Chapter 3

4.8K 328 18
                                    

Continue from last part ..

Ronit: Chalo ab late bhi ho gaya hai aur tum thak bhi toh gaye ho

And 15 minutes of ride Ronit, Bela and the baby reached their home

Ronit rang the door bell then a lady opened the door and seeing her expression, Ronit and Bela got nervous, the lady said

Lady: Aa gaye, itni jaldi kaise aagye tum dono thodi der aur ruk jatey abhi toh sirf subah ke sarey 4 hi baaj rahe hai. Ek kaam kyu nhi kiya tum dono baap beti ne aaj dopaher ko ajatey, hai na kyuki ki gharwalon ki toh koi chinta hi nhi

Ronit: Arey Nisha kya tum bhi darwaje par hi kya daatti rahogi kya ander toh aney do humey phir jo chahe woh kehna

Nisha: Ronit aap ander aao par Bela tum nhi wohi bahar ruko

Bela: Par kyu mumma ?

Nisha: Bola na mene bahar ruko

Saying this Nisha went inside and brought a aarti ki thali

Ronit: Ab yeh kya hai ?

Nisha: Aap chup rahiye, yeh bachi pehli ghar aapne ghar mein aayi hai isiliye dono ki aarti utar rahi hu ab hatoge ya nhi

Ronit get aside then Nisha did the aarti of the baby and welcomed her to her home

Ronit: Ab ander toh asakti hai na meri beti

Nisha: Haa aajao ander aur apne room mai jao, mai abhi sati hu thodi der mein

Bela meekly nodded and went to her room with the sleeping baby in her arms

Nisha to Ronit: Aap kya ab yehi rahoge ya room mai bhi jaoge

Ronit: Haa haa jaa raha hu mai

Ronit also went to Bela room

In Bela's room

Bela: Papa lagta hai mumma bohut gussa hai mere ish faisley se tabhi woh esi behave kar rahi hai

Ronit: Lagta toh yehi hai, par tu chinta mat woh baadmein sab samajh jayegi

Meanwhile Nisha entered Bela's room

Nisha: Maa banne ka faisla le liya hai tumne par pata bhi hai parenting kese karte hai. Bina kuch soche samjhe itna bada fasila leliya tumne ek baar humse puchna thik nhi samjha na

Ronit: Arey dhire bolo Nisha, bachi abhi so rahi hai

Nisha: Aur kuch shopping kiya bhi hai ya ese hi agaye tum dono

Both again shook her head

Nisha: Tum dono ka kuch nhi ho sakta. Bachi ko kya pehnaoge, kya khilaoge, kese rakhoge kuch plan nhi bas sidha aagye ghar

Saying this she handed over some baby clothes to Bela

Nisha: Yeh lo bachi ke liye kuch kapre

Ronit: Arey waah Nisha tumhe bachi ke liye shopping bhi kar liya par itni raat ko konsi shop khuli hui hogi

Nisha glared at Ronit

Nisha: Bela ke kapde hai yeh bachpan ke aur bachon ko purane aur naram kapde pehnane chahiye unko aaram milta hai aur yeh baat toh aapko yaad nhi hoga, hai na

Aur Bela ji kya karne ka irada hai aapka. Kaise sambhalogi, sara din toh hospital mein busy aur aapke papa office mein aur mai bhi toh busy rehti hu na ghar par aur baki kaamon mein toh kya baby sitter laugi uske liye

Bela: Ji

Nisha: Kya itni choti bachi ke liye baby sitter, abhi bhi uski nani zinda hai toh baby sitter kyu

Ab Tum Hi Toh Ho ✓Where stories live. Discover now