Keshav is really proud hearing about his daughter.

Keshav: Humari sherni ne toh apne baba ka sar garv se uncha kardiya, kaash hum swayam SI Karishma Singh ke karya dekh pate.

Anubhav: Bhavishya mein dekh lijiyega aap baba lekin bhutkal ke hum dikhate hai aapko, yeh videos dekhiye baba. Bhaukaal ki devi ke itne saare fans hai ki log Instagram, Facebook aur YouTube pe uske videos banake dalte hai khaaskar uske action scenes ke. Yeh unmein se hi kuch videos hai.

Keshav(stunned): Yeh sachmein Kashi hi hai.

Anubhav: Ha baba.

Keshav was really proud of his daughter his sherni.

Keshav: Kashi kaisi hai abhi Anu?

Anubhav: Doctor ne kaha ki woh swasth hai, bas 2 hafton keliye bedrest pe rehna hoga Kashi ko. Aur aapko ek hafte hospital mein rehna hoga woh bhi bed rest pe.

Keshav: Ok.

An hour later

Karishma's ward
Karishma gains consciousness, she opens her eyes and sees Kaushalya sitting near her.

Kaushalya: Kariamma tum uth gayi, tum theek hai na?

Karishma(weakly): Ha hum theek hai. Baba kaha hai? Woh theek hai na?

Kaushalya: Baba theek hai didi, woh dusre kamre mein hai.

Karishma: Aur humara baccha woh theek hai na, usko kuch nahi hua na?

Kaushalya: Tum chinta mat karo didi, tumhara baccha bhi theek hai, usko kuch nahi hua hai.

Karishma sighs in relief hearing her. The door opens and Anubhav comes inside, he immediately hugs Karishma tightly and starts crying.

Karishma: Ka hua Anu aap ro kahe rahe hai?

Anubhav(crying): Hum bahut bhaybhit hogaye te Kashi jab tum kahi mil nahi rahi thi, mastiksh mein kaise kaise vichar aarahe te. Humare praan baste hai tum mein, agar tumko kachu hojata toh hum sehen nahi karpate.

Karishma: Anu rona bandh kijiye, hum ekdum chokas hai. Kachu nahi hua hai humko. Kahe itna load lerahe hai aap?
Dekhiye hum aapke saamne ekdum fit and fine hai. Vani kaha hai? Aur baddy bhi nahi dikh raha?

Dil Ke Rishte Where stories live. Discover now