Part 5: Choote Na Kabhi Ye Saath Apna

2.3K 134 18
                                    

It was midnight now, the family members were already asleep as it was going to be a hectic day tomorrow but one soul in the palace couldn't rest, and it was Naira. She was in bed but was not asleep, thoughts of Kartik being in pain because of her lingered in her mind. The fact that she could have lost her love today because of a stupidity took away every bit of patience from her and she was just tossing on the bed, fidgeting with the phone, wondering if she should call Kartik or not. Gayu, who was sleeping beside her woke up because of her restlessness and asked Naira to come outside with her.

Gayu (Pulling Naira out of the room): Tu kyun tension le rhi hai Naira, Kartik thik hai. Usse kuch nhi hua na. Tu kyun ghabhara rahi hai?

Naira: Gayu Di, aaj mere wajah se Kartik ko itni takleef hui hai. Mere wajah se uski jaan ko khatra ho sakta tha. Main kaise shant rahu ye jante hue ki ye sab mere wajah se ho rha hai.

Gayu: Khudko blame krna band kr Naira, tere wajah se kuch nhi hua. Tujhe kahan pata tha Kartik ki allergy ke bare mein.

Naira: Mujhe pata hona chahiye tha di. Kartik ko meri har zarurat, har cheez ka dhyaan rehta hai. Use toh itna bhi yaad rehta hai ki mujhe kis kis cosmetic se, kis kis cheez se kya problem hai aur main, mujhe uske barein mein toh pata hi nhi tha. Maine toh kabhi janane ki bhi koshish nhi ki na Di. Aaj Dadi ke samne usne phir se mere liye cover up krdiya aur mujhe unki daant se bacha liya. Woh aisa kyun hai di, kyun woh har bar aisa karta hai.

Gayu: Usne toh aaj bhi wahi kiya jo woh humesha krta hai, tujhse pyaar.

Naira: Ye kaisa pyaar hai di, main kehti hun ki main usse sabse zyada pyaar krti hun, aur aaj jab use meri zarurat hai, main uske paas nhi hun.

Priyanka and Keerti were roaming around the palace when they heard Naira Gayu and came towards them.

Keerti: Guys tumlog soye nhi abhi tak? Naira tumhe toh rest krna chahiye, kal tumhari haldi hai.

Gayu: Masi, Keerti di, ab aap hi samjhaiye isse. Zidd pe adi hai ki Kartik ki tabyat iske wajah se kharab hui hai, aur madam ko Kartik se milna hai.

Priyanka: Naira, jo hua use bhul jao. Tumhari wajah se kuch nhi hua. Tumhe Kartik se milna hai na, chalo mere saath. (The four of them started walking towards Kartik's room)

Naira: Par Masi, wahan Chachi hongi.

Priyanka: Unki tension tm mat lo, ye sab mujhpe chor do. Surekha so rhi hai wahan.

Gayu: Aapko kaise pata, aur aap dono kyun nhi soye the abhi tak.

Keerti: Woh mujhe neend nhi aa rhi thi, Aditya so chuke the toh maine socha thodi der bahar ghum leti hun. Bahar aayi toh dekha Masi bhi jaagi hui hai, toh bas hum yun hi round marne nikal gye the.

Priyanka: Mera room Kartik ke paas wala hi hai toh main Kartik ko bhi dekhne gayi thi woh aur Surekha dono soye hue the.

They reached Kartik's room. The door was open, they peeped in and found Surekha sleeping on the sofa while Kartik was in bed, probably asleep but yet restless. Naira was about to enter when Priyanka stopped her, asked them to hide and entered the room herself. She gently patted Surekha and woke her up.

Surekha: Priyanka, tum yahan? Soyi nhi abhi tak.

Priyanka: Woh mujhe neend nhi aa rhi thi, toh maine socha Kartik ko dekh aaun. Akhilesh ji kahan hai? Woh bhi toh aapke saath rukne wale the.

Surekha: Woh bahut thak gaye the din bhar ki bhaag daud se toh maine unhe apne room mein bhej diya.

Priyanka: Aap ek kaam karo, aap jakar room mein thodi der so jao, main yahan hun. Thodi der baad jab mujhe sona hoga main aapko phone krdungi. Okay?

Kaira SS : Because they are each other's SaviorsWhere stories live. Discover now