paise de ~do..joote le~lo🤟

163 29 113
                                    

Bismillah❣️
.......................

Waha saare dulha bethe the... Waha behano ki behan 'saquib bhai' pahuch Gaye....

Bole " Chalo ... Saare jeeju khud joota utaarkar dege..."

Shehryaar bole" kyu janab?... Aap humari saali hai Kya ??"

Toh kaha gya " aapki saari saaliyo ka bhi nikah abhi hua hai toh yeh farz main hii nibhaunga ..."

Jispar sarfaraz bola "saquib hadd kardi tune toh behno ke pyar mein"

Wo bhi hasa bola " bas main Khushi se bidaai chahta hu unko yehi gham hai ki hum joota churaii nahi Kar paege toh Maine apni madad hazir ki "

Ehteshaam nikaah ke baad khulkar saamne aa chuke the toh bole " toh aapko joote chahiye ... Utaar lijiye phir..."

Saquib behan ISS baar par bilkul bura nahii maane ..balki unhone toh sabke pairo se joote kheche ki saare mehmaan wahi ikhattha hogye kehkaho se saara Sam's bhargya...

Phir paise lene ki baari mein saquib bola " aap sabki patniyo ne paise btae hai ,, bas Meri Sharif behan sehar ne nahi bataya ...toh daim tum akhiri mein Jo Dil chahe wo de Dena..."

Sabne utni hii rakham dii jitni unki ehliya ne kahi thii... Phir daim ne uski kul rakhm ko doguna Kar krdiyaa... Jispar daim ki Jai jaikaar hui...

Use pta tha... Yeh rasam dulhan ki behne behan ko sopne ke ehwaz mein karti hai ... Toh sehar ke aage yeh kuch nahi tha...

-----------::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::-------

Phir dhudh pilaaayii ki rasam aayi toh amaan ayaan dhudh lekar aae...

Idhar anchor bhi saquib Bhai the ...

Unhone Mike par pucha ayaan amaan se "aapko Kya bolna hai saare jeeju se?"

Amaan bola " agar humari aapiyo ko satane ki koshish Kari toh achha nahi hoga"

Sab hasne lage pucha "ISS dhamki ki khaas wajah"

Ayaan bola " humne suna hai ...jeeju sirf apne saalo se darte hai..."

Toh saquib bola "ohooo..achha toh saare jeejuo ko btao ki wo aapki aapiyo ko kyu naa satae..."

Dono mein milkar jawab ...

"Shehryaar jeeju, humari ana aapi ki hi wajah se hum eighth Tak pahuche hai... Maana ki wo bahut piithti thii jab hum padhaii ke waqt masti karte the ..par unki hii mehnat hai kii hum position lete hai..."
Jispar Shehryaar hasa tha....

"Ehteshaam jeeju , rabab aapi ka ek aisa mobile hota hai ... Jise hum kabhi bhi istemaal karte hai... Aur wo apne school ke papers humse check karati hai ..Hume bada maza aata hai jab wo khud digest pdhti hai"
Ehteshaam bhi hasa thaa...

"Pari aapi toh aapi hi nahi dost bhi hai ...saare games unhone ne hii toh sikhae hai...agar unhe kuch hua toh phuphi ka Ghar pta hai Hume...pahuch jaege...."
Sarfaraz ne wahi se kaan pakde the...

"Daim Bhai.. sehar aapi se jab bhi kuch banane ko kehti thii ...tab hii banakar khilatii wo bahut seedhi hai..agar kuch hua toh aapko toh dekhlege aap toh Ghar par hii hai.."

Pura hall mein taaliyo aur hasi se gunj pada .

Saquib phir bola " ISS khatarnaak dhamki se dekhte hai jeejuo ki Kya halat kharab hui hai?"

Yeh kehkar uss sofe ke paas pahucha

Pehle Shehryaar bola" ayaan amaan aapki height aur body dekh waqai darr laga ...par ab aapke exams mein ana aapi ke saath main bhi padaunga aur main maruga bhi nahii "

Phir ehteshaam bola " main bilkul aapki rabab aapi ko pareshaan nahi karuga . Phone ki baat kahi na toh Meri taraf se aapko do mobile phone gift..."waha wo uchle the

Phir sarfaraz bola "main sochrha hu aapki dost bhi toh aapko miss karegii ..kiske saath khelegii ... Toh aap humare Ghar jab Dil chahe aajana warna main aajaya karuga lene.."

