Shruwaat - 1

681 23 74
                                    

Scene # 1

Tapti dhup baras rahi thi, Hindustan ke logn pe. Tabhi aik kisaan ki awaz aayi

Kisaan: Kya mere bete ko le gai?!

Kisaan apna sar pakar ukru betha roh raha tha, tabhi doosre kisan ne kaha

Kisaan#2: Chalo chalo saare bare sahab ke paas chalo wohi kuch hal nikalen ge isska!

Uss kisaan ne anson poche, aur sabne bail bakriyon ka jhund bana kr 'baare sahab' ke ghar ki taraf ravana hue. Chalte chalte, har paanch mint ke fark se do-chaar naye aadmi aur aurat jurte jaa rahe the, aur bail bakriyon ka jhund bara hota jaa raha tha

Yeh sare 'baare sahab' ke ghar aa pohnche. Unnke gaar ke baare se dowar pe aik board tanga hua tha, uspe lika, "Yahan aurton ka ana mana hai!"

Woh kisaan jis ke bete ko utha lia gaya tha, woh aur do-chaar kisaan ke sath ghar ke andar ghusse aaye

Ab ghar ke andar ka haal kuch aisa tha, baare sahab, seedhiyon se upar apne hilne jhulne wali kursi pe bethe, aramse akhbaar parh rahe thhe, unnke paas unke personal advocate 'Mishra ji' bethe unse waqtan fa waqtan, aik do cheezen batya rahe the. Ghar ke sehen mei Nahush aur Yaduraj karobari kaam dekh rahe thhe, ke dur se awaz ai

???: Jai ho Bajrangbali!

Ji yeh aur koi nhi humare Havish bhaiya thhe. Baare sahab ne ajeeb sa mou bana ke kaha

Baare sahab: Arey yeh Havish ka gala kabhi bethta nahi hai kya! Haar waqt 'Jai ho Bajrangbali' chillata rehta hai! Isse bolo apni volume halki kare warna mei isska speaker parh dunga!

Aik 'hmph' ke baad, zorse akhbaar seedha kia aur dheeme awaz mei kaha

Baare sahab: Har waqt humare saar par chillata rehta hai!

Tabhi awaz aayi

Kisaan: Sarkaar! Humare betwa ko bachai lo sarkaar!

Ghar ke saare hi logon ka dehan ab uss rote hue kisaan ki taraf tha, jisne ab seedhiyon ki gaud mei ghutne taek diye thhe. Apne kandhe ka kapra haathon ke beech mei dabaye haath jore betha tha, ke tabhi baare sahab bole

Baare sahab: Arey bachane meiri jooti aayegi kia gurbak? Hua kia hai yeh toh batao?

Kisaan: Malik, ab ap hi ho jo humar betwa jo ko bachai sakat ho

Baare sahab: Kiyon? Mujhe chor ke saare malik aur seth log maar gaye kia?

Kisaan: Ap sab pe bahari hain malik, woh champakali ke log humar betwa ko uthai ke le ga hain sahib

Kisaan ne rote rote kaha itne mei baare sahab ne kaha

Baare sahab: Champakali? Yeh chipkali kon hai?

Beech mei doosre kisaano ne taang arae kahan

Kisaan#2: Uh bail Champakali, kaan katti!

Kisaan#3: Inn ke betwa ko uthai ke lagai hai

Baare sahab ne akhbaar rakha, seedhe hue aur kaha

Baare sahab: Achar dale gi isske bete ka, yeh saare police wale kia haram khane aur vishraam karne ke hain kia? Jaa ke humara naam lo aur youn

Dil Mein Hulchul | ✔Where stories live. Discover now