Part 4: Take Care !

1.7K 91 7
                                    

Naira too smiles at the doctor and Akhilesh walks him out. Dadi comes and sits beside him and gently strokes his hair. She was still crying and this made Kartik sad too.

Kartik: Dadi main thik hun, aap kyun ro rhi hai.

Dadi: Tumne toh humari jaan hi nikal di thi Kittu. Bhala aisa koi krta hai kya. Sabka khyal hai tumhe, sivaye apna. Itni lapaharwahi kaise kar saktein ho tum.

Rajshree: Haan beta, apna khayal to tujhe kabhi rehta hi nhi hai. Dusron ke baarein mein humesha sochta hai aur khud kisi na kisi musibat mein pad jata hai.

Kartik: Kya Nani, ab aap bhi, ab kam se kam aaptoh mujhe mat dato.

Naira: Kyun nhi daate sab tumhe, tumne kaam hi aisa kiya hai.

Suhasini: Baki sab ki chinta aur pyaar mein tm itna doob gaye ki khudke baarein mein bhul gaye.

Kartik: Acha ab (coughs) ab main thik hun na toh aaplog shant ho jayiye. (He eyes Naira to help her) Aaplog jayiye so jayiye, main bhi rest krleta hun. Kal haldi hai, sabko itne kaam (coughs) kaam hai na.

Devyani: Woh sab hm dekhlenge. Tum aaram kro. Ekdum baat mat karo. Bas gehri saasein lo aur dawai khao.

Suhasini: Haan, Akhilesh mangwa raha hai dawaiyan. Zyada samay nhi lagega. Hume toh ye samajh nhi aa raha hai Kittu ki tum apni sehat ke saath aisi galati kaise kar saktein ho. Tumhe apni allergy ke baarein mein pata hai na, yaad hai, bachpan mein kitni bar isi tarah tmhari tabyat kharab hui thi, ek baar toh hm tumhe kho dene wale the, kya usse tumne kabhi koi sabak nhi sikha.

Manish remembers the times when Kartik fell sick in his childhood and how he and Kartik's mother Soumya took care of him.

Keerti: Haan Kartik, mujhe aaj bhi yaad hai, Maa ke jaane ke baad jab tumhe allergy hogyi thi, koi samajh bhi nhi paya tha tmhe kaise sambhale. Us waqt tumhari tabyat kitni kharab hogayi thi.

Swarna holds Manish's hands in order to comfort him, knowing what he would be remembering at the mention of the most difficult day of his life, the day he watched his 10 year old son trying to get himself killed.

Kartik: Tab main bacha tha Keerti, kisi aur ki galati ki saza khudko de rha tha (looking at Manish and Swarna). Par ab main woh bacha nhi hun. Itne saal akele raha hun, pehle school, then college, then masters ke liye USA, itne saalon mein ye galati ek baar bhi nhi hui mujhse. Apna khayal rakhna janta hun main.

Suhasini: Phir iss baar ye kaise ho gaya. Akhilesh ne Naksh ke saath sare arrangements kiye hai, use toh pata hai humare ghar mein walnut nhi aata.

Surekha: Haan maa ji, Akhilesh ji ne humesha is baat ka khayal rakha hai, tab bhi jab Kartik humare saath nhi rehta tha.

Suhasini: Toh phir ye kaise hua. Kittu yaad kro, tumhe shaam ke baad se kya kya khaya hai.

Kartik: Dadi maine toh bas dinner kiya tha.

Naira: Aur dinner ke baad tak toh Kartik bilkul thik tha. Hum dono ne ek dusre se baat bhi ki thi. Haan, baat krtein waqt maine Kartik ko cupcakes khilaye the.

Suhasini: Cupcakes, kaunse? Kahin aisa toh nhi tumne isse nuts wale cupcakes khila diye. (Naira remembered that the cupcake she fed him was nuts one, that might have had walnut in it) Humare Kittu ko sabka khayal rehta hai par tumlog uska khayal kyun nhi rakh patein. Pehle hi woh tumhari wajah se bahut kuch seh chuka hai, accident, jail, aur ab ye. Kittu tm par apni jaan chidakta hai aur tumhe itna bhi nhi pata ki isse kis cheez se allergy hai. Ye sab tumhari wajah se hua hai.

Naira was in tears all over again, knowing it was her fault Kartik had to suffer so much. Swarna wanted to interrupt and support Naira but our Kartik was smart enough to tackle the situation.

Kartik: Arey arey Dadi aap befaltu ka Naira par gussa ho rhi hai. Bina puri baat sune hi usne daantne lagi. (Making cute faces) Usne toh mujhe chocolate cupcake khilaya tha, kyunki mujhe mirchi lag gyi thi. Nuts wala cupcake toh maine baad mein khud khaya tha. Woh maine hi dhyaad nhi diya. Naira ko toh pata hai meri allergy ke baarein mein, usne khud mujhe roka tha walnut khane se ek baar. Woh wahan hoti toh mujhe khane kahan deti. Woh toh (coughs) woh toh maine uske jaane ke baad nuts wala cupcake khaya tha. Ab uski galati kaise hui. (Making his puppy dog face all over again)

Suhasini: Jo bhi ho. Galati hui hai. Humse wada kro dubara ye lahparwahi kabhi nhi hogi.

Kartik: Nahi hogi, I promise.

Suhasini: Tumhe pata hai na Kittu hm tumse kitna pyaar kartein hai, tumhe ek kharoch bhi aajaye toh humari jaan nikal jati hai. Aur tum ho ki apna khayal nhi rakhtein. Ab tm aaram kro, hum yahi hai tumhare paas. (Looking at everyone) Aap sab jakar aaram kr lijiye, hum hai yahan Kittu ke paas.

Kartik: Aapko yahan rukne ki koi zarurat nhi hai Dadi, aap jakar so jao. Aapko toh sabse zyada aaram ki zarurat hai, warna aap kal meri haldi enjoy kaise karengi, aapko toh mere saath dance bhi karna hai.

Suhasini: Hum tumhari baaton mein nhi aayenge. Hum yahi rahenge bas.

Akhilesh: Maa, Kartik thik hi toh keh raha hai. Aap jakar so jayiye, Kartik ke paas main aur Surekha ruk jayenge.

Manish signs his mother toh listen to Akhilesh and get some sleep. Suhasini agrees.

Suhasini: Thik hai phir. Tum dono iska khayal rakhna. Aur hume batate rehna.

Surekha: Ji Maaji, aap bilkul chinta mat kijiye.

Swarna looks at Kartik who was holding Dadi's hands trying to comfort her. She was desperate to sit by her son's side and take care of him but he would never allow her to do so. Manish held her shoulders and turned her around, and with a heavy heart, they left the room. Devyani, Bhabhi Maa (Kaveri), Bhua Dadi and Rajshree went near him and asked him to take proper rest and they too left the room with Ananya, Ranveer and Naksh. Gayu, Keerti and Surekha kept on standing there, looking at Kartik and Naira who were staring at each other, unable to get their eyes off each other. Naira's eyes were filled with guilt while Kartik's were full of love and comfort for Naira. Surekha came towards Naira and Kartik and asked Naira to go and take rest as it was her haldi tomorrow, she too needed rest but she did not know, Naira had already lost her sleep, she would definitely be thinking about Kartik all night, worried for him. Gayu and Keerti came near her and asked her to come with them. Naira nodded in a no but Kartik signed her to go, he will be okay. Naira had to leave but her heart was there with Kartik all the time.

Kaira SS : Because they are each other's SaviorsDonde viven las historias. Descúbrelo ahora