chapter 12

39 4 1
                                    

Ek naya din ka Suraj hamesha ki Tarah ek naye subah ka sath ek nayi kahaniyaa buntei hue ubhra tha
Aur uski khani mei Woh apne kamre mei saman pack karrhi thi
Uski aankhein bar bar num horahi thi jisei woh apni sweater ki aasteeno se saf karleti
Woh jitna Koshish karlei magar Raat ka manzar uske zahen se nikalta hi nhi tha
Saalo pehle jab woh gaya tha tab bhi uske Dil mei udham machaya tha aur saalo bad jab woh samne ayaa toh aesa lagraha tha jesei nah sirf uska Dil balke uska Pura wajud hi channi channi hogaya ho
Saalo pehle jab woh jaa raha tha tab usne uski aankho mei apnayet dekhi thi, dard dekha tha magar jo aj saalo bad uski aankho mei dekha tha woh kabhi nhi tha
Uski aankho mei ajnabiyet thi
Aesi ajnabiyet jiska woh khuwab mei bhi tassawur nhi kar sakti thi
Woh hamesha se janti thi ka agar kabhi unka samna hua toh shayad woh usse nafrat karega magar woh usey ajnabi karar dega yeh khayal kabhi uske zahen se hokar bhi nhi guzra tha
En 5 saalo mei usne kis tarah apna wajud sambhala tha yeh bas wohi janti thi
Aur ab uska wajud channi honei jaa raha tha
Aur ab woh khudko tutne nhi de sakti thi
Woh apne khayalo se tang anei lagi thi ab
Uska dil phut phut kar roonei ka kar raha tha magar woh roo nhi paa rahi thi
Jab dukho ke Sath jeene ki adad hojai toh phir purane zakham kitne hi gehre hojai, unpe roona nhi aata
Usne tang aa kar apne hath mei pakre scarf ko Zameen par phenka aur khud bhi sar pakarti bed se teik lagati girne si lagi
Uski aankhein num thi magar unme aansu nhi the
Usey lag rha tha jese koi uske dil ke makam par pathar khinch khinch kar mar raha hai
Uskei seene mei dard uth raha tha
Woh roona chahti thi be-tahasha roona chahti thi magar aj uske aansuo ne bhi uska sath chor diya tha
Woh sar ko hath mei dalti chillane lagi
Shayad aansu se nah sahi toh chillane se hi dard thora Kam hojai
Magar Kuch nah hua
Uska gala sukh gaya
Woh thak gayi
Magar dard.....
Dard wesa ka wesa hi raha
Zara kam nah hua ka achanak uske zahen mei jhamaka sa hua
usne apna phone uthaya aur ek number dial kartei mobile ko kaan se lagaya
Teesri ghanti jatei hi call received hogayi
"Helloo" dusre janib se ek naram aur shagufta awaz ubhri thi.
______________________________________

Woh apna saman pack kar ka hotel room se bahir nikli thi ka tabhi usey apni janib qadam uthata Azan Nazar aya
"Yeh sab kya hai amairah? Tum wapis jaa Rahi ho?" Pass aake usne amairah ka Sath luggage aur bags paya toh usne abroo uchka kar sawal kia
Amairah Kuch nah keh saki, bas apni jhuki nazro ko mazeed jhuka gayi
"Acha chalo thik hai, jesa tumhe behtar lage mei kuch nhi kahuga tumhe. Magar Leyla ko pata hai ka Tum jaa Rahi ho?" Amairah ko khamosh dekh usne kaha
Amairah ne uske sawal par nafii mei gardan gila diya
"Okayyy... Kese jaogi Tum? Koi aa Raha hai tmhe Lene ya Khud jaogi?"
Ab ka uski aankho mei fikar thi
"Nahi. Mei khud jaugi"
"Tumhara dimagh kharab hai? Lahore se Karachi Tum akeli jaogi SERIOUSLY amairah!!!" uska lehja sakht tha aur phr narmi se kaha "Acha Chalo aao mere sath mei chor deta hun tumhe" usne amairah ke hath se luggage lete hue kaha
"Nahi, tum kyu khamakha apna waqt barbad kar rahe ho, mei koi choti bachi toh Hun nhi mei chali jaugi" amairah ne kaha
"Shut up and follow me" usne Apne laboo par shahadat ki unglu Rakh amairah ko chup rehne kaha or uske hath se luggage leta bahir ki janib barha jiski wajha se amairah ko bhi uske piche jana para

