Rishte Khaak Mei Milgaye - 20

59 12 27
                                    

DA note: Author is again sorry. Usse dishoom dishoom scenes nahi likhe jaate.

Scene # 1

Laxmi Devi ke andar ghuste hi unnke bete aur bhauen bhi andar aate hain

Shivaay: Ma, yeh kia pagalpan ki baatein kar rahi thin ap?

Daya ne ghusse mei thori badtameezi se pucha

Daya: Kis se puch ke bola tumne yeh sab?! Meiri beti aur uss bhikari ke saath?! Hargiz nahi!

Javin aage aake bola

Javin: Ma agar aisi hi baat hai ke tumhi sab kuch teh karne wali ho, tou hum kiyu hain yahan? Kiyu rakha hai apne saath?

Laxmi devi palti aur kaha

Laxmi Devi: Tumhari moti aqal hamesha thuk se ata gundhti (knead) rahegi. Meine kehdia tou kia kar dungi shaadi? Wahin hogi jahan tum chahoge

Phir Shivaay ne sawalana andaz mei pucha

Shivaay: Agar aisi baat hai, apne phir unse jhoot kiyu bola?

Laxmi devi ne sanjeeda hoke kaha

Laxmi Devi: Haan, kaha. Agar nahi kehti tou ab tak jo humne kia uspe paani phir chuka hota. Ab dekhna, unki kahani kis panne par khatam hoti hai

Koi thi wahan, chupi khari sun rahi thi sab kuch. Aur usne apne dimagh mei kuch socha tha, bas issko aage pohchane ke liye usko Talin ki zarurat thi

Scene # 2

Bhangaarchand apni rocking chair par bethe. Chhari ko unhon ne rocking chair mei phassa lia. Nahush aur Yaduraj aage peeche khare the unke

Ad. Mishra bhi darwaze ki chaunkhat par thhe aur kehne ko mou mei alfaaz na thhe

Nahush ne dheemi awaz mei pucha aik ghusse mei tezi se saans lete Bhangaarchand se

Nahush: Hukum pitaji? Usse zinda laon ya murda?

Bhangaarchand ne sirf apni chhari patkhi. Nahush aur Yaduraj ussi jeep mei sawar hue aur chaldiye

Scene # 3

Havish aur Jai sabzi leke rawana hone wale thhe Havish ke doosre ghar ki taraf. Bas tabhi aage unke same jeep ruki

Havish aur Jai thora ghabra se gaye lekin chhupa lia, jeep se zahir si baat hai Nahush aur Yaduraj nikle

Nahush ne ghusse mei kaha

Nahush: Andar beth chal!

Jai ne pehle Havish ko dekha aur phir pucha

Jai: Kiyu?

Yaduraj ne bhi ghusse mei kaha

Yaduraj: Jaisa keh rahe hain waisa kar! Andar beth!

Jai ne inkaar kia

Jai: Mei ghar nahi aaonga…

Nahush: Tou kidhar jayega? Kidhar jayega tu?

Jai: Kahin bhi lekin mei ghar nahi aaonga. Apne tou hume maar kar ghar se nikal dia na, tou phir ab kiyu chinta karte ho?

Dil Mein Hulchul | ✔जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें