when you say you want equality - this is how you earn equality..

677 12 5
                                    

Pati aur Patni ke farz mein koi fark nahi hota..
Dono ka farz hota hai ki woh ek dusre se pyaar karein, ek dusre ki izzat karein, dono ka farz!
Kisi ek ka nahi..

Vividha ji hum dono shaadi kar rahe hai.. Aap meri ghulaami nahi..
Mera darja kisi bhi tarah se aapse ucha nahi, aur na main yeh kabhi chahunga..
Main chahta hoon hum ek barabari ke rishte mein rahe..
Aisa kuch nahi hai jo main kar sakta hoon aur aapko uski ijazat nahi.. Aur nahi aisa koi kaam nahi jo aap kar sakti hai aur main nahi sakta..

Dabba band rishta ek dabba band zindagi ki taraf lekar jaata hai..
Patni ho toh yeh sab cheezein karegi, Pati ho toh yeh sab cheezein karega! Nahi aisa kabhi nahi hoga!
Shaadi ko nahi bojh ki tarah uthayein aur na hi bediyon ki tarah bandhe..
Pyaar - azaadi cheenta nahi hai, aazadi deta hain..

Dakoslo ko maryaada samajhne ki galti na karein, maryaada sirf ek soch hai jo har yug ke saath badal jaati hai..
Aap ke aur mere beech aisi koi maryaada nahi aayegi jo humari barabari cheen le..
Humein ek dusre ke saath jeena hai aur ek dusre ke liye jeena hai samaaj ke liye nahi..
Zindagi ya rishte aap toh jee sakte hai ya toh nibha sakte..
Hum apni zindagi jeeyenge..
Aap nahi mere peeche chalengi na hi mere aage.. Aap theek mere saath chalengi..
Zindagi hadein baant kar nahi hadein tod kar jee jaati hai, aap mere saath ladein, mujhe chidaye ya aap mujhe maariye..chediye..
Aap ko jo karna aap kijiye.. Hum poora aasmaan jiyenge.. Jakdi hui zameen nahi .. Main bas yahi chahta hoon!

Hum dono ek dusre ko umeedon se kyun baandhe.. Pyaar se kyun nahi..
Mard aur Aurat ki lakeer hata kar ..Dosti ka rishta kyun na banaye.. Humari shaadi society ki umeedon par khara utar ne ka test nahi hai.. hum kisi bhi riti aur riwaaz ke mohtaj nahi hai ..
Hum zindagi jeeyenge ek dusre ki liye ..ek dusre ke saath ..ek dusre ki chaahat ke liye...
Hum jab kareeb aaye toh ek dusre ki saanson ko mehsoos kar sake.. Humari saanson se ghutan na ho...
Hum har tarah se ek barabari ka rishta kaayam karenge.. Jahan hum sirf ek dusre ki nahi balki khud ki dil ki bhi aawaz sun sake..

Hum dono ek dusre ko pyaar se bandhenge, bandish se hai.. Na koi bada.. Na koi chota.. Na koi upar ..na koi neeche.. chahe jitna bhi door saath chal sake.. Hum saath chalenge.. Hamesha!
- these lines are so beautifully written - the reason why they're so beautiful, is because it says equality in every word and every line. If you want equality or if you wanna treat people with equality.. This is the goal you should set in mind everyday of your life and every moment you love someone. Don't mistake someone's nonsense opinion as a set rule of limits. Remember one thing you set your own rules, you make your own path and you make your own life. You gotta set free of limits and live your life beyond limits.

(PS, yes I had to watch the show 5773833993 times to write them down because this writer is beyond beautiful, I wish I can meet the writer of this show one day)
Thank you :)

 Jaana Na Dil Se Door... - manzilon se pare ho apni daastaan..Where stories live. Discover now