Haseena's Help

1.4K 108 10
                                    

KS tells everything to HM and also shows her the divorce papers.

HM : ya allah....itna sab kuch ho gaya... Hum abhi veyom ji ko call karke yaha bulate hai.

HM was calling VS when KS stopped her.

KS : nhi MS aap esa kuch nhi karengi... rishte sirf bharose se chalte hai aur veyom ji ko humpe bikul bharosa nhi hai, Unhe lagta hai hum kisi aur se pyaar...
(Crying).

HM : to kya karengi aap... Divorce de dengi unko??

KS : agar unki yahi marzi hai to hum yahi karenge.

HM : KS shaadi saat janmo ka bandhan hota hai, koi khel nhi jo aaj hai kal nhi... Ese rishte nhi chalte KS.

KS : agar rishto ko zabardasti chalana pade to kya matlab ese rishto ka...

HM : kya bol rahi hai aap KS...aap humare saath chaliye humare ghar.

KS : nhi MS hum yahi rahenge aap humari wajah se pareshani mat uthaiye wese bhi ab itni takat nhi bachi ki hum aapke kisi bhi upkaar ka karz chuka sake....

HM : KS hum aap par koi upkaar nahi kar rahe hai hum bss apni ek khaas dost ki madad kar rahe hai.

KS was overwhelmed by this.

KS : shukriya MS hum.. hume samjh nhi aa rha ki hum...

HM : bss KS ab aap chaliye humare ghar kaafi raat ho gyi hai..

They both reached to HM's house. HM opens the door and takes KS to guest room.

KS : aapki ammi nhi hai ghar pe?

HM : nhi KS.. Wo humare mama ji ki tabiyat achanak kharab ho gyi thi isliye wo waha gayi hai. Aap yaha so jaiye aur kuch lage to hume bula lijiyega hum yaha paas wale room me hi hai.

KS : ji MS.

HM came out of the room and call AS.

AS : kya hua Haseena ji behna thik to hai na? (he asked impatiently).

HM : itni hi chinta ho rahi hai to khud milne aa jaiye na.

AS : hu.. Hum nahi aayenge.

HM : dekhiye anu, abhi KS mentally bhot disturbed hai aur doctor ne kaha hai ki unhe personal attention ki sakht zarurat hai...ese vakt me aapko unke saath hona chahiye na ki unke khilaaf.

AS : lekin wo...

HM : lekin wekin kuch nhi...humne kaha na aaiye mtlb aaiye

AS : ha thik hai hum aate hai ... Unhone aapko kuch bataya ki unke saath kya hua.

HM : ha....aap humare ghar aa jaiye hum aapko sab kuch batate hai.

AS : ji

Anu reached Haseena's house.

AS : jaldi bataiye kya hua.

HM tells everything to him and now he was angry on VS.

HM : hum jaante hai ki aapko bhot ghussa aa raha lekin KS ko is vakt humari bohot zarurat hai..

AS : kaha hai behna..?

HM : andar room me... aap zara aaram se baat kijiyega unse.

AS and HM enters the room and found KS standing near window and looking outside.

AS : behna....

KS turns, anu came near her and hugged her but she didn't hug him back.

AS : hume maaf kar dijiye behna..humne bina wajah jaane aap par ghussa kiya.

KS : ab kyu aaye hai aap? Jaiye muh fula ke bethe rahiye... sab ko manane ka theka le rakha hai na humne to... hume sabke saamne uss jurm ki safaai deni pad rahi hai jo humne kiya hi nahi... Lekin aapko kya fark padta hai aapka to jab ghussa sar pe chadhta hai tab aapko kuch aur sujhta hi kaha hai... Hume koi maza aa raha tha kya wo jail jese 2 kamro me rehne me, apne pati se dur rehne me, apne... Apne bache ka abortion karane me...(shouted at him).

HM : KS aap please shaant ho jaiye...

KS : MS ek aap hi hai jo hume sajhti hai baaki sabko to jo dikhta hai wahi sahi lagta hai... Ek aur mahashay waha ghar pe muh fulaye bethe hai...

HM : KS hum veyom ji ko sab samjha denge aap chinta mat kijiye....

KS : nhi MS hum kyu safaai de... Jab hume pata hai ki humne kuch galat nhi kiya to fir hum kyu sabko jaake safaai de.

AS : behna tum shaant ho jao..

KS : aap to kuch na bole to hi behtar hoga Mr. Anubhav Singh. Aap log.. please hume akela chhod dijiye... Jaiye yaha se.

AS : lekin behna hum....

HM : anu chaliye unhe thodi der akele rehne dijiye.

They both came out of the room

AS : zindagi me pehli baar humne KS ko ese dekha hai, hum chhodenge nhi uss veyom ko...

HM : shaant ho jaiye anu... Mamla bhot sensitive hai aap shaanti rakhiye aur hume kuch sochne dijiye.

AS goes and sat restlessly on the couch, and tears started flowing from his eyes Haseena came and stand in front of him. Holds his face and rested it on her stomach. He started crying.

HM : anu... aap ese roiye mat please..

AS : sab humari galti hai...

HM : nhi kisi ki galti nhi hai us samay situation hi kuch esi thi ki koi bhi yahi sochega aap khud ko dosh mat dijiye..

AS was feeling her love towards him he stayed in that position for few minutes.

AS : hum chalte hai kaafi raat ho gayi hai maa ko dawaiyaa bhi deni hai, aap behna ka dhyaan rakhiyega.

HM : ji

In karishma's room,

KS : kya galti thi humari? Hum to bss apni duty kar rahe the... veyom ji aapne zara bhi bharosa nahi kiya humpe itna hi kamzor tha humara rishta ab jab tak aapko sach ka pata chalega tab tak bahut der ho jayegi... bahut pachtayenge aap!


How was it?

"der ho jayegi
Keep guessing in comment section.

Thank you.
Stay Blessed everyone.


Was it a mistake?Donde viven las historias. Descúbrelo ahora