"Azan mei keh rahi hun tumhara bhot time waste hona hai, kahan tum mujhe chorne jaogei aur phr wapis aaogei Tum......" Woh kehrahi thi ka azan ne uski bat adhi mei hi kat di "Tumhe kisne kaha ka mei wapis aauga"
Amairah ne usey na-samjhi nazro se dekha
"Mujhe Karachi mei kuch kam aa para hai,,, abhi thori dair pehle hi call aayi thi aur mei bas nikalne hi wala tha magar Tumhe en..." Luggages ki taraf ishara Kiya "luggages ka sath dekh liya toh mujhe laga tum wapis jana chahti ho toh mei tumhe chor deta ho"
Amairah ka lab ohh mei sukre aur sar ko asbab mei hilaya aur khamoshi se gari ka darwaza kholti andar jaa beithi
Azan bhi uske luggages wagera rakh kar driving seat sambhal beitha
Dono ke bich gehri khamoshi thi
Azan ko laga tha ke shayad amairah Puch le ka akhir zain ka sath mazi mei kya hua tha, kyu aur kese hua tha magar woh toh jaise apne laboo pe tala lagai khirki se bahir dorti bhagti sarko ko dekhne mei masruf thi
Azan ne sans bhari aur samne sarak pr hi apni nazrei markuz rakh kar amairah ko mukhatib kia "amairah zain....."
"Mera usse koi taluq nhi hai" amairah ne usey en do lafz se agei Kuch kehne hi nah dia "humara jo taluq tha woh 5 saal pehle hi aairah ka sath sath dafan ho chuka tha....... Aur kal rat usne bhi yeh bat sabit kardi thii...." Amairah ka lehja do-tok tha
"Amairah tum galat samjh rahi ho, aesa kuch nhi hai" azan ne amairah ki bat kati
"AZANNN!!! mei ab galat samjhu ya sahi isse kuch farq nhi parta.... Behtar hoga ab hum is barey mei koi bat nah kare"
Azan ne kuch kehne ka lie lab kholei toh amairah ne apni shahadat ki ungli dikha kar nafii mei sar hilaya aur thori sakti se kaha "agar tum chahte ho ka mei yahan bich raste pe chalti gari se kud nah jau toh uske muttaliq koi bat nah kro mujhse"
Azan ne chand lamha uske chehre ko bagour dekha or phir sar ko kham kharta wapis se apni nazrei sarak ki janib markoz kar gaya
"Drameybaazi mei tumhara aj bhi koi jawab nhi hai" go kei Azan ne bat badal kar uspe tanz Kiya tha jispe amairah muskura di aur kaha "akhir tumhari honei wali biwi ki hi sangat ka asar hai" aur azan muskura dia
Ghanto ka safar khamoshi mei kat gaya
Nah usne kuch pucha aur nah usne kuch kaha
Dono hi apne dil o dimagh mei uljhe rahei the
Magar safar kat gaya tha
Sabz bagh ka darmiyan banei chote se bangle ka samne usne gari rok di thi
Amairah ne gari ka darwaza khol kar Apne qadam bahir rakhe aur sidhi khari hui
Azan gari se nikalta pichei ki taraf barhta amairah ka bags nikalne laga
Bags nikal kar samne khari amairah ka sar par narmi se hath pheira aur muhabat-pash nazro se usey dekha
"Mei janta hun tumhare dimagh mei kuch bhot bara chal raha hai amairah, lekin kheir jo bhi ho bas tum ek bat yad rakhna ka" narmi se uske hatho ko pakar kar Apne hatho mei qaid kiya "Zain se pehle mei tumhara bhai hun aur tumhare har qadam par mei tumhare sath hun hmm"
Amairah ne uski aankho mei dekha
Usey jese aj ek dafa phir azan ne yad dilaya tha ka abhi uski zindagi mei ek mard hai jisko woh apna muhafiz samjh sakti hai
Azan hamesha uski hifazat karta tha
Aese jese ek bhai apni bhen ki hifazat karta hai aur ek baap apni beiti ki
"Thank you" uski awaz bharai hui thi
"It's ok" muhabbat se amairah ka sar par hath rakha aur usey galei se Laga kar baloo ko sehlaya "apna khayal rakhna, mei chalta hun" alag kar ke usey kaha
"Andar aao mama se mil kar chale jana" amairah ne kaha
"Nhi phir kabhi Sahi .. abhi mei chalta hun aur tum apna bhot sara khayal rakhna okayy" usne lehje mei zara si sakti bhi lete hue tanbiya ki toh amairah ne laboo pe thori si muskurahat sajaya aur asbab mei sar ko hila diya
Azan gari mei jaa beitha aur amairah usey jata dekhne lagi
Woh chala gaya toh amairah gehri sans leti apna luggage pakarti darwaze tak apne qadam uthane lagi
Darwaze par phonch kar ek dafa phir usne apni sans kharij ki aur khud-qalam hui "ab sab badalne Wala hai , mazi bhi , haal bhi aur mustaqbil bhi .... Nah mazi khudko dohra kar haal par havi hotei mustaqbil ko asar-andaz karega... Aur nah haal aur mustaqbil mazii ki sazisho ka mohra bane gei"
Darwaze ki ghanti bajai aur agle hi kuch minto mei darwaza khul gaya

********

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jun 22 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now