Be the change

813 39 11
                                    

Next day ,
Bondita reached her home, she was not able to stop thinking about Anirudh she was remembering all those moments which they spent together and was blushing... she was literally imagining Anirudh standing in front of her saying "Aami tomake bhalo bhashi"(i love you in bangoli)
Bondita: yeh mujhe kya hota jaa rha hai.... kya kya mei Anirudh se pyaar toh nhi.... 🙈🙈🙈
Days pass and the bondita's love feelings for Anirudh were getting stronger and stronger......
After 2 weeks Anirudh came back from the hospital and was healthy enough to attend the college.....
Bondita was eagerly waiting for him.....
Bondita: mujhe pata hai Anirudh tum bhi mujhe pyaar karte ho isliye toh tumne apni jaan ki parwah na karke mujhe bachaya...... par ab mei bhi tumse pyaar karti hunn aur aaj mei tumhe yeh bata kar hi rahungi......
Anirudh enters the room, all the people on the room just rush to him to ask if he was ok..
Bondita: yeh sarre bhi na Anirudh aur mujhe milne nhi denge!koi baat nhi thodi derr baad woh khud hi mujhe dhundta hua aayega....
After the first lecture,
All the students go out , bondita tries to talk to Anirudh but he ignores her.....
Bondita: samajhta kya hai yeh apne aap ko! Par koi baat nhi mei abhi bondita hunn itni jaldi haar nhi maanungi!
Throughout the day she tries to talk to Anirudh but he was not ready to talk to her... he kept on ignoring her....
Bondita: yeh kya hogaya hai Anirudh ko jabse aaya hai tabse ignore kiye jaa rha hai.....
Anirudh( saw bondita with a guilt in his eyes and said in his mind): mujhe maaf kardena Bondita , par agar meine tumhe ignore nhi kiya toh tumharre aur tumharre parivaar ke liye boht badi prob create hojaegi........
Days pass and Anirudh keeps on ignoring Bondita, one day bondita goes in a village with Radhika, Radhika's mother was a govt school teacher.....
Radhika's mother welcomed bondita...(ok guys so the story of this village that i am going to write about is a true and sad story of our society , which i have myself seen.. so plz do read it and its the present truth of India i request u all if u have any suggestions to over come this problem so plz suggest in the comments)
They had lunch then Radhika and Bondita went for a walk....
Radhika: toh keisa laga tujhe mera gaav bondita?!
Bondita: shehron se toh laakh gunna behtar hai....
They were having convo but Radhika suddenly saw a boy..
Radhika to that boy: arre Rohan tu aaj school kyun nhi gaya?!
Rohan was a student of her mother....
Rohan: woh didi aaj khet mein bahut hi zyaada kaam tha toh baba ne rokk liya.....
Radhika: thik hai jaa par agli baar se aane ki koshish karna!
Bondita: Radhika, inn bacho ko padhayi chod kar khet mein kaam karvaya jata hai?!
Radhika: haan , ab kya bataun bondita... meri maa aur iss gaav ke school ke sarre teachers pareshan hai inn bacho ke parents ki wajah se... inke parents ko lagta hai ki padhayi se zyaada zaroori kheton mein kaam karke paise kamana hai.....
Bondita: lekin yeh toh boht buri baat hai! Tujhe nhi lagta inke parents ko education ka importance pata honna chahiye???
Radhika: pata hai bondita, inko sab pata hai, humne hi nhi par kuch maahan logon ne bhi idhar boht se programes kiye thhe jisse in gaav waalon ko pata chale education ka importance... lekin yeh laalach mein itne andhe ho jaate hai ki unhe kuch aur dikhta hi nhi!
Bondita: toh aunty inn sabko online classes de sakti hai....
Radhika: humne woh bhi try kiya tha bondita lekin... woh logg ,woh sab bhi attend nhi karte aur bahane banate hai ki unke parents ko yeh sab operate karna aata hi nhi.....
Bondita: kabhi toh inlogon ko seekhna hi hoga.... kya hum kuch nhi kar skate iss barre mein??...
Radhika: karne ko toh boht kuch kar sakte hain , aur boht logon ne kiye bhi hai lekin jinhe samajh na hi na ho unka hum kya kar skate hai.....
Bondita feels really sad....
Bondita reaches her home,
