part 13

271 20 60
                                    

NICU

Karan sits outside NICU.....veer brings coffe and  look at him sitting covering his face....he sits next to him

Veer : karan ....(karan look at him) coffee...

Karan : thanks....(he takes coffee from him)

Veer : uh know na ....baby ko kuch nhi hoga.....aree woh doctors ka baby hai.....usee kuch kaise hoga.... jab itne doctors bhi uske aas paas hn....

Karan : i know ....(veer smiles)

Veer : dr rakesh aur varsha aunty ko kab btayega haan ...they deserve to know about their grandson

Karan : unhe mai tab hi btaunga... Jab baby bilkul thik ho jaayega.... Mai maa aur dad ko upset nhi krna chahta veer...

Veer : aur tera na btana....unhe upset nhi karega kya?..... they too were waiting for this baby karan

Karan : tu kyun nhi bta deta apni dikkat ke baare mein....kya uncle aunty nhi wait kr rhe honge....ki tu aur swara unhe good news de...(veer look at him) mai tujhe nasamjh zarur dikhta hounga veer....but i understand everything.....kyun tu apna itna bada gham bhul kr mujhe sambhal rha h haan?

Veer : kyunki mere gham ka koi solution nhi hai....teri ya kisi ki koi bhi baatein mujhe yeh dilaasa nhi de sakti ki.....sab thik ho jayega....because nhi hoga......maine swara ka sapna toda hai Karan.....woh bechari mujhe kuch keh nhi rhi.....mujhe console kr rhi hai....pr mujhse jyada ghaat usee lgi hai....(with moist eyes) tu jaanta h jab Dr drishti ne mujhe kaha....ki mai kabhi baap nhi bn sakta...kyunki i m not medically capable....maine unse kaha....ki baap ke liye bhi utna hi mushkil hota hai...jitna maa ke liye hota hai.......pr jab swara ne mujhe gale lagaya....jis tarah woh phut phut kr royi....karan hum....hum woh dard mehsus nhi kr payenge.....kyunki ek aurat janam deti hai ek nayi zindagi ko.....mere chalte....swara kbhi woh experience nhi kr paayegi...tu jaanta hai ab mai sochta hun..ki mai usse apne tumor se pehle kyun nhi mila...i could have given her happines....and preeta too...kbhi usi life mein na aakr....humari zindagi itni complicated nhi hoti....tujhe ur swara ko itni takleefon se nhi guzarna hota....

Karan : uh were the best thing happened to her Veer....tune preeta ko pyaar ka mtlb samjhaya...usee pyaar jaisi khubsurat feeling se milaya.....shayd isliye mai usse...pehli nazar mein pyaar kr baitha tha....shayad isliye swara tujhse...sirf tera naam sun kr...teri kahani sun kr pyaar kr baithi thi...is hospital mein pyaar ka mtlb veer hai....aur pyaar mayus hoga tb sab mayus honge....swara aur tu parents bnenge veer.... devki vasudev na sahi...nand baba aur yashoda bn kr....swara aur tujhe hi humne chuna tha as a godparent of our baby...(veer looked at him surprisingly) humein kuch ho ya na ho....woh baby tera aur swara ka utna hi h...jitna mera aur preeta ka hai...and rhi baat khud ke baby ki....is duniya mein baht se bachche hn....jinhe parents ki zarurat hai....tu aur swara un bachchon mein se kisi ko parents ki khushi de sakte ho.....swara maa bnegi veer....aur tu bhi baap bnega....tujhe bs aankh kholne ki zarurat h....samjh rha hai na tu...(veer nods with smile and moist eyes...karan pats his back)

Scene  Shifts

Drishti was walking towards NICU...she stopped at her steps looking at kid looking at the babies standing outside nursery...She tilted her head and looked at him adoring the babies...She walk towards him

Drishti : hey...(he looked at her) aap...aap toh..

Shaurya : shaurya....mai shaurya hun...Dr vidyut uncle ki wife...(drishti sit on her knees) 

Drishti : aapko kaise pata mai...dr vidyut ki wife hun

Shaurya : aap hi ne toh kal kaha tha aap dr vidyut ki wife hn....meri mumma se aap bol rhi thi

PYAAR TOH HONA HI THA (SEASON 2)✔Where stories live. Discover now