38

2.7K 147 18
                                    

Next morning.

At Anika's Mansion

In shivika's room. Both were sleeping shivaay woke up. He saw his girl sleeping peacefully. He moved close to her and kissed her forehead. Which broke her sleep.

Shivaay: good morning mystery book

Anika: good mor.... ek min kya? Aapne kya kaha abhi mujhe?

Shivaay: mystery book.

Anika: mystery book?

Shivaay: haan. Wahi toh ho tum. Kitne raaz chhupa ke rakhe hai tumne.

Anika: nahi ab koi raaz waaz nahi hai. Sab bata diya.

Shivaay: haash!! Ek saath kitne jatke diye tumne. Par mujhe ek baat batao. Tumne yeh sare words kahan se sikhe? Kyu ke tum Rajput ho aur I think yeh sare words wahan toh nahi bolte hunge.

Anika: haan wahan toh sab ko izzat se bulate hai. Aur yeh language maine yehin se sikhi hai. Par aap zara piche jaiye aur yaad kijiye maine operation ke baad maine kab anika type language boli thi?

Shivaay: aree haan maine toh notice hi nahi kiya. Par mujhe woh wali anika zyada achi lagti hai.

Anika: kyu iss wali anika mein kya problem hai?

Shivaay: problem waise toh kuch nahi hai. Par yeh wali anika ab bohat responsibility ke wajah se mujhse dur hoti ja rahi hai. And I am not liking it.

Anika(guilty eyes): really?? I am sorry shivaay. Itna kaam tha ke mujhe realize hi nahi hua ke....

Shivaay: anika anika relax. It's ok don't feel guilty. Mujhe pata hai tumne yeh sab intentionally nahi kiya. It's fine.

Anika: it's not fine shivaay. Pehle jab aap busy rehte the tab bhi aap time nikalte the mere liye. Par main..

Shivaay: aree main toh issiliye kar pata tha kyu ke mujhe sirf ek hi jagah kaam karna hota tha. Par tumhein toh 2-2 office sambhalni hai. Nahi 3-3.

Anika: nahi 3 nahi sirf 2. Kesar Mahal toh Diya aur Ratan sambhal lenge. Par shivaay I am sorry main aapko time aage bhi nahi de paungi. Kyu ke kuch dinon mein hume Ghar jana hoga. Kaki Sa aur Kako Sa se milne. Unhe toh pata bhi nahi hai.

Shivaay: haan toh kya hua. Hum apna time nikalne ki koshish karenge thoda sa.

Anika: thank you shivaay.

Shivaay: no need to thank me anika. I understand. Tum itne saalon se unse nahi mili ho. Toh yeh sab toh banta hai.

Both smiled and hugged each other.

Shivaay: waise kisine mujhse kaha tha ke main middle class hun. Mere pass zyada luxuries nahi hai. Mere pass car nahi hai.

He pressed the word car.

Anika: haan toh. Main bata sakti toh bata deti. Majburi thi. Kya karun?

Shivaay: haan haan. Par kya cars hai. Beautiful.

Anika: mujhe cars ka craze hai. Maine chahe apne liye ek paisa na kharcha ho par maine cars pe poora dil khol ke paise udaye hai.

Shivaay: achaji

Anika: haanji. Chaliye ab late ho raha hai mujhe.

Shivaay(unwillingly): theek hai. Theek hai. Jao

They both got ready and went downstairs for breakfast. All the members were present included the kids. The kids spotted her.

Kids: good morning annie di

Anika: good morning bacha log.

Minnie: good morning jiju

ISHQBAAZ जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें