hayat' Villa ki chaar chidiyaann 😍😉😝🤗

294 42 44
                                    

Ab baari hai iss Ghar ki sabse khaas chaar shaksiyato ki jinko daatna ya kuch kehna kabile jurm hota .. dada jaan ki jhaad tayyar rehti agar koi inhe kuch kehta ... Dadiammi kehti "chaaro mere Ghar ki chidiyaann hai.."
Chaaro bilkul alag par ek Jo Inka naara tha..all for one and one for all...

Chidiyaann number one Parizaat:
Ghar mein koi bhi masla hota kaun suljhata... 'PARI'... Dadiammi ki "chehakti chidiyaann" kitchen Kya kitchen ki deewar ke bhi nazdeek jaate darti.. psychology mein b.a. ke akheeri saal mein ..dekhne mein ladkiyo wali koi nazakat nahi..jeans kurta ..baal jis hisaab se banjae unki marzi..shoes pehnti kyuki sandals mein kaun bhaage?

Chidiyaann number do Ana:
Saada ,suljhiwi ,kitabi keeda, chashma lagati.. bahut kuch nahi lekin kuch karna chahti hai Zindagi mein .. dada libaas ..gheuaa rang... Baalo mein tel lagakar jab college ke liye nikalti to kisi aur ko Kya gharwale bhi hairat mein padhjate.." yeh college jaarhi hai...Kya wakai..."yeh b.a history k aakheeri saal mein hai..par jis waqt mic pakadkar bolna shuru karti students k saath teachers bhi chakkar khajaate... Isliye dadiammi ki 'seedhi chidiyaann'

Chidiyaann number teen rabab :
Padhai mein pisaddi ..tayyar hone mein ,  fashion mein sabse aage.. chehra naam ki tarah rabab karta ... Par b.a. k pehle saal mein hii pta chal gya tha ab padhna bas mein nahi par Ghar mein beithne k Matlab kaam..kaam ki afat kaun gale mein daale to pari k idea k mutabik ek private school mein teacher hain.. inn sabhi baato ko dekhte hue cheekhna chillana choti se choti baat par aur badi se badi baat par ... Gharwalo ki inke liye ek hi dua hai kii " Allah akhal de".. love stories ko real life se jodna toh pesha haii.. tabhi Dadi ammi inki baato par  "dramebaaz chidiyaann" keh Kar pukarti... .inhe..

Chidiyaann number chaar: seharish
Bachpan se ammi papa ki naraazgi ko dekha ..jab bhi roti Dadi gale laga letii jisse waqt k saath dadiammi ki parchaii bangyi . .. Jo dadiammi kehti wo akhiri alfaaz hote.. Jo dadiammi kehti wo karna hii hota ...chahe kuch hojaye . ... Isliye dadiammi ki "sabse pyari chidiyaann"..24ghante sir par dupatta liye rakhtii..tezz hasne se bhi dartii ... Ghar ke sare kaamo mein mastery thii... College mein Urdu mein b.a. Kar rahi thi akhiri saal tha Inka bhi.. Urdu seekhi Taki dadiammi ko unki pasand ki kitabein padhkar suna sake .. par dilchaspi aisi paida hui ki urdu se ishq hogaya...aur aage ki padhai Urdu mein hii Karne ki thaani...

Ana sehar humdimaag thi kyuki ana ki padhai mein madad sehar karti aur sehar ki dadiammi gathaa sirf ana jhelti...

Wahi rabab pari ka manpasand kaam udham machana tha.. ishq mohabbat ki Kahani se pyar ka yeh Alam tha ki novel aane mein ek ghante ki bhi dairi hojati to apni saheli saquib Bhai k jeena Haram kardeti ...jaha pari heroine ke taur par khudko dekhtii waha iske saath saath rabab uss hero k bhi sapne dekhtii...
Chaaro pure din ek dusre ke kaan khaati rehti... Lekin raat mein sehar iss hujum mein shamil nhi hoti kyuki dadiammi ke mutabik achhi ladkiya fajar mein uthkar Isha mein sojati hai...

Dadajaan humesha se betiyo ko darjii dete the... Jab aage piche chaaro Beto ne potiyon ka muh dikhaya.. toh sabko chumkar bole.." zamroon mere Ghar ke Charo kone .. Allah'taala ki rehmat se aabaad hogye... tabhi se hayat' Villa ki chaaro chidiyaann thi kyuki dadiammi kehti " chahe jitna bhi .. pyar karle Charo ek din apne ghoslo mein pahuchjaegii.."

Aur ab yehi baat rabab pari k gale ka kaanta bani hui thii..  dono din raat yehii mansube banati rehti achha rishta..smart pati kese milega.. ??? Yaha rabab humare rishte bolti.. toh pari tum teeno ke rishte... Raat din ki yeh bakwaas sunn Kar ana ka dimaag chakara jaata wahi sehar ko dhyan bhi nhi deti...

Wo dono jaise hii hall mein dadiammi ki nighao se ghabraii thii.. aur phir kaam Karne ki nakaam koshish Kari thii..phir dua ke baad ek aurat Jo dua ke khajoor liye bina gyi thi..rabab Jo saleekhe se bethii.. thi..uss aurat ke piche bhaagi thi...
"Aunty .aunty... Yeh aap bhul gyii..." Saans phula tha .. kamar par haath jamae bala ki haseen lagrhi thi.. jispar uss aurat ne hi nahi kisi aur ne bhi bahut gaur se dekha tha....
Phir kya tha agle din aakar bomb phoda tha..."aaj school aate hue aur jaate hue bhii kisi ne Mera peecha kiya..."

😉😉😉
Comments na..two chapters and no comments how rude.. hopefully this time I will get lots of it...

Anyways..lovely readers..this third chapter is exclusively for all of uh.. 

So howazzat😒😒😒..bta bhi do....

Whom your character resembles most....

Pari

Ana

Rabab

Sehar

Do vote n comment.. I promise I will update soon...

Ghar ki chidiyaann...💁🙅🤦🙋(Complete)Where stories live. Discover now