safar haseen hai manzil se bhi💘

184 26 224
                                    

Bismillah ❣️

Shaam Tak koi dulha apni dulhan ko dekh na paaya...kyuki chaaro chiddiya kamre mein kedd gappe laga rahi thi...has rahi thi ro rahi thi...rokar hasrahi thi...aur haskar ro rahii thi...

Jab shaam dhali toh chaaro tayyar huii ..ek jaise white gown mein  aur dulho ke liye black pant coat with white shirt...yeh wahi libaas the jinka tasawwur wo humesha kartii jab sochtii
"Sunn na jab pehli baar hum 8log ghumne jaaege toh hum chaaro white gown pehnege aur wo chaaro black pant coat with white shirt..😍😍😍"

Aur yeh sapna tamaam gharwalo ke saath dadiammi ne bhi kayii baar suna tha ...

Inka andaaza jab hua jab aaj ke libaas dekhe toh chaaro milkar khoob hasi thi.. dadiammi ko khoob Pyaar Kara tha..

Sab apne apne wali ko dekh sharmarahi thi... Jabke sab apne apne wale ko dekh muskurarahe the..

Lekin sehar daim ko dhundh rahi thi Jo kahi nahi tha...

Sabne Pyaar Kar wida dii... Toh saquib Bhai Bahar Tak laaye jaha alag alag cars khadi thi...

Saquib bola "yeh car Meri ana ki ... Kyuki main jaanta hu safed iska pasandida rang hai.. aur saada chize pasand hai isko...ana pasand aayi?"

Ana ne kaha "haa... Bahut zyada ...Bhai "

Kehkar pyaar Kara toh usne bhi seene se lagaya jabki chaabi Shehryaar ko pakdayii Jo apni ana ko dekhrahe the..

Phir bola "Meri pyari pari ko royal cars pasand haina toh uske liye wahii..."

Jispar pari ne wow bolkar taali maari toh hasne laga .. sarfaraz ne haath thaaamaa...toh muskurayii..

Phir bola "yeh lambi car Meri pagal rabab ke liye..."

Jise dekh rabab ne sseetiyaa maarr daali...jispar ehteshaam muh neeche kiye muskurarahe the ...

Saquib be pucha " konsi novel thi wo jisme hero heroine aisi car mein bethkar jaate hai ...jisko aise bataya Gaya tha hayeee saquib Bhai .. hayeeee saquibb bhaiii..."

Sab hase khud boli "hehehe..Bhai Kya batao novel ne toh marwadiyaa..."

Bola "kyu.."

Ispar dhakka pati ko laga foran bola " yaar derr horahi hai yeh daim kaha rehgaya.."

Ispar rabab ke lafz muh mein hi rehgye ...ana pari ek dusre ko dekh sir jhukagyi hasi rokne ke liye...jaanti thi ehteshaam ne baat kyu kaati.. jabki sehar ka dimaag daim mein atka tha...

Saquib bola " aisa karte hai aap sab pahuche...daim ko aadha ghanta lagega ..main wait karta hu sehar ke saath.."

Teeno nikli apne patiyo ke saath jabki saquib aur sehar wahii bethkar wait Karne lage..

---------------------------------------------------❤️❤️

Shehryaar car mein bethkar bola " shukriya ana!!!"

"Kyu?"

"Kyuki aapse judkar Maine rishto ki ehmiyat jaani.. pyaar apnapan Kya hota hai ..yeh samjh aaya... Mujhe laga hi nahi main gairo Mein hu..wakaii aap bahut lucky hai .. sab aapse kitna Pyaar karte hai aaur aapki wajah se mujhse..."

Wo muskurakar dekhrahi thi... Bola " ek baat bataye Ghar mein aisa hii mahool hota hai ya aaj kuch khaas tha.."

Jhat se boli " Ghar mein toh humesha yehi mahool hota hai..aapko pta hai bas hum cousins ke Milne ki derr hai...  Aur bhayii phir drame kkhatam nahi hote... Pta hai jab bhi koi shararat dadiammi ke saamne aati hai toh pari rabab toh aar jaati hai .. sehar humesha sachh boldeti hai aur mere kabhi samjh nahii aata main kkya Karu.. aur aapko pta hai saquib Bhai Hume waha... "

Ghar ki chidiyaann...💁🙅🤦🙋(Complete)Where stories live. Discover now