Aakhiri mein daim bola " agar main aapki sehar aapi ko sataunga toh main toh Ghar mein hi hu yaar dekhlena mujhe achhe se!!""

Sabne saali jeeju ki taang khichaaii toh humesha se dekhi thii par ISS saale jeeju ki behas dekh sabko khoob maza aaya tha...
.............................bidaaai.......... ......................
  

Bidaai ke waqt chaaro milkar khoob royii ..Ghar ka har chota bada fard ro raha tha sirf sehar ki ammi ke alawa Jo mehmano mein bethi thi... Sarfaraz daim ne ana rabab ko bidaa kiaa...

Sabse pehle ana ki bidaai huii... Wo car ke andar dekh hi nahi rahi thi wo peeche saare gharwalo ko dekhe jaarhi thii....behadd ro rahii thii... Jab sab dikhna band hogye toh Shehryaar ki maa ne pakad Kar gale lagaya "bas..Meri jaan" wo ro padi tezz "mummy...sab..."toh wo chupati rahii jabki ana ki dusri taraf betha Shehryaar Jo kabse ghamzada tha usne mazbooti se ana ke haath mein apna haath daal mutthi band Karli..jispar sab bhulbhaal Kar ana muskurayii thii....

Phir rabab ki baari aayi ..toh saquib ana ki bidaai par itna nahi Roya jitna usko ab Rona aaya ..wo doli ka parda kholkar bola " beta tu ghabrayo nahi ..har mahine ki teen tarikh ko main khud Tere Ghar digest lekar pahuchuga humesha"" jispar rabab isska haath nahi chodrhi thi... Sarfaraz ne zabardastii chorwaya ... Ki "sambhal saquib khudko..."

Kuch waqt baad jab pari ki bidaai hui toh sarfaraz biwi aur MAA dono ko chiparha tha kyuki wo bhi iss Ghar se bidaa hui thi jaise aaj bhatiji horhi thi... Lekin pari ne chalne se pehle sehar ke gale lag usko dua di thi "Meri dua hai sehar.. Hume se sabse zyda Khush tu rahe aur Jo tu rahegii ..dekhyo"

Pari toh chali gyi par sehar chup nahi hui thi... Jab Tak daim ne dulhan ko kamre mein lejaane ki rasm ke liye use utaya nahii tha... Yeh kesa sakoon tha Jo wo mehsoos karrhi thi nikah ke baad uski nazdigi se...

Use wo lagataar dekhrhi thi lekin khud bed par bethakar wapis palat gya Chachi aur ammi ko kuch derr ka kehkar ..kyuki aaj usne Jo faisla liya tha uspar wo kamzoor hojaata agar wo blue golden lehnge mein sehar ko dekhleta Jo saari markets ghum ghum Kar khud hi pasand karke laya tha....

Dadiammi kamre mein pahuchi toh dadajaan bethe the....

Dekhkar boli "jaise ek saath saari chidiya humare Ghar aayi thi aaj ek saath udhgayii "

Bole "dua karo zamroon achhe naseebo ki ..allahpaak jitni Khush wo yaha rahi usse kahii zyda Khush wo apne gharo main rahe..."

"Ameen...summa ameen" dadiammi ne aanso poche the...

Tingting next chapter with 1019words...

Howazzat...

I know romance nahi tha...but pyare pyare rishte aur emotions toh the...

Toh ur favorite dialogue

Ur favorite scene

Any complaint

Information:

Next four chapters are of..

Shehna...

Ehbaab...

Paraz...

Dairish...

N Beginning of their love lives🙊

Who's excited ... Well I m pretty much
N you

Till then

Allah Hafiz 😇

Take care🤟


Ghar ki chidiyaann...💁🙅🤦🙋(Complete)Where stories live. Discover now