Dushmaniyan - 5

124 13 36
                                    

DA note: Pic is randomly selected.

Scene # 1

Laxmi Devi: Hat! Meire andar jo aag hai usse bujane ki soch pehle!

Javin sahab Laxmi devi ko pankha de rahe thhe. Jab Laxmi devi chilayi toh woh peeche hat gaye

Laxmi Devi: Tut ti churiyon ka dard sirf vidva kalai hi jaanti hai! Tum teeno ke saar se baap ka saya uth gaya par meine haar nahi maani! Lekin mujhe pata chal gaya hai ke Bhangaarchand ke beite mard hain aur meire, biwi ke aanchal tale ungaaarne wale geedar!

Yesha, Aditi aur Arzu teeno khari sun rahi thi maa sahiba ke peeche. Yesha aur Aditi ne Javin ko aur Arzu ne Shivaay ko aik aik nazar karai aur "hmph" karke apne kamre ki taraf jaane lagi. Aur baas phir kya

Javin: Aditi! Yesha!

Shivaay: Arzu! Ruko!

Aur apni apni joru ke peeche peeche woh nikal gaye. Laxmi devi haar mei saar hila hi rahi thi ke itne mei awaz aayi

Ad. Gupta: Arey! Wah! Wah! Wah! Jahan chali mourti wahan gaye pujari! Isse kehte hain aurat ka jalwa, dekha kaise chale gaye, pallu se bandhe bandhaye. Aik baat meiri zaroor sun li jiye, aik larki ki ada aur jalwa hi unn charon bhaiyon mei phut dalwa sakta hai

Laxmi devi palti Ad. Gupta ki taraf aur Gupta ne kaha

Ad. Gupta: Haan, unke beech koi aurat nahi, yahi toh unki taaqat hai. Baas Bhangaarchand ke ghar mei aik larki aajaye na toh unke liye yahi bahari par sakta hai

Bari hi ras tapak ti awaz se Ad. Gupta aage bole

Ad. Gupta: Chaaron alag rah pakren ge. Artaht woh kam zor par jayen ge. Nahi samjhe? Sirf aik larki unke ghar ka anusashan taar taar kardegi phir dekh-

Daya: Abbe chup! Band kar apni baqwaas! Kabse bhonke jaara hai bhonke jaara hai bhonke jaara hai! Idhar meiri beiti shaadi tootne ke gham mei maari jaari hai! Aur yeh un shehzaadon ke liye shehnaiyon ki baat kar raha hai!

Talin, Laxmi devi, Daya aur Ad. Gupta khare thhe neeche. Unko ahsaas nahi hua ke upar Akshita bhi khari hai

Ad. Gupta: Arey larki ki shaadi toot gayi hai toh usko maar dalo ge kia?!

Laxmi devi ne Daya ki taraf mou karke bola

Laxmi Devi: Woh bolti hai woh parhne nahi jaye gi

Phir Ad. Gupta bole aur sabka dehan unki taraf hua

Ad. Gupta: Woh toh ab yahi kahe gi ke parne nahi jaaongi. Woh agar aise hi yahan rahi toh uska dukh barhta jaye ga, isi liye mei keh raha hu uski parhai wapas shuru karwa djiye

Teeno ne apas mei aik nazar karai aur haami mei sar hilaya

Scene # 2

College ka aik aam din. Lekin aik akhbaar wala student bohot shor macha raha tha. Shakal se uski mendak jaisi ankein thin aur chota mou aur woh chilla raha tha ke

Lucky: Garam garam taza khabar! Aj ki taza khabar! Masale daar news! Fokat mei leke jao!

Itne mei peeche se Jai, aik akhbaar ka bundle pakre ata hai aur puchta hai bare hi hairaan andaz mei

Jai: Kaisa jaa raha hai?

Lucky: Lush bhai lush!

Jai muskurata hai aur puchta hai

Jai: Baaqi ke paise kaha hai bhai?

Dil Mein Hulchul | ✔Where stories live. Discover now