Just Nikahfied💕

154 27 55
                                    

Bismillah....

Enjoy reading...

See the attached photo👆👆👆

Kisi tarah papers guzre... Toh kamre mein rehna khasa khalta tha...kyuki

Waha ana ko khat likhte hue ya padhte hue dekhti....

Kabhi rabab aur pari ki uth pataang baatein ...

Ek baar bethi thi toh pari aayii haath pakadkar ...kaandhe par sir rakhkar boli

"Pta hai sehar.. sarfaraz aaj bhi aae the par naa hi mujhse mile... Na hi bole na hi dekha ... Maine rabab ko btaya toh wo kehne lagi wo mujhse pyar karte hai ..tujhe Kya lagta hai?"

Sir par haath pherkar bola " yehi lagta hai aur yeh bhi pta hai tu bhi unse pyar karti hai..." Jispar pari ne jaise dekha toh wo bhi hasdi...

Par pari ke liye yeh Sach sabit hua exams nimat chuke the ab din raat bas sarfaraz ka khyaal tha ... Sehar ke saamne yeh baat qubool ki toh usne kaha "phir tujhe har wo kaam seekhna chahiye Jo tu unke liye Kare..."

Jispar kabhi wo jharu dete dikhti... Kabhi salad pesh karte dikhti ..kabhi sarfaraz ki pasandida Khana seekhkar haath jalakar cheekhti dikhtii....

Wahi ana ke khat pehle himayti khato se dosti ke khato mein badale phir mohabbat ke khato main... Ana ko hasi bhi aati sir Shehryaar itne romantic bhi hoskte the kabhi Socha na tha aur mujhe Kya hogya hai main ISS tarah ki baatein rabab pari aur sehar se bhi nahi karti Jo unse Karne lagi huu..."main aapse bahut mohabbat Karne lagi hu Shehryaar ...bahut
---aapki ana"

Rabab🤣,,,, wo to Roz school jaate aur school se aate mein ehteshaam ko dhundhti par na dikhta toh gunah jodh rahi thi ISS maksad ke saath saare badle shadi ke baad hi pure hoge ...iss baat se bekhabar gunahgaar Jo gunah pehle saamne se karta tha ab wo chupkar karta hai... Roz.....

Waha daim use dekhta rehta par wo toh kaamo mein humesha ki tarah masroof dikhti jab dekhtii toh narazgi aankho mein saaf dikhtii...

Yu hi maayon ka din aagya wo chaaro Peele jhodo mein thii...

Dulhano wali kashish sabke chehre par thii par jab daim ki nazar sehar par gyii toh uska chehra haldi se bhi zard tha

Dekhkar dilo dimaag phir sochne laga Kya main iske kabil banpaungaa ...haa mein ISS baar bhi jawab aaya thaa...

Barat ki subah wo Roz ki tarah chatth par fajr ki namaz padhrhi thi ..aur wo Roz ki tarah gate par khade hokar aaj bhi namaz padhta dekhrha tha... Par roz ki tarah namaz ke baad wo palta nahi tha...
Pehli baar sehar ne use dekha tha ISS waqt ..dekhte hi aankho mein mote mote aansu aagye ... Wo ruki nahi seedha neeche aagyi jabki daim waha jaakar betha jaha wo namaz padhrhi thi farsh ko chukar khud bhi behtar se behtar ki dua ki...

Phir wo bhi lamhaa aaya jab nikah hogye the ...

Wo Charo apne kamre mein aayii toh wo kamra ajnabee lagrha tha.. kamre ki har cheez ajnabee lagrhi thi...

Ki ab wo saath Sona, saath uthna, saath hasna , saath Rona sab khtam ...yeh ehsaas pehli baar hua tha...

Bidaai se zyda yeh ehsaas tarpaane Wala tha...phir ek ek karke sabne sabse maafi maangii ..

Duae ki gyi achhi zindagiyo ki ... Khana aaya tab bhi nahii khaya...

Uss kamre ke har kone ki yaad taza ki gyii ... Photo album nikal Kar bachpan se ab Tak ke saare photos dekhe gye ...

Phir yeh teh paya gya "jab zindagi main nhi roye toh ab kyu ? Ab toh wo sapna pura hua hai Jo bachpan se sir jodkar chaaro ne saath dekha tha..."

Jispar thahaka maarkar hasi aayi kyuki dusra jumla Sach tha pehla jhuth ...

Phir wapis huliya durust Kara kyuki video bnane Wala aaya tha...

'nikah is the purest form of love...allahpaak love this relation most❣️'

That's it ..chap no 21...with 620words..

I know short but sweet

Isn't it???

Howazzat..

Ur favourite pal...of this chap..

Moral of this chap::enjoy this pal... Because we gonna miss this pal in future.. n it's true I can understand this much better after my cousin's wedding...

Hum bachpan se shadiyo ki baate .. excitement... Planning karte the ..ab jab uski hogyi toh lagta hai tab hi achhe the..

Anyways it's life... Shadi ka apna hi maza hai waise toh🙈🙈🙈

Tell me about this chap..

I m excited for upcoming chap n events n you????

U r most excited about......???

Vote vote vote

Comment comment comment

Take care ...

Allah Hafiz 😇

Ghar ki chidiyaann...💁🙅🤦🙋(Complete)Where stories live. Discover now