Bondita: maa mei ek baat puchun?
Ravina: haan bol na
Bondita first tells her about everything she saw in the village....
Bondita: kya mei iss cheez ko sudhar sakti hunn kya maa???
Ravina: Bondita.... dekh log unki hi maante hai jo unn logon ki maante hai..... agar tujhe chahiye ki woh log teri baat maane toh tujhe unn sabke beech rehkar unko apna dost banana hoga.... unhe yeh vishwas dilana hoga ki tu jo bhi bol rhi hai woh sab unke ache ke liye hai.... par abhi tu utni badi nhi hue hai ki tu unhe yeh sari baatein samajha sakke toh bas 1 hi saal ki baat hai ek baar jab tu lawyar ban jaegi tab tu smajh ko samjha bhi paegi....
Bondita gets convinced......
Next day,
In the college,
Bondita: so guys fest ke liye ab sirf 2 dinn bache hai... jiya aur kriti tum sabko bulakar lao.....
Jiya and kriti call all the participants of the fest..
Bondita: guys hum sabko pata hai ki yeh fest hum kyun conduct kar rhe hai.... aaj ke zamane mein hum boht kam rape cases ke barre mein jaante hai, jabki purre India mein har saal 80000 rapes ke cases register karaye jaate hai.... aur shayad isse bhi zyaada cases hotte hai, lekin sharam ke marre boht logg in sab baaton ko dabane ki koshish kar baithte hai.... sabse badi baat yeh hai ki aajkal kuch aisi bhi ladkiyan hai jo jaan bujkar ladko par rape karne ka ilzaam lagati hai.... aur inhi ladkiyon ki wajah se hummare samajh ki woh 80000 lakiyon ko jhootha bol diya jata hai, same ladko ke saath bhi hota hai, samaj ke kuch ladko ki wajah se sarre ladkon ki reputation waisi hi bana di jaati hai...... toh batao tum sabko kya lagta hai inn saari problems ke reasons kya ho sakte hai.....
One girl: Bondita , kyunki aajkal ladkiyon ke kapdon ko dekhkar unki personality judge ki jaati hai... unpe burre comments pass kiye jaate hai....
One boy: kuch ladkiyan ladko ke saath aisa isliye karti hai kyunki unhe fame chahiye hota hai....
Another girl: aisa isliye hota hai kyunki aaj bhi samajh mein kahin na kahin ladkiyon ko ladko se kam samjha jata hai......
Bondita: tum sabne boht unique points bole.... aur yeh bhi sahi hai ki ladkiyon ki life pehle se zyaad better toh hue hai, lekin aaj bhi kahin na kahin unhe nicha dikhaya jaata hai... hummara desh child marriages , sati pratha aur baaki saari ku prathao ko toh ab nhi maanta par aaj bhi rapes jeisi chizzein ladkiyon ka hi nhi toh ladko ka bhi jeena mushkil kardeti hai....... isiliye hum se fest organize kar rhe hai..takki hum logon ko yeh ehsaas dila sakke ki yeh sab kitna bura hoskata hai.....
(Guys my personal views, this is optional to read but i recommend you all to read it you all can bring change in this society if u one time read this : Bondita already told u about rapes and many more things.... aajkal logon ko lagta hai ki ladkiyan sab kuch toh kar paa rhi hai toh phir hum keise keh skate hai ki they are still not equally treated , hey i am not being sexist but just telling some cases which are faced by many girls in the rural areas.... i once talked to one of a girl living in rural area she told me something that broke my heart, she told me that one day her freind was comming home from her tuition some boys followed her and were passing comments on her , the girl entered her house and told her mother about all this and her mother suggested her father to fix her marriage asap only cuz of the fear that those boys would harm her in future... the girl was just in 12th grade and wanted to complete her further studies but wasnt able to do that and got married......you all will get to hear these types of stories or even worse stories than this all over India.... so i request you all to think about this social prob and be the change only the youth can bring the change , i will suggest some ways to come over this problems in my next story , plz comment your views on this social prob)
Plz ignore my mistakes...
Love Love 💞💞

Anidita: the unforgotten loveWhere stories live. Discover now