Dushman Ka Dushman Dost Hota Hai - 21

66 12 17
                                    

Scene # 1

Aik jeep aake ruki Bhangaarchand ke ghar ke aage. Usmei se Daya Ramlal prakat hue with Shivaay and Javin. Yaduraj apne ghar ki main entrance se thora dur gaari ke engine and so mei ghussa hua tha

Yaduraj pana (wrench) uthane ke liye seedha hota hai tou unko andar ghusste dekhta hai

Yaduraj: Aye! Wahin ruk jao! Kisse puch kar iss zameen pe pair rakha tumne?!

Daya aage aate hain aur araam se kehte hain

Daya: Yaduraj, hum yahan par jhagra karne nahi aaye hain

Aik 'hmph' ke baad Yaduraj puchta hai

Yaduraj: Tou kia rishta leke aaye ho?

Bhangaarchand aur Ad. Mishra bahar aaye kuch baat cheet karte hue, tou unki bhi nazar inn teen par pari

Yaduraj: Chalo niklo yahan se

Shivaay ne aage aake bola

Shivaay: Humne suna hai ke koi bhi madad maangne ata hai Bhangaarchand ji ke paas tou usse thokar nahi maarte

Yaduraj paas mei khare guard ke haath se bandook leta hai

Yaduraj: Tumhari tou mei- Chalo niklo yahan se!

Daya kuch kehne wale hote hain ke

Bhangaarchand: Ruk jao Yaduraj!

Yaduraj palat ke dekhta hai saath hi saath who teen bhi

Bhangaarchand: Aane do innhe andar

Bhangaarchand dheere dheere seedhiyon se utar rahe thhe wahin woh teen bhaag kar aagaye isse phele Bhangaarchand neeche aate

Bhangaarchand ke saamne haath jorne wale the Daya lekin jhuk ke pair chuh liye

Daya: Pranaam

Daya uthe aur haath jorke bole

Daya: Hume maaf kardijiye Bhangaarchand ji. Humse jo ghalatiyan hui hain... Uss baat ko lekar apne dil mei koi boghz (grudge) nahi rakhiye ga... Bhul jaiye sab kuch

Daya dou minute ruke dekhne ke liye ke kahin Bhangaarchand ko kuch bolna na ho. Jab khamoshi payi tou phir bole

Daya: Apke bete ki shaadi meiri beti ke saath hojaye uske liye apka beta madad ke liye humari Laxmi ma ke paas bhi aya tha

Shivaay ne aage bola jab Daya ruke

Shivaay: Par ma tou sirf apko harana chahti hai, isi liye humne jahan rishta teh kia tha ma ne thukra dia

Daya: Aur unhon ne tou yeh zidh pakri hui hai ke woh apke bete ki shaadi meiri beti ke saath karwake hi rahengi

Yaduraj ne palat kar dekha. Javin ne haath jore aur kaha

Javin: Phir bhi hum log chate hain ke jahan meiri bhanji ka rishta teh hua hai wahin uski shaadi ho. Iske bawajood agar humari ma ya apke bete ne shaadi mei bakhera dalne ki koshish ki tou hume kuch na kuch karna parega

Yaduraj wapas palat gaya. Usko pata tha ke uske pitaji kia karne wale hain

Shivaay: Ab ap hi bataiye

Bhangaarchand: Tumhe kuch nahi karna. Jo karna hai woh sab mei karunga. Tum chahte hona ke yeh shaadi ho? Mei dekhunga ke yeh shaadi, jahan tum log chahte ho, wahan hojaye

Yaduraj ne pata nahi kiyu dakhal di

Yaduraj: Pitaji!

Bhangaarchand ne neeche mazeed utarte kaha

Dil Mein Hulchul | ✔जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें