Episode 9

12 0 0
                                    


Swati reached home when she saw all her family members were looking tensed she asked "kya hua maa aap sab itne pareshaa-" Ramesh cut her of by slamming a hard slap on her cheeks. A tear shed down from her eyes she was startled by the sudden reaction of her father she was unable to understand what was happening there

Rohan got angry on his dad for heating his little sister he questioed him , "papa aap swati ko kyu maar rahe hai isme uski kya galti hai ?"

"To kya iska kisi ladke ke sath chalkar chalana sahi hai? Apne boss ke sath affair karna sahi hai? Jaha kaam karne jati hai waha kam karne ke bajay humari naat kata kar aana sahi hai?? Bol sahi hai kya iski ye harkat?" Ramesh questioned back Rohan

"Papa swati ne koi chakkar nahi chalaya hai usne sirf pyar kiya hai pyar karna koi galti nahi hai aur agar apko yaad ho to samar uska boss hone se kai pehle uska dost hua karta tha"

"Ha to dosti ko dosti ki hadd tak rakhna chahiye na apni aur apni gharwalo ki ijjat ko yun daw par lagana kaha nyay hai aur tu kya bhul gaya kaise uske maa aur baap ne humari parvarish humare sanskaro par ungali uthai hai bhul gaya kya unki di hui jillat" they both had an argument which made swati even more confused

She literally yelled to draw attention toward her and asked, "can you guys tell me what is going on?" Mansi said, "samar's mom called papaji few hours ago she was so furious i habe her call recording ruko mai tumhe forword karti hu tum khud hi sunlo" swati played the call recording

Nita- "apne apni bacchi ko shayad acchi parvarish nahi di hai ya fur yun kahu ki apne hi use aise train kiya hai ki beta jao aur koi acchasa amir ladke ko apne pyar ke jaal me fasao jis'se humari garibi mit jayegi"

Ramesh- " ye aap kya keh rahi hai dekhiye jaban sambhal kar baat kijiye aur aap hai kon meri beti ke bare mai aisi bate karne wali ?"

Nita- "mai nita agnihotri samir ki mom bol rahi hu us samir ki jisko apki beti ne apne pyar me itna pagal kar dia hai ki wo aaj apne hi maa papa se bagawat par utar aaya hai are aap logo ki aukat hi kya humare samne humare ghar ke servants bhi aap logose jyada standard hote hai 2 kaudi ke cheap log hokar humare ghar ki bahu hone ke sapne dekhne ki himmat bhi kaise hui swati ki besharmi ki bhi hadd hoti hai aayi thi abhi thodi der pehle humare ghar samar ke hatho me hath dal kar bhadka rahi thi humare bete ko"

Raghav took over the conversation he said, "dekhiye jis office mai swati kam karti hai waha ka CEO hai humara beta aur ek mamuli si employee hoke itne bade sapne dekhne ki badgumani ki hai apki beti ne chahiye to puchh lijiye us'se abhi bhi humare bete ke sath hi hai wo use pyar se samjha dijiye ki humare bete se dur rahe baki samar ko hum sambhal lenge" Ramesh was going to say something but nita cut him off

"Apki faltu ki baate sun'ne ke liye humare pas time nahi hai agar apki beti se uski jawani sambhal nahi rahi to to uski shadi kara dijiye apne hi kisi standard ke ladke se" and cut the call

Swati's eye got teared up when she hear what are the thoughts samar's parents have on her she couldn't understand the amount of hatred they had towards her just because she loved their son wholeheartedly. She was ashamed of herself that her parents had to hear all the hateful things and taunts because of her they even questioned their upbringing she cried her heart out for hours when mansi consoled her

Hours later her mother came up with the photographs of some boys along with the biodata she said,"ye kuch ladko ke rishte aye the tumhare liye lekin tumhare bhai ne ye keh ksr mana kar diya tha ki abhi tum shadi ke liye tayar nahi ho lekin ab tumhare papa chahte hai ke tum jald se jald shadi karlo isliye isme se kisi ek ko pasand karke mujhe batado taaki hum bat aage badha sake"

Swati looked at her mother in disbelief she said while crying with her pleading eyes, "maa please mere sath aisa mat kijiye please papa ko samjhaiye mai samar se bohot pyaar karti hu maa mai uske bina nahi reh sakti maa pleesssee maa pleeeease" kiran was heartbroken to see her daughter in this state but somehow controls herself and said in order to make her understand that it is for her own good only

"Beta samjhne ki koshish karo humari 7 pushto me kabhi love marriage nahi hui hai aur nahi hi kabhi hogi papa kabhi magenga aur humare biradari wale thukenge humpar aur hai manlo tumhari shadi hum samar se karva bhi denge to kya us ghar me tumhe koi apnaeya kya wo aurat tumhe apni bahu manegi jo tumhare charitra par ungali uthati hai kya wo tumhe apni beti magenge jo hum sab ko unke yaha ke naukaro se bhi battar samjhate hai mai manti hu samar aur tum ek dusre se behad pyar karte ho lekin shadi sirf do logo ki nahi hoti do parivaro ki hoti hai aur jis ghar me koi tumhari ijjat nahi karta waha tum kabhi khush nahi reh paogi meri bacchi isliye sambhalo apne aap ko aur practically soch ke mujhe apna jawab bata do lekin samar ko bhul jao beta apne papa ke liye unki ijjat ke khatir use bhul jao" kiran left

Swati felt a sword passing through her heart after listening to her mother swati thought 'maa is not completely wrong aunty would never consider me as her daughter in law she let me live happily with sam balki wo to puri koshish karengi meri aur mere parivar walo ki aur insult karne ki jaha meri koi respect hi karta waha mai kaise khush reh paungi aur nita aunty to mujhse bohot nafrat karti hai wo mujhe kabhi nahi apnaengi'

'Lekin me ab fir sam ko nahi kho sakti aisa mera sath hi kyu ho raha hai mai kya karu mai sam se bohot pyar karti hu mai use kaise chor du lekin mai apne maa papa ki aur insult bho to nahi kara sakti ab mai kya karu... mujhe sam se ek bar milna hoga wo jarur koi na koi hal nikal lega' she thouggt to herself and send a message to samar about what happened at her home and that she wants to meet him to find a solution along with the call recording. She mentioned that she will meet him tomorrow at the same park they went earlier.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 13 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Forever Yours Where stories live. Discover now